Kya Musalman Ka'ba Ki Pooja Karte Hain?


Kya Musalman Ka'ba Ki Pooja Karte Hain?

Gair muslim is baat par bhi aitraaz karte hain ki jab islam murti puja se mana karta hai toh musalman apni ibadat mein kaa'ba ke aage kiyun jhuktey hain, aur uski ibadat kiyun karte hain?

Jawab:
Kaa'ba musalmaano ka qibla (rukh) hai asal bat yeh hai ki musalmaan namaz mein halaki kaa,ba ki taraf rukh karte hain lakin wo kaa'ba ko poojte nahi aur naa he uski ibadat kartey hain. Musalman sirf Allah ki ibadat kartey hain.

Allah Quran majid mein farmaata hai:
قَدْ نَرَىٰ تَقَلُّبَ وَجْهِكَ فِي السَّمَاءِ ۖ فَلَنُوَلِّيَنَّكَ قِبْلَةً تَرْضَاهَا ۚ فَوَلِّ وَجْهَكَ شَطْرَ الْمَسْجِدِ الْحَرَامِ
Tarjumah: Aye Nabi (Sallallahu Alaihi Wasallam)! Hum dekhtey hain baar-baar aapke muh ka aasmaan ki taraf uthna, toh zaroor hum aapko us qible ki taraf pher dengey jisey aap pasand kartey hain. So aap apna muh masjid-e-haraam (kaa'ba) ki taraf kar len.
(Surah Baqarah, Surah No: 2 Ayat No: 144)


Islam ekta ka deen hai. Islam ne musalmano mein ittihaad o ittefaaq (ekta) paida karne ke liye ek Qibla muqarrar kiya hai aur unhein hukm diya hai ki wo jahan kahin bhi hon namaz ke waqt kaa'ba ki taraf apna rukh kar len. Jo kaa'ba ki pashchim (west) mein rahte hain wo apna rukh purab (east) ki taraf karenge aur jo purab (east) ki taraf rahte hain wo apna rukh pashchim (west) ki taraf karenge.

Musalmano ne hi sab se pahley duniya ka naqsha (map) banaya tha aur unke naqshe (map) mein dakshin (south) ko upar ki taraf aur uttar (north) ko neeche ki taraf dikhaya tha, aur kaa'ba beech (center) mein. Jab baad mein pashchimi (western) naqsha banane walon ne naqshe banaye toh un mein uttar (north) ko upar aur dakshin (south) ko neeche ki taraf dikhaya gaya jaisa ki aaj kal ke naqshe maujood hain. Aur Alhamdulillah kaa'ba taqreeban (almost) darmiyaan (center) mein hi hai.

Jab muslim masjid-e-haraam mein jatey hain toh wo kaa'ba ka tawaaf (chakkar kaat'tey) hain aur ye amal ek sachche maa'bood par imaan aur uski ibadat ka aayina hai. Jaisa har dairey (circle) ka ek kendra (center) hota hai bilkul usi tarah Allah taa'la bhi ek he hai jo ma'bood hai. Jaha tak Hajr-e-Aswad ka talluq hai toh is silsiley mein Hazrat Umar RadhiAllahu Anhu ka ek Asar (amal) hai ki unhone Hajr-e-Aswad ko bosa (kiss) diya aur kaha

إِنِّي أَعْلَمُ أَنَّكَ حَجَرٌ لاَ تَضُرُّ وَلاَ تَنْفَعُ، وَلَوْلاَ أَنِّي رَأَيْتُ النَّبِيَّ صلى الله عليه وسلم يُقَبِّلُكَ مَا قَبَّلْتُكَ
Tarjumah: Main khoob jaanta hun ki tu sirf ek paththar hai, na tu kisi ko faida pahuncha sakta hai aur na nuqsaan. Agar maine Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ko tujhe choomte huwe na dekhta to main tujhe kabhi na choomta.
(Sahih Bukhari: 1597)


Nabi Sallallahu Alaihi wasallam ke daur mein log kaa'ba ki chat par charh kar Azaan detey they. Jo log yeh aitraaz karte hain ki muslim Kaa'ba ko poojte hain toh unse puchen ki kaun sa murti poojne wala us butt (murti, idol) ke upar charh kar khada ho sakta hai jiski woh pooja karta hai.

Aur rahi baat un logo ki jo samaj (society) mein afwaah (rumors) phaila rahe hain ki kaa'ba ke ander Shiv G hain toh ye jhooti afwaah hai jo samaj mein phailai ja rahi hai jiska haqeeqat (sachchai) se koi talluq nahi.
 

Similar threads


Top