Kya Nabi (ﷺ) Har Jagha Hazir Wa Nazir Hain?


Staff Member

Member
Staff member
بسم الله الرحمن الرحيم

Kya Nabi (ﷺ) Har Jagha Hazir Wa Nazir Hain?

Tehreer: Shaikh Ghulam Mustafa Zaheer Amanpuri Hafizahullah.

Romanised: Syed Ibraheem Salafi.
_________ _ _ _


Rasoolullah ﷺ har jagha hazir nazir nahi hain, hayaat-e-tayyaba mein bhi nahi thhey aur ab jab ke Aap ﷺ Allah ke paas jaa chuke hain, tab bhi nahi hain_ nusoos Qur'an wa Sunnat aur ayimma-e-salaf ki tashrihaat se yehi sabit hain_ dalayil mulhaiza hon:

QUR'AANI DALAYIL:

① Allah(ﷻ) ka farmaan hain:
وما كنت لديهم إذ يلقون أقلامهم أيهم يكفل مريم وما كنت لديهم إذ يختصمون​
"(Aye Nabi!) jab log maryam ki kifalat ke liye qura'andazi kar rahe thhey, tab aap unke paas nahi thhey_ na hi aap us waqt unke paas thhey, jab wo jhagad rahe thhey." (Aal Imran: 44)

Hafiz Ibne Kaseer Rahimahullah farmate hain:
أي: ما كنت عندهم يا محمّد فتخبرهم عنهم معاينة عمّا جرى، بل أطلعك الله على ذلك كأنّك كنت حاضرا وّشاهدا لّما كان من أمرهم، حين اقْترعوا في شأن مريم أيّهم يكفلها.​
"Aye Muhammad (ﷺ)! aap unke paas nahi thhey ke is waqiye ka aankho dekha haal bayaan karte, balke Allah ney aap ko bata diya, goya aap us waqt unke paas maujood thhey, jab wo maryam (aalihis salaam) ke ma'aamle mein qira'andazi kar rahe thhey." (Tafseer Ibne Kaseer: 42/2)

② Farmaan-E-Bari'Ta'ala hain:
وما كنت بجانب الغربي إذ قضينا إلى موسى الأمر وما كنت من الشاهدين​
"(Aye Nabi)! aap kohe toor ki maghribi janib hazir na thhey, jab humne Musa (aalihis salaam) ko nabuwat aata farmayi thi, na tou aap maujood thhey aur na aap dekh rahe thhey." (Al Qasas: 44)

Hafiz Ibne Kaseer Rahimahullah farmate hain:
أي: ماكنت حاضرا لّذلك، ولكنّ الله أو حاه إليك​
"(Aye Nabi)! aap us waqiya ke waqt hazir na thhey, balke Allah ney aap ko iski ittelaa ba'zariya-e-wahi di hain." (Tafseer Ibne Kaseer: 240/6)

③ Farmaan-E-Bari'Ta'ala hain:
وما كنت بجانب الطور إذ نادينا ولكن رحمة من ربك لتنذر قوما ما أتاهم من نذير من قبلك لعلهم يتذكرون​
"Jab humne awaaz di thi, tab aap toor ki taraf nahi thhey, balke ye aap ke parwardigaar ki taraf se ek rahmat hain, is liye ke aap in lougon ko hoshiyaar kar dey, jinke paas aap se pehle koi darane wala nahi pohcha aur wo nasihat hasil kar ley." (Al Qasas: 46)

④ Farmaan-E-Ilahi hain:
وما كنت ثاويا في أهل مدين تتلو عليهم آياتنا ولكنا كنا مرسلين​
"(Aye Nabi)! aap madyan mein muqeem nahi thhey ke un par hammari aayaat tilawat karte, balke ye khabren hum hi (aap tak) pohchane wale hain." (Al Qasas 45)

⑤ Irshaad-E-Bari'Ta'ala hain:
ما كان لي من علم بالملإ الأعلى إذ يختصمون​
"(Keh dijiye ke) mujhe un buland qadr fariston ki baat cheet ka koi ilm nahi, jab wo takra rahe thhey." (Saad: 69)

⑥ Farmaan-E-Bari'Ta'ala hain:
ذلك من أنباء الغيب نوحيه إليك وما كنت لديهم إذ أجمعوا أمرهم وهم يمكرون​
"Ye ghaib ki khabren hain, jo hum aap ki taraf wahi karte hain_ aap Ikhwaan-E-Yusuf ke paas na thhey, jab unhune (Yusuf (aalihis salaam) ko koowan mein phenkne ka) pokhta azm kar liya tha, wo makr kar rahe thhey." (Yusuf: 102)

Imam Ibne Jareer Tabri Rahimahullah (310-224 hijri) likhte hain:
يقول؛ وما كنت حاضرا عند إخوة يوسف، إذ أجمعوا، واتّفقت آراؤهم، وصحّت عزائمهم على أن يلقوا يوسف في غيابة الجبّ​
"Allah Ta'ala ney Nabi-E-Kareem ﷺ se farmaya ke aap us waqt Yusuf (aalihis salaam) ke bhaiyon ke paas hazir nahi thhey, jab unhune Yusuf (aalihis salaam) ko gehrey koowan mein phenkne ka poora irada kar liya tha aur is bareme in ki aaraa muttafiq hogayi thi aur inke azm pokhta ho gaye thhey." (Tafseer Al-Tabri: 98/13)

In dalayil se sabit hota hain ke Rasoolullah ﷺ har jagha hazir wa nazir nahi hain, iske bawajood baaz loug Nabi-E-Kareem ﷺ ka har jagha hazir wa nazir hona Qur'an wa Hadees se sabit karne ki koshis karte hain, jabke sahaba, tabayeen aur ayimma-e-deen mein se koi bhi ye aaqidah nahi rakhta tha, sawaal hain ke kya Aslaaf-E-Ummat in dalayil se waqif thhey?
Agar thhey aur yaqinan thhey, tou aakhir inhune in dalayil ki roushni mein aaqidah hazir wa nazir sabit kuy nahi kiya, jabke wo sab se badh kar Kitaab wa Sunnat ko samhjne wale aur iske mutabiq aaqidah bananey wale thhey_ unka ye aaqidah aqtiyaar na karna is baat ki wazeh daleel hain ke aaqidah hazir wa nazir gumrah'kun aaqidah hain_
Faham-e-salaf-e-saleheen ki mukhalifat wahi kar sakta hain, jo aaqidah-e-ahle'sunnat se munharif hoga_

Baaz loug Nabi-E-Kareem ﷺ ke har jagha hazir wa nazir hone par ye aayat paish karte hain:
ألم تر كيف فعل ربك بأصحاب الفيل​
"(Nabi!) kya aap jaante hain ke tere Rab ney hathi walon ka kya hashr kiya.?" (Al Feel: 1)

Ruyiat do tarha ki hoti hain, basri aur ilmi, mazkorah aayat mein ruyiat-e-ilmi hain, jabke baaz ahbaab yahan ruyiat-e-basri muraad letey hain aur bawar karne ki koshis karte hain ke Nabi-E-Kareem ﷺ ney hathi walon ki halakat ka mushaahidah kiya hain_ ye qur'an ki wazeh tehreef hain_
Imam Bukhaari Rahimahullah ney "Alam Tara" ka ma'na "Alam Ta'lam" kiya hain_ (Sahih Bukhaari: Qabl Al Hadees: 4700)

Lehaza yahan ruyiat-e-ilmi muraad hain, zara is Farmaan-E-Bari'Ta'ala par bhi gaour kijiye:
أولم ير الإنسان أنا خلقناه من نطفة فإذا هو خصيم مبين​
"Kya insaan jaanta nahi ke humne usse ek haqeer nutfey se paida kiya aur ab wo khullam khulla jhagadta phir raha hain." (Yaseen: 77)
Kya koi yahan "yara" ka ma'na "dekhna" kar sakta hain? yaqinan yahan ruyiat-e-ilmi muraad hain_

Kya is aayat mein bhi ruyiat-e-basri hi muraad li jayegi?:
ألم يروا كم أهلكنا من قبلهم من قرن​
"Kya wo (kuffaar) jaante nahi ke humne inse pehle kitni qaoumon ko halaak kiya." (An'aam: 6)
Koi hain, jo yahan bhi ruyiat-e-basri muraad ley kar kuffaar-e-makkah ke har jagha hazir wa nazir hone ka aaqidah paish karega?
Is jaisi aur behat se aayaat maujood hain, har aayat mein ruyiat-e-ilmi hi muraad hain_

HADEESI DALAYIL:

① Sayyidah Aisha (Radhi Allahu Anha) bayaan karti hain:
فقدتّ رسول الله صلّى الله عليه وسلّم ليلة مّن الفراش، فالتمسته​
"Maine ek raat Rasoolullah ﷺ ko bistar se gom paaya, tou Aap ﷺ ko talaash karne lagi___." (Sahih Muslim: 192/1, Hadees: 486)

② Sayyiduna Abu Qatadah (Radhi Allahu Anhu) bayaan farmate hain:
أصبح النّاس، وقد فقدوا نبيّهم​
"Subha huwi, tou lougon ney Nabi ﷺ ko gom paaya." (Sahih Muslim: 239/1, Hadees: 681)

③ Sayyiduna Abdullah Bin Masood (Radhi Allahu Anhu) farmate hain:
كنّا مع رسول الله ذات ليلة ففقدناه فالتمسناه في الأودية والشّعاب، فقلنا؛ استطير أو اغتيل، قال؛ فبتنا بشرّ ليلة بات بها قوم، فلمّا أصبحنا إذا هم جاء مّن قبل حراء، قال؛ فقلنا؛ يا رسول الله، فقدناك فطلبناك فلم نجدك فبتنا بشرّ ليلة بات بها قوم​
"Hum ek raat Rasoolullah ﷺ ke sath thhey, aap kahin gom hogaye, humne aap ko wadiyon aur ghatiyon mein talaash kiya_ phir humne socha ke aap par jinno ya insano ney hamla na kardiya ho_ wo saari raat humne pareshani mein aur aaziyat mein basr ki_ subha huwi tou Aap ﷺ ghaar-e-hira ki janib se tashreef laaye_ humne arz kiya: Allah ke Rasool! hum aap ko talaash karte rahe, lekin aap na mile, poori raat pareshani aur aaziyat mein guzri___." (Sahih Muslim: 184/1, Hadees: 450)

④ Sayyidah Aisha (Radhi Allahu Anha) bayaan karti hain:
افتقدتّ النّبيّ صلّى الله عليه وسلّم ذات ليلة، فظننت أنّه ذهب إلى بعض نسائه، فتحسّست ثمّ رجعت، فإذا هو راكع أو ساجد يّقول؛ سبحانك وبحمدك لا إله الّا أنت​
"Ek raat maine dekha ke Rasoolullah ﷺ apne bistar par nahi thhey, maine samjha ke aap kisi biwi ke ghar chale gaye hoge_ maine talaash kiya, phir wapas lauti tou Aap ﷺ ruku ya sajdeh mein ye dua padh rahe thhey: subhaanaka wa bihamdika laa ilaaha illa anta." (Sahih Muslim: 192/1, Hadees: 485)

⑤ Sayyiduna Abu Huraira (Radhi Allahu Anhu) bayaan karte hain:
إنّ رسول الله صلّى الله عليه وسلّم فقد أناسا في بعض الصّلوات​
"Rasoolullah ﷺ ney ek namaz mein kuch lougon ko gom paaya." (Sahih Muslim: 232/1, Hadees: 651)

⑥ Sayyiduna Abu Huraira (Radhi Allahu Anhu) bayaan karte hain:
إنّ امرأة سوداء كانت تقمّ المسجد أو شابّا ففقدها رسول الله صلّى الله عليه وسلّم، فسأل عنها أو عنه، فقالوا؛ مات​
"Ek siyah faam aurat ya nawjawaan masjid mein jhaadou diya karta tha_ Rasoolullah ﷺ ney usse gom paaya, tou uske bareme dariyaafth farmaya_ sahaba kiraam ney arz ki: uski wafaat ho gayi." (Sahih Muslim: 309/1, Hadees: 906)

⑦ Sayyiduna Aanas Bin Malik (Radhi Allahu Anhu) bayaan karte hain:
إنّ النّبيّ صلّى الله عليه وسلّم، افتقد ثابت بن قيس، فقال رجل؛ يا رسول الله، أنا أعلم لك علمه، فأتاه فوجده جالسا في بيته، منكّسا رأْسه​
"Nabi-E-Akram ﷺ ney Sabit Bin Qais (radhi allahu anhu) ko gom paaya_ ek aadmi ney arz kiya: Allah ke Rasool! main aap ko unke bareme aaghahi deyta hon_ wo shaksh aaya tou dekha ke wo apne ghar mein sar jhukaye baithey hain." (Sahih Bukhaari: 510/1, Hadees: 3613)

⑧ Sayyiduna Abu Huraira (Radhi Allahu Anhu) bayaan karte hain:
إنّه لقي النّبيّ صلّى الله عليه وسلّم في طريق مّن طرق المدينة، وهو جنب فانسلّ فذهب فاغتسل، فتفقّده النّبيّ صلّى الله عليه وسلّم فلمّا جاءه قال؛ أين كنت يا أبا هريرة؟​
"Main madina-e-munawwara ke ek raaste mein Nabi-E-Akram ﷺ se mila_ us waqt main janabat ki halat mein tha, lehaza chopke se wahan se chala gaya aur jaa kar ghusl kiya_ Nabi-E-Kareem ﷺ ney mujhe gom paaya, main jab wapas aaya tou Aap ﷺ ney farmaya: Abu Huraira! aap kahaan thhey?" (Sahih Muslim: 162/1, Hadees: 371)

⑨ Sayyiduna Qurrah Bin Iyas (Radhi Allahu Anhu) bayaan karte hain ke ek ansari sahabi ka Nabi-E-Akram ﷺ ke paas aana jaana tha_ unke sath ek bachcha bhi huwa karta tha_ ek din Nabi-E-Akram ﷺ ney unse farmaya: kya aap isse muhabbat karte hain? sahabi ney arz kiya: ji han, Allah ke Rasool!___
فقده النّبيّ صلّى الله عليه وسلّم، فسأل عنه، فقالوا؛ يا رسول الله! مات ابنه​
"Nabi-E-Akram ﷺ ney usse gom paaya, tou us ke bareme dariyaafth farmaya_ sahaba kiraam ney arz ki: Allah ke Rasool! uska beta fout hogaya hain." (Musnad Al-Tayalisi: 145, Musnad Al-Imam Ahmed: 436/3, Sunan Al-Nasaa'i: 1871, Al-Mustadrak Ala Al-Sahihain Lil Haakim: 384/1, Wa Sanadahu Sahih)

Is hadees ko Imam Ibne Hibbaan Rahimahullah (2947) ney "sahih" kaha hain.

Imam Haakim Rahimahullah farmate hain:
هذا حديث صحيح الْإسناد​
"Is hadees ki sanad sahih hain."

Hafiz Zehbi Rahimahullah ney bhi isse "sahih" qaraar diya.

Hafiz Ibne Hajar Rahimahullah ney iski sanad ko "sahih" kaha hain." (Fath Al-Bari: 361/3)

⑩ Sayyiduna Abu Barzah Aslami (Radhi Allahu Anhu) bayaan karte hain:
خرج رسول الله صلّى الله عليه وسلّم في غزوة لّه، قال؛ فلمّا أفاء الله عليه قال لأصحابه؛ هل تفقدون من أحد؟ قالوا؛ نفقد فلانا وّنفقد فلانا، قال؛ انظروا هل نفقدون من أحد؟ قالوا؛ لا، قال؛ لكنّي أفقد جليبيبا، قال؛ فاطلبوه في القتلى قال؛ فطلبوه فوجدوه إلى جنب سبعة قد قتلهم، ثمّ قتلوه​
"Rasoolullah ﷺ ek ghazwe mein nikley_ jab Allah(ﷻ) ney aap ko maal-e-ghanimat aata kiya tou Aap ﷺ ney sahaba se farmaya: koi sahabi yahan se ghaib tou nahi? sahaba ney arz ki: falaan aur falaan nahi hain_ farmaya: dekho, kya koi aur bhi hain jo mil na rahen hon? sahaba ney arz kiya: nahi, Aap ﷺ ney farmaya: julaybib nazr nahi aa rahen? inhen makhtoleen mein talaash karo_ sahaba kiraam ney talaash kiya tou unhen saat kuffaar ke pehlo mein paaya, jinhen Julaybib (radhi allahu anhu) ney khatl kiya tha, phir kuffaar ney unhen shaheed kar diya tha." (Musnad Al-Imam Ahmed: 422/4, Sahih Muslim: 2472)

In dalayil se wazeh taur par maloom ho raha hain ke Rasoolullah ﷺ apni hayaat-e-mubaraka mein bhi har jagha hazir wa nazir na thhey_ Aap ﷺ sahaba kiraam se aur sahaba kiraam Aap ﷺ se gom ho jaya karte thhey_ aagar Aap ﷺ har jagha hazir wa nazir thhey tou aisa kuy hota tha?

⑪ Sayyiduna Mughirah Bin Shobah (Radhi Allahu Anhu) bayaan karte hain:
كنت مع النّبيّ صلّى الله عليه وسلّم في سفر، فقال؛ يا مغيرة! خذ الْإداوة، فأخذتها، فانطلق رسول الله صلّى الله عليه وسلّم، حتّى توارى عنّي، فقضى حاجته​
"Main Nabi-E-Akram ﷺ ke sath ek safar mein tha_ Aap ﷺ ney farmaya: Mughirah! (pani wala) bartan pakdou_ maine bartan pakad liya_ phir Aap ﷺ chaltey gaye hatta ke mujh se chop gaye aur qaza-e-hajat se farigh huwe." (Sahih Al-Bukhaari: 52/1, Hadees: 363, Sahih Muslim: 133/1, Hadees: 274)

Kya jo shaksh doosron se itna door ho jaye ke inki aankho se oujhal ho jaye, wo har jagha hazir wa nazir hota hain? aqli taur par bhi mahaal aur namumkin hain ke Rasoolullah ﷺ har jagha hazir wa nazir hon, kuy ke har jagha mein tou gandagi aur ghalazat wali jaghen bhi shamil hain, neez lougon ki khalwat'gha hain aur aisi jaghen bhi shamil hain jinko ek aam musalmaan bhi dekhna pasand nahi karta_ kisi musalmaan ke liye kaise mumkin hain ke wo Aap ﷺ ke apne paas hazir wa nazir hote huwe apni zindagi ke saarey maamlaat ko anjaam dey sake, behat se jaiz maamlaat aise hain ke ek musalmaan mar tou sakta hain lekin in ko kisi doosren musalmaan bhai ke saamne bhi anjaam nahi dey sakta che'jaye'ke Rasoolullah ﷺ ke hazir wa nazir hote huwe wo aisa kare?

⑫ Sayyidah Aisha (Radhi Allahu Anha) bayaan karti hain:
أبطأت على عهد رسول الله صلّى الله عليه وسلّم ليلة بعد العشاء، ثمّ جئت، فقال؛ أين كنت؟ قلت؛ كنت أستمع قراءة رجل مّن أصحابك، لم أسمع مثل قراءته وصوته من أحد، قالت؛ فقام وقمت معه حتّى استمع له، ثمّ التفت إليّ، فقال؛ هذا سالم مولى أبي حذيفة، الحمد لله الّذي جعل في أمّتي مثل هذا​
"Maine Rasoolullah ﷺ ke zamane mein ek raat ishaa ke baad deer kardi, phir aayi tou Aap ﷺ ney pouchaa: kahaan thi aap? arz kiya: main aap ke ek sahabi ki qiraat sun rahi thi, maine na uski qiraat ki tarha koi qiraat suni hain, na uski awaaz ki manid koi awaaz_ phir Aap ﷺ khade huwe aur main bhi aap ke sath khadi hogayi hatta ke Aap ﷺ ney qari ki qiraat suni, phir meri taraf tawajju ki aur farmaya: ye Abu Huzaifa ke aazaad karda ghulaam saalim hain_ tamaam tareefen ussi Allah hi ke liye hain jisne meri ummat mein is tarha ke loug paida kiye hain." (Sunan Ibne Maajah: 1338, Musnad Al-Imam Ahmed: 165/6, Musnad Al-Bazzaar: 2694, Al-Mustadrak Ala Al-Sahihain Lil Haakim: 225,226/3, Wa Sanadahu Sahih)

Is hadees ko Imam Haakim Rahimahullah ney bukhaari wa muslim ki shart par "sahih" qaraar diya hain_ hafiz zehbi ney inki muwafiqat ki hain_

Hafiz Haishmi farmate hain:
ورجاله رجال الصّحيح​
"Is ke rawi sahih bukhaari wale hain." (Majmu Al-Zawaid: 300/9)

Hafiz Ibne Kaseer Rahimahullah ney iski sanad ko "jayid" kaha hain_ (Muqaddamah Tafseer Ibne Kaseer: 63/1, Bitehqeeq Abdur Al-Razzak Al-Mehdi)

Hafiz Busiri Rahimahullah kehte hain:
هذا إسناد صحيح، رجاله ثقات​
"Ye sanad sahih hain aur iske saare rawi siqa hain." (Misbah Al-Zujajah: 534/1)

⑬ Nabi-E-Akram ﷺ ney farmaya:
أتاني أبو بكر رضي الله عنه، فقال؛ يا رسول الله! أين كنت اللّيلة، فقد التمستك في مكانك؟، فقال؛ أعلمت أنّي أتيت بيت المقدس اللّيلة​
"Abu Bakr (Radhi Allahu Anhu) mere paas aaye aur kehne lagey: Allah ke Rasool! aap kahaan thhey? maine aap ko aap ke ghar mein talaash kiya tha_ maine kaha: kya aap ko maloom hain ke main aaj raat baital maqdis gaya tha?" (Al-Maujam Al-Kabeer Lit Tabraani: 283/7, Hadees: 7142, Tehzeeb Al-Aasaar Lit Tabri: 2775, Musnad Al-Bazzaar: 3484, Dalayil Al-Nabuwa Lil Bihaqi: 107-109/2, Wa Sanadahu Hasan)

Imam Bihaqi Rahimahullah ney is ki sanad ko "sahih" kaha hain_

⑭ Rasoolullah ﷺ ney gazwa-e-uhad ke mauqe par Saad Bin Abi Waqaas (Radhi Allahu Anhu) se farmaya:
أين كنت اليوم ياسعد!​
"Saad! aaj aap kahaan thhey." (Al-Mustadrak Ala Al-Sahihain Lil Haakim: 26/3, Hadees: 4314, Wa Sanadahu Hasan)

Qarayeen kiraam! Aap in quraani aayaat-e-mubaraka aur sahih aahadees-e-nabawiyah par gaour karen aur kudh faisla kare ke Rasoolullah (ﷺ) ke hazir wa nazir hone ka aaqidah quran wa sunnat ke muwafiq hain ya mukhalif? Allah(ﷻ) ney kudh Aap (ﷺ) ke mukhtalif maqamaat par hone ki nafi ki hain, is tarha kudh Rasool-E-Akram (ﷺ) sahaba kiraam se istefsaar farmate thhey: "aap kahaan thhey?", neez sahaba kiraam bhi Aap (ﷺ) se pouch leyte thhey: Aap (ﷺ) kahaan thhey? aagar Nabi-E-Akram (ﷺ) har jagha hazir wa nazir hote, tou aap ko aur sahaba kiraam ko ye kehne ki kya zarorat thi?
phir hazir wa nazir ka aaqidah rakhen wale yehi hazraat ilm-e-ghaib ka aaqidah bhi rakhte hain_ bhala jo kisi jagha maujood hon, wahan ki baat uske liye ghaib kaise huwi? ilm wa aamal ka kya taqaza hain? quran wa hadees kis taraf rehnumayi karta hain? aur haq wa insaaf ki kya pukaar hain? faisla aap par hain!!!

Dua hain ke Allah(ﷻ) humme rahe haq par gaamzan farmaye_ Aameen
 

Similar threads


Top