Kya Surah Ikhlaas Mu'awwazaat Mein Se Hai?


Ibnatu Ali

Member
Kya Surah Ikhlaas Mu'awwazaat Mein Se Hai?

Tehreer: Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullah

Romanised By: Siraj Khan

Surah Ikhlaas ki bohat fazeelat aayi hai, un hi mein se hai ke aik Sahabi e Rasool namaz ki har rakat mein is soorat ki tilawat kiya karte thay. Hazrat Aisha Radhiallahu Anha se riwayat hai
أَنَّ النَّبِيَّ صلى الله عليه وسلم بَعَثَ رَجُلاً عَلَى سَرِيَّةٍ، وَكَانَ يَقْرَأُ لأَصْحَابِهِ فِي صَلاَتِهِ فَيَخْتِمُ بِ ـ ‏{‏قُلْ هُوَ اللَّهُ أَحَدٌ‏}‏ فَلَمَّا رَجَعُوا ذَكَرُوا ذَلِكَ لِلنَّبِيِّ صلى الله عليه وسلم فَقَالَ ‏"‏ سَلُوهُ لأَىِّ شَىْءٍ يَصْنَعُ ذَلِكَ ‏"‌‏.‏ فَسَأَلُوهُ فَقَالَ لأَنَّهَا صِفَةُ الرَّحْمَنِ، وَأَنَا أُحِبُّ أَنْ أَقْرَأَ بِهَا‏.‏ فَقَالَ النَّبِيُّ صلى الله عليه وسلم ‏"‏ أَخْبِرُوهُ أَنَّ اللَّهَ يُحِبُّهُ ‏"‌‏.‏​
Tarjuma: Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne aik lashkar ko kahin bheja jis waqt woh palte to unhon ney Aap se kaha ke Aap ney hum par jisay sardar banaya tha woh har namaz ki qirat ke khatme par Surah Ikhlaas parha karte they, aap ney farmaya un se poochho ke woh aisa kiyun karte they? Poochnay par unhon ney kaha yeh Surah Allah ki sifat hai mujhe is ka parhna bohat hi pasand hai, Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ney farmaya inhein khabar do ke Allah bhi is se mohabbat rakhta hai.
(Sahih al-Bukhari: 7375)

Is hadees se yeh pata chalta hai ke is Surat mein Allah ki sifat ka zikr hai, is ka mafhoom e mukhalif yeh hua ke ki is mein ta'wwuz isti'aaza nahi hai. Ta'wwuz ya isti'aaza ka matlab hota hai kisi shar se Allah ki panah maangna jaisa ki Allah ka farmaan hai :
وَإِمَّا يَنزَغَنَّكَ مِنَ الشَّيْطَانِ نَزْغٌ فَاسْتَعِذْ بِاللّهِ إِنَّهُ سَمِيعٌ عَلِيمٌ​
Tarjuma: Aur agar tumhein koi shaytani waswasa lahiq honay lagey to Allah ki panah mango be-shak woh khoob sun-ney wala aur sab kuch jan-nay wala hai.
(Surah al-A'raf Ayat no: 200)

Goya yeh soorat mu'wwazaat mein shaamil nahi hai balki sifaat e Rehman par mushtamil hai. Baaz Ahadees mein mu'wwazaat jama' (plural) ka lafz aaya hai aur wahan mu'wwazaat mein Surah Ikhlaas bhi daakhil hai. Masalan Umm ul-momineen Hazrat Aisha Radhiallahu Anha se riwayat hai:
أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم كَانَ إِذَا أَخَذَ مَضْجَعَهُ نَفَثَ فِي يَدَيْهِ، وَقَرَأَ بِالْمُعَوِّذَاتِ، وَمَسَحَ بِهِمَا جَسَدَهُ​
Tarjuma: Jab Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam let-tey to apne hathon par phoonktey aur mu'wwazaat parhte aur dono haath apne jism par phairte.
(Sahih al-Bukhari: 6319)

Yeh muttafiqa baat hai ke yahan is hadees mein mu'wwazaat mein Surah Ikhlaas bhi daakhil hai jaisa ki Bukhari Shareef ki doosri riwayat hai. Umm ul-momineen Hazrat Aisha Radhiallahu Anha se riwayat hai:
كَانَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم إِذَا أَوَى إِلَى فِرَاشِهِ نَفَثَ فِي كَفَّيْهِ بِقُلْ هُوَ اللَّهُ أَحَدٌ وَبِالْمُعَوِّذَتَيْنِ جَمِيعًا، ثُمَّ يَمْسَحُ بِهِمَا وَجْهَهُ، وَمَا بَلَغَتْ يَدَاهُ مِنْ جَسَدِهِ‏.‏ قَالَتْ عَائِشَةُ فَلَمَّا اشْتَكَى كَانَ يَأْمُرُنِي أَنْ أَفْعَلَ ذَلِكَ بِهِ‏.‏ قَالَ يُونُسُ كُنْتُ أَرَى ابْنَ شِهَابٍ يَصْنَعُ ذَلِكَ إِذَا أَتَى إِلَى فِرَاشِهِ‏​
Tarjuma: Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam jab apne bistar par araam farmaaney ke liye let-tey to apni dono hatheliyon par “‏قُلْ هُوَ اللَّهُ أَحَدٌ‏” aur mu'wwazaat yani “قُلْ أَعُوذُ بِرَبِّ الْفَلَقِ” aur “قُلْ أَعُوذُ بِرَبِّ النَّاسِ‏” se parh kar dam karte phir dono hathon ko apne chehre par aur jism ke jis hissa tak haath pahunch paata phairte. Hazrat Aisha Radhiallahu Anha ney kaha ke phir jab aap bemaar hotay to aap mujhe isi tarah karne ka hukm dete they. Younus ney bayan kiya ke mein ney Ibn e Shihab ko bhi dekha ke woh jab apne bistar par let-tey to isi tarah un ko parh kar dam kya karte they.
(Sahih al-Bukhari: 5748)

Is hadees mein mu'wwazatain yani Surah Falaq aur Surah Naas ko alag se zikr kiya gaya hai aur Surah Ikhlaas ko alag jo is baat ki wazeh Daleel hai ke surah Ikhlaas mu'wwazaat mein se nahi hai.
 

Similar threads


Top