Watan se muhabbat fitri cheez hai


Abdul Mussavir

New member
Watan se muhabbat fitri cheez hai

Tehreer: Shaikh Kifayatullah Sanabili

Maujooda daur ki khas istilaah wataniyyat aur usse judi (connected) ghair zaruri taqazon se hat kar bat ki jaye to watan se muhabbat koi buri cheej nahi hai, na Islaam me aur na hi kisi mazhab me, balki apne watan aur ilaaqe se muhabbat ek fitri cheej hai, aur har Insan ka haq hai.

Allah ke Nabi ﷺ par jab pehli Wahi aayi aur Aap ﷺ ne iska tazkirah Warqah bin Naufal se kiya to mukhtalif rivayaat ke mutabiq Warqa bin Naufal ne kayi pesheengoyi (prediction) ki, lekin jaise hi Warqah ne yeh kaha:-
ليتني أكون حيا إذا يخرجك قومك​
Kaash main uss waqt zindah rahun jab aapki qaum aapko yahan se nikal degi.
To Aap ﷺ ne kha:-
أو مخرخي هم؟​
kya yeh log mujhe yahan se nikal denge
(Sahi Bukhari, Hadees No: 3)

Iski tashreeh me Imam Suhayli Rahimahullah farmate hain:-
يؤخذ منه شدة مفارقة الوطن على النفس فإنه ﷺ سمع قول ورقة أنهم يؤذونه ويكذبونه فلم يظهر منه انزعاج لذلك فلما ذكر له الإخراج تحركت نفسه لذلك لحب الوطن وإلفه فقال: أو مخرجي هم​
Is se malum hota hai ke watan ki judaayi dil par bahut bhaari guzarti hai, kyunki Allah ke Nabi ﷺ ne yeh sab kehte hue suna ke yeh log aap ko takleef denge, aur jhutla denge lekin in baton par apko koi ghabrahat nhi hui lekin jaise hi Warqah ne yeh zikr kiya ke yeh log aapko yaha se nikal denge, us par Aap ﷺ ka dil laraz utha watan ki muhabbat aur usse ulfat ki wajah se aur Aap ﷺ ne be-saakhta kaha:- Kya yeh log mujhe yahan se nikal denge?
(Fatah ul Bari: 12/359)

Mazeed yeh ke Sahaba e Kiraam Radhiallahu Anhum ki jo sab se badi qurbani shumar ki gayi hai woh hijrat yani watan chhodni ki qurbani hai, Umar Radhiallahu Anhu ki khilaafat me jab sahaba ne apne islami sann (Hijri) ko buniyad daali to mashwara hua ki isey kya naam diya jaaye, yeh bohut ahem masla tha kyunki kisi cheej ko sann (saal) ke sath jodne ka matlab yeh hai ke usey har saal, har maheene, har din aur har lamhe ke liye yaadgaar banaya jaa raha hai, ab ghaur karne ki baat yeh thi ki Nabi ﷺ aur Sahaba ki poori zindagi me aisi konsi sab se ahem baat thi jise hamesha ke liye yaadgaar bana diya jaye, bohut sari batein kahi gayi lekin jis cheej par ittefaq huwa woh yeh ke Hijrat ke waqi'a se islaami saal ko mausoom kiya jaye.

Imam Bukhari Rahimahullah ne kaha:-
حدثنا عبد الله بن مسلمة، حدثنا عبد العزيز، عن أبيه، عن سهل بن سعد، قال: ما عدوا من مبعث النبي ﷺ ولا من وفاته، ما عدوا إلا من مقدمه المدينة​
Sahl bin Sa'ad Saa'idi Radhiallahu Anhu ne bayan kiya ke islaami tareekh ka shumaar na Nabi ﷺ ki nabuwat ke saal se huwa aur na Aap ﷺ ki wafaat ke saal se balki us ka shumar Madina ki hijrat ke saal se huwa.
(Sahi Bukhari, Hadees No: 3934)

Yeh hijrat ka muqaddas aur azeem amal jise islaami tareekh ke sath judne ka sharf mila, yeh watan ko chhodne ki qurbani ki wajah se tha, isse achchi tarah andaza lagaya jaa sakta hai ke watan ki muhabbat kya cheez hoti hai aur emaan o amal ki oonchaaiyon par pahunchne ke bawajud bhi watan se judayi kitni badi qurbani hoti hai.

Yeh baat bhi apne saamne rakhiye ki isi watan me ahl e watan ne Sahaba e Kiraam Radhiallahu Anhum ke saath kya sulook kiya tha, kitni ki jaidaad, kitno ke rishtedaar aur ahl o ayaal ko jaan se maar dala, ahl e watan ke is zulm ke bawajud bhi woh apne watan ki muhabbat ko chhod na sake.

Ek azaad shakhs ko to jaane den, Makkah me ghulami ki zindagi basar karne wale Bilal Radhiallahu Anhu ka haal dekhen, jinhein Islaam lane ki wajah se ahl e makkah ne khatarnaak sazayein bhi di, Sahih Bukhari ki rivayat hai, Amma Aysha Radhiallahu Anha bayan karti hain, Bilal Radhiallahu Anhu jab Hijrat kar ke Madina aa gaye to woh bukhaar me mubtala ho gye aur Bilal Radhiallahu Anhu ke bukhaar jab kuch halka hota to zor zor se rote aur ye sher padhte:
ألا ليت شعري هل أبيتن ليله.... بواد وحولي إذخر وجليل..
وهل أردن يوما مياه مجنة...وهل يبدون لي شامة وطفيل​
“Kaash mujhe yeh malum ho jata ki kabhi me ek raat bhi Makkah ki waadi me guzaar sakunga jab ke mere aas paas (khusbudaar ghaas) Izkhir aur Jaleel hongi..
Aur kya ek din bhi mujhe aisa mil sakega jab main Majnah ki jagah ke paani par jaunga aur kya Shaamah aur Tufail ki pahadiyon ko ek nazar dekh sakunga”
Aysha Radhiallahu Anha bayan karti hain ke phir main Aap ﷺ ki khidmat me hazir hui aur Aap ﷺ ko khabar di to Aap ﷺ ne dua ki:-
اللهم حبب إلينا المدينة كحبنا مكة، أو أشد وصححها وبارك لنا في صاعها ومدها، وانقل حماها فاجعلها بالجحفة​
Aye Allah! Madina ki muhabbat hamare dil me utni paida kar de jitni Makkah ki thi balki usse ziyadah, yahan ki hawa ko sehat bakhsh bana! Hamare liye yaha Sa'a aur Mud (anaaj naapne ke paimane) me barkat inayat farma aur yahan ke bukhar ko Johfa ki jagah me bhej de.
(Sahi Bukhari, Hadees No: 3926)

Ghaur karen ke ahl e watan ki zulm o zyadati bhi uski muhabbat par asar andaaz nahi ho sakti aur har shakhs ka dil apne watan ki muhabbat se bhara hota hai. Yeh ek fitri bat hai.

Imam Ibn e Battal farmate hai:-
وقد جبل الله النفوس على حب الأوطان والحنين إليها، وفعل ذلك عليه السلام، وفيه أكرم الأسوة​
Allah ﷻ ne logon ko watan ki muhabbat aur uske saath ishtiyaaq par paida kiya hai aur Aap ﷺ ne bhi watan se muhabbat ki, is me behtreen uswaah hai.
(Sharah Sahih Bukhari Li Ibn e Battal: 4/453)
 
Last edited by a moderator:

Similar threads


Top