Sayyiduna Husain Razi Allahu Anhu Se Muhabbat!


Abul Husayn

Moderator
Staff member
بـــــــسـم الله الـرحـمـن الـرحـيـم

Sayyiduna Husain Razi Allahu Anhu Se Muhabbat!

Tehreer: Hafiz Sher Muhammad Hafizahullah

Tehqeeq wa Taqreej: Hafiz Zubair Ali Zai Rahimahullah

Romanised: Syed Ibraheem Salafi
____________________


Nabi e Kareem ﷺ ne Sayyiduna Hasan bin Ali aur Sayyiduna Husain bin Ali Razi Allahu Anhuma ke barey mein farmaaya:
هما ريحانتاي من الدنيا​
"Wo dono duniya mein se mere do phool hain."
(Sahih Bukhari: 3753)

Rasoolullah ﷺ ne farmaaya:
حسين مني وانا من حسين، احب الله من احب حسينا، حسين سبط من الاسباط​
"Husain mujh se hai aur main Husain se hon, Allah us se muhabbat karey jo Husain se muhabbat karta hai, Husain meri naslon mein se ek nasl hai."
(Sunan Tirmizi: 3775, Wa Qaal: Hazaa Hadees Hasan, Musnad Ahmed: 4/172, Mahnamah al-Hadees: 24 Page 48, yeh riwayat Hasan Li Zaatihi hai)

Sayyiduna Saad bin Abi Waqaas Razi Allahu Anhu se riwayat hai ke jab yeh (mubaahiley waali) aayat
نَـــدْعُ أَبْـــنَاءَنَا وَأَبْـــنَاءَكُمْ​
"Aur (mubaahiley ke liye) hum apne bete bulaayen tum apne bete bulaao." (Surah aal-Imran: 61) naazil huwi tou Rasoolullah ﷺ ne Ali, Fatima, Hasan aur Husain (Razi Allahu Anhum Ajmayeen) ko bulaaya aur farmaaya:
اللـــهم هـــــؤلاء اهلي​
"Aye Allah! yeh mere ahl (ghar waaley, ahle bait) hain."
(Sahih Muslim: 32/2404, Tarqeem Darussalaam: 6220)

Sayyidah Aisha Razi Allahu Anhu se riwayat hai ke ek din subh ko Nabi ﷺ baahar tashreef laaye aur aap ke jism e mubarak par oont ke kajaawey jaisi dhariyon waali ek ooni chadar thi tou Hasan bin Ali (Razi Allahu Anhu) tashreef laaye, aap ne unhen chadar mein dakhil kar liya, phir Husain (Razi Allahu Anhu) tashreef laaye, wo chadar ke andar dakhil ho gaye, phir Fatima (Razi Allahu Anha) tashreef laayen tou unhen aap ne chadar ke andar dakhil kar liya, phir Ali (Razi Allahu Anhu) tashreef laaye tou unhen (bhi) aap ne chadar ke andar dakhil kar liya, phir Aap ﷺ ne farmaaya:
إِنَّمَا يُرِيدُ اللَّهُ لِيُذْهِبَ عَنكُمُ الرِّجْسَ أَهْلَ الْبَيْتِ وَيُطَهِّرَكُمْ تَطْهِيرًا​
"Aye ahle bait Allah sirf yeh chahata hai ke tum se palidi door kar dey aur tumhen khoob paak saaf kar dey."
(Surah al-Ahzaab: 33) (Sahih Muslim: 61/2422 Darussalaam: 6261)

Sayyiduna Zaid bin Arqam Razi Allahu Anhu ne farmaaya:
نساؤه من اهل بيته، ولكن اهل بيته من حرم الصدقة بعده​
"Aap (ﷺ) ki biwiyan aap ke ahle bait mein se hain lekin (is hadees mein) ahle bait se muraad wo hain jin par aap ke b'ad sadaqah (leyna) haraam hai yane aal e 'ali, aal e 'aqeel, aal e jafar aur aal e 'abbas."
(Sahih Muslim: 2408 Wa Tarqeem Darussalaam: 6225)

Sayyiduna Wasila bin Asqa Razi Allahu Anhu se riwayat hai ke Rasoolullah ﷺ ne apni daayen taraf Fatima ko aur baayen taraf 'Ali ko baithaya aur apne saamney Hasn o Husian (Razi Allahu Anhum) ko baithaya (phir) farmaaya:
إِنَّمَا يُرِيدُ اللَّهُ لِيُذْهِبَ عَنكُمُ الرِّجْسَ أَهْلَ الْبَيْتِ وَيُطَهِّرَكُمْ تَطْهِيرًا​
"Aye ahle bait Allah sirf yeh chahata hai ke tum se palidi door kar dey aur tumhen khoob paak saaf kar dey." (al-Ahzaab: 33) Aye Allah yeh meri ahle bait hain.
(Sahih Ibne Hibbaan, al-Ihsaan: 6937,6976, al-Mawaarid; 2245, Musnad Ahmed: 4/107, Aw Sahhahul Baihaqi 2/152 Awil Haakim: 3/147 Hadees: 4706 'Ala Shartil Shaykhain Wa Wafaqahuz Zehbi 'Ala Shart Muslim Wal Hadees Sanadahu Sahih)

Sayyidah Umme Salma Razi Allahu Anha se riwayat hai ke Nabi ﷺ ne Ali, Fatima, Hasn o Husain Razi Allahu Anhum ke barey mein farmaaya:
اللـــهم هــؤلاء أهل بيتي​
Aye Mere Allah! yeh meri ahle bait hain."
(al-Mustadrak 2/416 Hadees 3558 Wa Sanadahu Hasan Wa Sahhahul Haakim 'Ala Shartil Bukhari)

Musnad Ahmed (6/292 Hadees 26508) mein Sahih Sanad se is hadees ka shahid (taayidi riwayat) maujood hai, Sayyiduna Ali, Sayyidah Fatima, Sayyiduna Hasan aur Husain Razi Allahu Anhum ke ahle bait mein honey ke bayaan waali ek hadees Umar bin Abi Salma Razi Allahu Anha (Tirmizi: 3787 Wa Sanadahu Hasan) se bhi marwi hai, Sayyidah Umme Salma Razi Allahu Anha ki ek riwayat mein aaya hai ke Rasoolullah ﷺ ne Umme Salma ko farmaaya:
﴾أنت من أهلي﴿​
Tu meri ahl (bait) se hai.
(Mushkil ul Aasaar Lit Tahaawi/Tohfat ul Akhyar: 8/471 Hadees 6147 Wa Sanadahu Hasan)

Mukhtasar yeh ke Sayyiduna Ali Razi Allahu Anhu, Sayyiduna Hasan Razi Allahu Anhu aur Sayyiduna Husain Razi Allahu Anhu ka ahle bait mein se hona sahih qatyi dalaayil mein se hai, is ke bawajood baaz bad-naseeb hazraat naasbiyat ka jhanda utthaye huwey yeh keh deyte hain ke "yeh ahle bait mein se nahi hain."!!!

Nabi e Kareem ﷺ ne farmaaya:
الحسن والحسين سيدا شباب أهل الجنة​
"Hasan aur Husain jannat ke naujawaano ke sardaar hain."
(Musnad Ahmed 3/3 Hadees 10999 An Abi Sayeed al-Khudri Razi Allahu Anhu Wa Sanadahu Sahih, an-Nasaayi Fil Kubraa: 8525 Wa Fi Khasaais Ali: 140)

Sayyiduna Huzaifah Razi Allahu Anhu se riwayat hai ke Rasoolullah ﷺ ne farmaaya: us faristey ne mujhe khushkhabri di ke:
وأن الحسن والحسين سيّد شباب أهل الجنة​
"Aur beshak Hasan o Husain (Razi Allahu Anhuma) ahle jannat ke naujawaano ke sardaar hain."
(Tirmizi: 3781 Wa Isnaadahu Hasan, Wa Qaal al-Tirmizi: "Hasan Ghareeb" Wa Sahhaha Ibne Hibbaan, al-Mawaarid: 2229 Wa Ibne Khuzaimah: 1194 Waz Zehbi Fi Talkhees ul-Mustadrak 3/381)

Sayyiduna Abdullah bin Mas'ood Razi Allahu Anhu se riwayat hai ke Rasoolullah ﷺ ne farmaaya:
الحسن والحسين سيدا شباب أهل الجنة وأبوهما خيرمنهما​
"Hasan aur Husain ahle jannat ke naujawaano ke sardaar hain aur inke abaa (Sayyiduna Ali Razi Allahu Anhu) in dono se behtar hain."
(al-Mustadrak Lil Haakim: 3/167 Hadees 4779 Wa Sanadahu Hasan, Wa Sahhahul Haakim Wa Wafaqahuz Zehbi)

سـيـدا شـبـاب أهـل الـجـنـة​
waali hadees mutawaatir hai.
(Nazmu al-Mutanasir Min al Hadees al-Mutawaatir Page 207 Hadees: 235, Qatf ul-Azhaar al-Mutanasir Fil-Akhbaar al-Mutawatir Lis Suyuti Page 286, Hadees: 105, Laqat al-Laali al-Mutanasir Fil Ahadees al-Mutawaatir Liz Zabidi Page 149 Hadees 45)

Nabi e Kareem ﷺ ne farmaaya:
هذان ابناي وابنا ابنتي، اللهم إنّي أحبهما فأحبهما وأحبّ من يحبّهما​
"Yeh dono (Hasan o Husain) mere bete aur nawase hain, Aye Mere Allah! main inse muhabbat karta hon tu bhi in dono se muhabbat kar aur jo inse muhabbat karey tu us se muhabbat kar."
(Tirmizi: 3769 Wa Sanadahu Hasan Wa Qaal "Haza Hadees Hasan Ghareeb") Is mein Musa Bin Yaqoob az-Zamaee' Hasan ul Hadees hai, aur inhen Jamhoor ne Siqah qaraar diya hai.
'Ataa bin Yasaar (tabaayi) Rahimahullah bayaan kartey hain ke unhen ek aadmi (Sahabi) ne bataya: unhon ne dekha ke Nabi ﷺ Hasan aur Husain (Razi Allahu Anhuma) ko seeney se laga kar farmaaya tha:
اللهم إني أحبهما فأحبهما​
"Aye Allah! main in dono se muhabbat karta hon tu (bhi) in dono se muhabbat kar."
(Musnad Ahmed: 5/369 Hadees 23133 Wa Sanadahu Sahih)

Sayyiduna Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu se riwayat hai ke Rasoolullah ﷺ ne farmaaya:
أحبو الله لما يغذوكم من نعمه، وأحبوني بحب الله، وأحبوا أهل بيتي لحبي​
"Allah tumhen jo nematen khilaata hai un ki wajah se Allah se muhabbat karo, Allah ki muhabbat ki wajah se mujh se muhabbat karo, aur meri muhabbat ki wajah se mere ahle bait se muhabbat karo."
(Tirmizi: 3789 Wa Sanadahu Hasan Wa Qalal Tirmizi "Hasan Ghareeb" Wa Sahhahul Haakim 3/150 Hadees 4716 Wa Wafaqahuz Zehbi Wa Qalal Mizzi "Haza Hadees Hasan Ghareeb" Tehzeeb ul Kamaal 10/199) Abdullah bin Sulaiman an-Nawfali ko Tirmizi Haakim aur Zehbi ne Siqah qaraar diya hai lehaza yeh Hasan ul Hadees hai.
Sayyiduna al-Imam Abu Bakr as-Siddiq Razi Allahu Anhu ne farmaaya:
ارقبوا محمدًا ﷺ في أھل بیته​
"Muhammad ﷺ ke ahle bait (se muhabbat) mein aap ki muhabbat talaash karo."
(Sahih Bukhari: 3751)

Sayyiduna Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai ke Rasoolullah ﷺ ne farmaaya:
من أحبھما فقد أحبني ومن أبغضھما فقد أبغضني​
"Jis shaksh ne in (Hasan aur Husain Razi Allahu Anhuma) se muhabbat ki yaqeenan us ne mujh se muhabbat ki aur jisne in dono se bughz kiya tou yaqeenan us ne mujh se bughz kiya."
(Musnad Ahmed: 2/440 Hadees 9673 Wa Fazaayil as-Sahabah Li Ahmed: 1376 Wa Sanadahu Hasan, Wa Sahhahul Haakim 3/166 Hadees 4777 Wa Wafaqahuz Zehbi) Abdur Rahman Bin al-Yashkuri ko Ibne Hibbaan ne as-Siqaat 5/106 mein aur Haakim aur Zehbi ne aur isi tarha al-Haishimi ne Majma uz Zawaaid 5/240 ko Siqah qaraar diya hai, wo siqah hai aur unki hadees hasan darje se neeche nahi ho sakti.
Is riwayat ko doosri jagah Hafiz Zehbi ne qawi qaraar diya hai. (Dekhe Tareekh ul Islam 5/95 Wa Qaal: "Wa Fil Musnad Bi-Isnaad Qawi")

Ek dafah Nabi ﷺ khutba dey rahey thhey ke Hasan aur Husain (Razi Allahu Anhuma) tashreef ley aaye tou aap minbar se utar gaye aur unhen pakad kar apne saamney ley aaye, phir khutba shuru kar diya."
(Tirmizi: 3774 Wa Sanadahu Hasan, Abu Dawood: 1109, Nasaayi: 3/108 Hadees 1414, Wa Qalal Tirmiz: "Haza Hadees Hasan Ghareeb" Wa Sahhahul Tabri Fi Tafseer 28/81 Wa Ibne Kuzaimah: 1456,1801 Wa Ibne Hibbaan, Mawarid uz-Zamaan: 2230 Wal Haakim 1/287, 4/189 Wa Wafaqahuz Zehbi, Wa Qalal Zehbi Fi Tareekh ul Islam 5/97 "Isnaadahu Hasan")

Amr bin al-'Aas Razi Allahu Anhu Ka'bey ke saaye taley baithey huwe thhey ke Husain bin Ali Razi Allahu Anhu ko aatey huwe dekha tou unhon ne farmaaya:
ھذا أحب أھل الأرض إلٰی أھل السماء الیوم​
"Yeh shaksh aaj aasmaan waalon ke nazdeek zameen waalon mein sab se ziyadah mehboob hai."
(Tareekh e Damishq; 14/181 Wa Sanadahu Hasan) Yunus bin Ishaaq Tadlees se bari hai jaisa ke Fath ul Mubeen Tabqaat al-Mudallaseen 2/66 Safah 48 mein hai.
|Kitaab: Fazaayil E Sahabah, Taleef: Hafiz Sher Muhammad Hafizahullah, Tehqeeq Wa Taqreej: Hafiz Zubair Ali Zai Rahimahullah, Page: 100-105|
 
Last edited:

Top