Shona shaikh

Active member
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ

Kya Safar Ke Maheene Mein Nahusat Hai?


Tehreer: Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullah

Romanised By: Umar Asari

Abhi logon mein yeh paigham ghoom raha hai ke Safar ka chaand nikal gaya hai, is maheene ki nahusat aur aafaton se bachne ke liye 30 baar Surah Ikhlaas padhen.
Aap ko bata dun ke Islam mein koi din, koi maheena aur koi tareekh manhoos nahi hai. Safar ke maheena se mutalliq logon mein aam hai ke yeh maheena manhoos hai, is mein balayen aur museebatein nazil hoti hain, is liye is mein shadi biyah nahi karte, safar (travelling) se bachte hain aur is maheene ki nahusat aur pareshani se bachne ke liye mukhtalif tareeqe ikhtiyar kiye jaate hain. Koi chana ubaalta hai aur khud bhi khata aur doosron ko bhi khilata hai, koi makhsoos namaz padhta hai to koi makhsoos zikr karta hai jaisa ki upar 30 baar Surah Ikhlaas ki baat kahi gayi hai.
Is maheene se mutalliq aisi koi baat nahi hai, yeh sab khurafaat aur logon ki banayi hue cheezein hain, is silsile mein Hadees e Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam hamari rahnumai karti hai:
Hazrat Abu Hurairah Radhiallahu Anhu se marwi hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya:
لاَ عَدْوَى، وَلاَ طِيَرَةَ، وَلاَ هَامَةَ، وَلاَ صَفَرَ​
Tarjumah: Marz ka muta’addi hona nahi (yani Allah ke hukm ke baghair koi marz kisi doosre ko nahi lagta) aur na bad-faali lena durust hai, aur nah hi Safar ka maheena manhoos hai.
(Sahih Bukhari: 5757 and 5707)
Tiyarah «طِيَرَةَ» ka matlab hai: Badshugooni lena.
Hama «هَامَةَ» ka matlab: maqtool ke sir se Hama naam ka janwar (ullu) niklana jo insaan ko us waqt tak takleef de jab tak qatl na kar diya jaaye.
Safar se murad: logon ke gumaan se Safar ke maheene ki nahusat.
In cheezon ko log takleef ka sabab aur manhoos samajhte they to Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ke na to bemari khud se kisi doosre mein muntaqil (transfer) ho sakti hai, na hi bad-faali lena jaayez hai, na hi Hama ki koi haqeeqat hai aur na hi Safar ka meheena manhoos hai. Isliye hamein Safar ke maheene se mutalliq apna aqeedah durust karna chahiye aur yeh jaan lena chahiye ke museebat kabhi bhi aa sakti hai is ka koi waqt muqarrar nahi hai chahe azmaish ke sabab ya hamari bad-amali (bure amal) ke sabab. Is wajah se Allah par tawakkul (bharosa) kiya jaye aur ziyadah se ziyadah nek aamaal anjaam diya jayen.
 
Last edited:

Similar threads


Top