Umar Asari

Administrator
Staff member
Kya Salafi kehlaana bhi hizbiyyat hai?

✵Sawaal:✵
Kya Salafi kehlaane waala bhi hizbi (firqa aur giroh parast) taswwur kiya jaayega?

✯Jawaab:✯
Agar Salafi kehlaana haqeeqat par mabni ho to us mein koi harj nahi, lekin agar yeh mahez dawa ho to us ke liye jaaiz nahi ke woh Salafi kehlaaye jabki (haqeeqat mein) woh Manhaj e Salaf par nahi.
Masalan Ashaa'irah kehte hain ke hum Ahle Sunnat Wal-Jama'at hain Magar yeh durust nahi, kiunki jis cheez par woh qaayim hain woh Manhaj e Ahle Sunnat Wal-Jamaat nahi, isi tarah Mu'tazilah apne aap ko muwahhideen kehlaate hain.
وَكُلٌّ يَدَّعِي وَصْلًا لِلَيْلَى
وَلَيْلَى لَا تُقِرُّ لَهُمْ بذاكا​

Jis ka yeh gumaan hai ke woh mazhab e Ahle Sunnat Wal-Jamaat par hai to use chaahiye ke tareeqa e Ahle Sunnat Wal-Jamaat ki ittebaa' kare aur us ke mukhaalifeen ko tark kar de, lekin agar mahez us ka iradah “الضب والنون” (chipkali aur Wheel machli) ko yakja (ikhaththa) karna ho (jaisa ke kahaawat ke taur par kaha jaata hai), yani sehra aur samandar ke jaandaaron ko aapas mein yakja karna ho to yeh na-mumkin hai, ya (isi tarah se) aag aur paani ko apni hatheli mein yakja karna ho (to yeh bhi na-mumkin hai), (isi tarah) Ahle Sunnat Wal-Jama'at apne mukhaalifeen jaise Khawaarij, Mu'tazilah aur hizbiyon ke saath mujtame' nahi ho sakte hain, jo inhein “المسلم المعاصر” (maujooda daur ke musalmaan) kehte hain aur chaahte hain ke un ahle asar (zamaane) ki gumraahiyon ko Manhaj e Salaf ke saath jama kar den, pas (yeh jaanna chaahiye ke) “لا يصلح آخر هذه الأمة إلا ما أصلح أولها” (is ummat ke aakhir ki islaah nahi ho sakti Magar usi cheez se jis se is ke awwal ki islaah hue thi).
Haasil e kalaam yahi hai ke in mu'aamlaat mein tameez karna aur wazahat laazim hai.

➤ Jawaab by: Shaikh Saleh Al-Fauzaan
(Al Ajwibah Al Mufeedah 'An As-ilah Al Manaahij Al Jadeedah, Question No: 13 Page No: 35-39)
 

Similar threads


Top