Kya Sayyadah Hindah Razi Allahu Anha ne Sayyadana Hamza Razi Allahu Anhu Ka Kaleja Chabaya tha


Abdul Adil

Member
Kya Sayyadah Hindah Razi Allahu Anha ne Sayyadana Hamza Razi Allahu Anhu Ka Kaleja Chabaya tha

Tahreer :-
Hafiz Abu Yahya Noorpuri Hafizahullah

Roman Script :- Abdul Adil Ansari

Baaz log Musnad Ahmad (4414) aur Musannaf Ibne Abi Shaibah (10072) ki riwayat pesh karke ye sabit karna chahate hai ki Sayyadna Muawiya Razi Allahu Anhu ki waalida Maazidah Aur Sayyadana Abu Sufiyan Razi Allahu Anhu ki jauza mohtarma , Sayyada Hindah Razi Allahu Anha ne unka kaleja chabaya tha .

Halakin is riwayat ki sanad munqate hai , Aamir Bin Shurahil Sha'abi (شراحیل شعبی) jo is riwayat ko Sayyadana Abdullah Bin Masood Razi Allahu Anhu se koyi riwayat suni hi nahi.

Baaz log apni nadani ke bina par Musnad Ahmad ke mhaqqiqeen se is riwayat ki sehat sabit karne ki koshish ki hai , halakin muhaqqiqeen se saaf likha hai ki iski sanad munqate hai. Albatta ye lambi hadees hai jis mein kayi ek baate degar Sahih wa hasan hadees se sabit hai . isliye unhone mazmooyi etbaar se hasan ligairihi kaha hai.

Ilm Takhreez wa Tahqeeq hadees se adna tamsk rakhne wale baa-khoobi jante hai ki Mazmooyi etbaar se kisi riwayat ko hasan ya Sahih qarar dene se uske har har lafz ki tahseen ya tasaheeh kasheed nahi ki ja sakti

Lihaza Musnad Ahmad Ke Muhaqqiq ke bare mein ye kahna ki inhone Sayyada Hindah Razi Allahu Anha par Sayyadna Hamzah Razi Allahu Anhu ka khaleja chabane ke iljaam ki tasdeek ki hai , intehayi galat bat hai.
 

Similar threads


Top