Kya Yazeed Ne Hazrat Hussain Razi Allahu Anhu ke sar ki hurmati ki thi


Abdul Adil

Member
Kya Yazeed Ne Hazrat Hussain Razi Allahu Anhu ke sar ki hurmati ki thi.

Roman Script :-
Abdul Adil Ansari

Asal Mazmoon :- Yazeed Ibne Muawiyah Par Iljemaat Ka Tahqeeqi Jayeza Safa Number : 796-797

Imam Ibne Zauzi Rahimaullah (Died 597 Hijj) ne kaha

"قال ابن أبي الدنيا: وثنا عبد الرحمن بن صالح العتكي، قال: ثنا مهدي بن ميمون، عن حرام بن عثمان الأنصاري، عن سعيد بن ثابت، عن مرداس، عن أبيه، عن سعيد بن معاذ وعمرو بن سهل؛ أنهما حضرا عبيد الله بن زياد يضرب بقضيبه أنف الحسين وعينيه، ويطعن به في فيه، فقال له زيد بن أرقم: إرفع قضيبك، إني رأيت رسول اللہ ﷺ واضعاً شفتيه على موضع قضيبك.فقال له: إنك شيخ قد خرفت وذهب عقلك"

Saeed Bin Mua'az Aur Amr Bin Shahal bayan karte hai ki ye dono Ubaidullah Bin Zyad ke pass hajir the, Jab Ye Hussain Razi Allahu Anhu ki naak aur unki aankho par lakdi se maar rha tha aur Muh kured rha tha to Zaid Bin Arqam ne kaha : Apni Lakdi hata lo , maine Allah Ke Rasool ko is jagah par apne honth rakhte huye dekha hai jahan par tum chadhi rakh rhe ho , to Ubaidullah Bin Zyad ne unse kaha : Tu Buddha hokar sethiya gaya hai aur teri aqal zaayl ho chuki hai.

[Al Radd Alal Mutassab Ul Unaid Almane Min Zamm Yazeed Safa - 40]

Ye riwayat mauzu aur manghadat hai iske andar ek "Haram" name ka raawi mauzood hai jiske mutalliq

1] Imam Safayi Rahimaullah (Died 204 Hijj) ne kaha

"الرواية عن حرام حرام"

Haram (Bin Usman) se riwayat karna haraam hai.

[Tareekh E Bagdad Matbua'a Al-Sa'adah 8/278 Wa Isnaadu Hasan]

2] Imam Ibne Hibban Rahimaullah (Died 354 Hijj) ne kaha

"كان غاليا في التشيع منكر الحديث"

Ye Gaali kism ka shiya aur munkir ul hadees hai.

[Al-Mazrooheen Libne Hibban 1/269]

3] Imam Zauzi Rahimaullah (Died 598 Hijj) iske mutalliq kahte hai

"هذا حديث لا يصح والمتهم به حرام"

Ye hadees sahih nahi hai aur ise gadhne mein Haram Bin Usman Mutham hai.

[Al-Illal Al-Muntahina 2/717]

Ibne Zauzi {Rahimaullah} par hairat hai ki unhone apni kitab "Al-Illal Al-Muntahina" me khud hi "Haram" ko hadees gadhne wala bataya lekin yazeed ki mazammat mein Taleef kardah kitab mein Yahi Ibne Zauzi {Rahimaullah} isi Mutham aur hadees gadhne wale se riwayat nakal kar rhe hai.

Wajeh rhe ki sahih riwayat se ye Sabit hai ki Hussain Razi Allahu Anhu ka sar Ubaidullah bin Zyad ke pass laya gaya , usne aapka chehra dekha to ek lakdi jisse wo jameen kured raha tha usi se apke chehere ki taraf ishara karte huye apki Khoobsoorti ki tareef ki.
 

Top