Kya Zebra Halaal Hai?

Tehqeeq: Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullaah

Daai Islamic Dawah Center Taif (Saudi Arabia)
Romanised: Khadija Muhammadi

Barr e Sagheer Ke Musalmaano Me Zebra Ke Mutalliq Shubah (Doubt) Paya Jata Hai Ke Yah Jangli Ghadha Hai Ya Koi Aur Janwar Hai? Agar Koi Aur Janwar Hai To Uske Khane Ka Kya Hukm Hai? Mene Baaz Ulama Ko Bhi Is Topic Me Mashkuk (Shak Me) Paya Hai, Is Wajah Se Mukhtasaran Main Zebra Ke Mutalliq Ma'loomaat Likh Kar Awaam Aur Khawaas Ka Shubah Door Karna Chahta Hun.
Zebra Ghode Se Milta Julta Ghadhe Ki Nasal Ka Janwar Hai. Yah Jangalaat, Ghaas Phoos Wale Hare Bhare Maidaan, Khaardaar (Kaante Waale) Ilaaqe, Chattani Wadi Aur Pahadi Maqaamaat Me Rehta Hai. Yah Ma'loom Rahe Ke Ghadhe Ki 2 Hi Qism Paayi Jaati Hai. Ek Qism Gharelu Ghadha Aur Dusri Qism Jangli Ghadha Hai, Goya Zebra Ghadhe Ki Dusri Qism Hai.
① Jangli Ghadha: Ise Arabic Me “Himaar Wahshi” Kehte Hain, Iska Khana Halaal Hai. Is Ke Halaal Hone Ki Daleel Abu Qatadah Radhiallahu Anhu Se Marwi Yah Rivayat Hai, Woh Kehte Hain:
أنَّهُ كانَ معَ رسولِ اللهِ صلَّى اللهُ عليهِ وسلمَ ، حتى إذا كانَ ببعضِ طريقِ مكةَ ، تخَلَّفَ معَ أصحابٍ لهُ مُحْرِمِينَ ، وهوَ غَيرُ مُحْرِمٍ ، فَرَأَى حِمَارًا وحْشِيًّا ، فاستَوى على فرسِهِ ، فسألَ أصحابَهُ أنْ يُنَاوِلُوهُ سَوطَهُ فَأَبَوا ، فسأَلَهم رُمْحَهُ فَأَبَوا ، فَأَخذَهُ ثم شَدَّ على الحمَارِ فقَتَلهُ ، فأكَلَ منهُ بعضُ أصحابِ النبيِّ صلَّى اللهُ عليهِ وسلَّم وأبَى بعضٌ ، فلمَّا أدْرَكوا رسولَ اللهِ صلَّى اللهُ عليهِ وسلمَ سأَلوهُ عن ذلكَ ، قالَ : إنمَا هي طُعْمَةٌ أطْعَمَكُمُوهَا اللهُ​
Tarjumah: Ham Aap ﷺ Ke Sath The (Sulah Hudaibiyah Ke Mauqa’ Par) Makkah Ke Raste Me Aap ﷺ Apne Kuch Sathiyon Ke Saath Jo Ehraam Bhandhe Huwe The, Lashkar Se Peeche Reh Gaye. Khud Qatadah Radhiallahu Anhu Ne Abhi Ehraam Nahi Bandha Tha. Fir Unhone Ek Gorkhar (Jangli Ghadha) Ko Dekha Aur Apne Ghode Par (Shikaar Karne Ki Niyyat Se) Sawaar Ho Gaye, Us Ke Baad Unhone Apne Sathiyon Se (Jo Ehraam Baandhe Huwe The) Kaha Ke Koda Utha Den Unhone Us Se Inkaar Kiya, Fir Unhone Apna Neza Maanga Uske Dene Se Unhone Inkaar Kiya, Aakhir Unhone Khud Use Uthaya Aur Gorkhar Par Jhapat Pade Aur Use Maar Liya. Nabi ﷺ Ke Sahaba Me Se Kuch Ne To Us Gorkhar Ka Goshat Khaya Aur Baaz Ne Uske Khaane Se (Ehraam Ke Uzr Ki Bina Par) Inkaar Kiya. Fir Jab Yah Rasool ﷺ Ki Khidmat Me Pahunche To Uske Mutalliq Masala Pucha. Aap ﷺ Ne Farmaya Ke Yah To Ek Khane Ki Cheez Thi Jo Allaah Ne Tumhein Ata Ki.
(Sahih ul Bukhari: 2914)

② Paltoo/Gharelu Ghadha: Ise Arabic Me “Himaar Ahli” Kehte Hain, Iska Khana Haraam Hai. Iske Haraam Hone Ki Daleel Abu Tha’labah Radhiallahu Anhu Se Marwi Yah Rivayat Hai, Woh Bayaan Karte Hain:
حرَّم رسولُ اللهِ صلَّى اللهُ عليه وسلَّمَ لحومَ الحُمُرِ الأهليةِ​
Tarjumah: Rasool ﷺ Ne Gharelu Ghadhe Ke Goshat Ko Haraam Qaraar Diya.
(Sahih Muslim: 1936)

ZEBRA KI KAIFIYYAAT AUR KHUSUSIYYAAT:
Isme Koi Shak Nahi Ke Zebra Hi Jangli Ghadha Hai, Hadees Me Jis “Himaar Wahshi” Ka Zikr Hai Zebra Wahi Janwar Hai, Rasool ﷺ Ke Zamane Me Yah Janwar Maujood Tha, Abu Qatadah Radhiallahu Anhu Ne Jis Jangli Ghadhe Ka Shikaar Kiya Woh Yahi Zebra Hai. Yah Baat Bhi Sahih Hai Ke Zebra African Nasal Hai, Mashriq (East) Aur Junubi Africa (South Africa) Me Kasrat Se Paya Jata Hai. Jab Europe Aur Asia Ko Milane Wali Misr (Egypt) Ki Nahr e Suez (Suez Canal) Bani Nahi Thi To Yah Janwar Jazeerat ul Arab Me Bhi Aaya Karta Tha Balki Africa Ke Tamaam Janwar Sher (Loin), Cheeta, Hiran (Deer), Nilgai (Blue Bull) Wagairah Jazeerat ul Arab Me Paaye Jaate The. Baat Hai Usi Ek Nahar Ki Jo Buhaira e Room (Mediterranean Sea) Ko Buhaira e Qulzoom (Red Sea) Se Milaati Hai. Shuru Se 10 Saal Pehe Asia Aur Europe Ke Darmiyan Aane Jaane Ki Aasaani Ke Liye Nahr e Suez (Suez Canal) Ka Mansubah Shuru Kiya Gaya Aur 1869 Me Is Canal Ka Iftitaah Ho Gaya. Is Nahar Ki Wajah Se Africa Se Haiwaanat Ke Aane Ka Silsila Band Ho Gaya. Tabhi Se Zebra Aur Doosre African Jangli Janwar Jazeerat ul Arab Se Khatam Ho Gaye.
Zebra Purtagaali Zabaan (Portuguese Language) Ka Lafz Hai. Iska Tarjumah “Himaar Wahshi” Yani Jangli Ghadha Hota Hai. Iska Colour White Hota Hai Aur Iske Jism Par Black Dhariyan Hoti Hai. Un Dhariyon Se Khud Ko Ghaas Phoos Me Chupa Leta Hai. Is Janwar Ki Badi Khususiyat Hai Jin Ke Zikr Ka Yah Maqaam Aur Mahal Nahi Hai. Iske Khuraak Ki Baat Ki Jaaye To Tehni, Patte, Chhaal, Jhaadi Aur Ghaas Khane Wala Janwar Hai Magar Hai Hamla Aawar (Hamla Karne Waala), Group Ke Saath Zindagi Guzarta Hai Aur Koi Us Par Hamla Kare To Sare Group Waale Mil Kar Difa’ Karte Hain. Iske Andar Wahshiyat Hone Ke Sabab Gharelu Nahi Banaya Ja Sakta Ya Aysa Kahen Ke Yah Insaano Se Manoos Nahi Ho Sakta, Jo “Himaar Ahli” Hai Wahi Insaano Ke Gharelu Kaam Aata Raha Hai.
Baaz Logon Ka Kehna Hai Ke Zebra Apni Gandagi Khata Hai Magar Yah Baat Ma’loomaat Aur Tajurbe Ke Khilaaf Hai. Is Liye Ke Yah Baat Na Us Janwar Ki Khususiyat Batane Waali Kitaab Me Maujood Hai Aur Na Hi Zoo Me Uski Khuraak Faraham Karne Waalon Ne Zikr Ki Hai.
Zebra Hi Jangli Ghadha (Himaar Wahshi) Hai Us Talluq Se Ek Qawi Baat Yah Jaan Len Ke Duniya Me Zebra Ke Alawah Aur Koi Janwar “Himaar Wahshi” Nahi Hai. Ise Arabic Me Himaar Wahshi Ke Alawah Himaar Zard, Himaar Mukhattat Aur Himaar Ataabi Bhi Kehte Hain. Maujudah Waqt Me Is Ki 3 Aqsaam Paayi Jaati Hain Jo Aapas Me Colour Aur Jasamat (Size) Me Thode Bahut Mukhtalif Hote Hain.
Maidaani Zebra, Gharelu Zebra Aur Pahadi Zebra Jinhein English Me Plains Zebra, Grevy's Zebra, Mountain Zebra Kehte Hain.

NILGAI (BLUE BULL) AUR JANGLI GHADHE ME FARQ:
Ahaadis Me Maujood Lafz “Al-Himaar Al-Wahshi” Ka Tarjumah Aam Taur Se Nilgayi Se Kiya Jata Hai Jab Ke Yah Badi Ghalati Hai. Nilgayi Alag Janwar Hai Iska “Himaar Wahshi” Se Koi Talluq Nahi Hai Barr e Sagheer Me Nilgayi Ke Naam Se Jo Janwar Mashhoor Hai Woh Jazeerat ul Arab Me Bhi Paya Jata Tha, Use “Baqar Wahshi” Aur "Al-Maha” Bhi Kehte Hain KiyunKi Jis Tarah Zebra Mushabihat Me Ghadhe Jaisa Hai Usi Tarah Nilgayi, Gaaye Ke Mushabeh Hai. Cow Se Mushabihat Rakhne Waale Janwar Ko Ghadhe Ki Nasal Kaise Qaraar De Sakte Hain Aur Yah Janwar Jazeerat ul Arab Me Maujud Tha Nahr e Suez (Suez Canal) Ke Banne Ke Baad Khatam Ho Gaya Lekin Haiwaanat Ki Kitaabon Mein Is Ki History Dekhi Ja Sakti Hai. Balki Internet Par Iski Photos Bhi Bakasrat Maujud Hai.
Ab Ek Sawaal Yah Paidah Hota Hai Ke Agar Nilgayi “Baqar Wahshi” Me Shumaar Hota Hai To Uska Khana Kaisa Hai?
Mausoo’ah Fiqhiyyah Me Likha Hai Ke Har Wahshi Janwar Jis Ke Paas Kachli Wala Daant Na Ho Jis Se Cheed Phaad Karta Hai Aur Woh Hasharaat Me Bhi Se Na Ho Jaise Hiran, Wahshi Gaaye, Wahshi Ghadha, Wahshi Oont, To In Tamam Aqsaam Ke Janwaron Ke Halaal Hone Par Tamam Musalmaano Ka Ittifaq Hai Kiyunke Yah Pakizah Janwaron Me Se Hain.
(Al Mausoo’ah Al-Fiqhiyyah:5/134)

Khulasa e Kalaam Yah Hai Ke Zebra Khana Halaal Hai, Aur Usko Jangli Janwar Ya Himaar Wahshi Kehte Hain Aur Nilgayi Ko Arabic Me Baqar Wahshi Kehte Hain Yah Bhi Jangli Ghadhe Ki Tarah Halaal Hai.
 
Last edited by a moderator:
Top