Umar Asari

Administrator
Staff member
“La ilaaha illa anta subhaanaka” padhne ki fazeelat?

❀Sawaal:❀
Ayte karima me Hazrat yunus alahi ssalam ki dua h لا إله إلا أنت سبحانك إني كنت من الظّالمين ye dua h
Ise log hazar ya lakh martaba kisi maqsad ke liye padhte h ye kya sahi hai?

✿Jawaab:✿
1000 ya 100000 baar «لَا إِلَهَ إِلَّا أَنْتَ سُبْحَانَكَ إِنِّي كُنْتُ مِنَ الظَّالِمِينَ» padhne ka suboot nahi milta hai. Lehaaza ta'daad muta'ayyan kar ke padhna sahih nahi. Albatta «لَا إِلَهَ إِلَّا أَنْتَ سُبْحَانَكَ إِنِّي كُنْتُ مِنَ الظَّالِمِينَ» padhne ke mutalliq do riwayaat maujood hain.

Saad Radhiallahu Anhu kehte hain ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya:
دَعْوَةُ ذِي النُّونِ - إِذْ دَعَا، وَهُوَ فِي بَطْنِ الْحُوتِ - : لَا إِلَهَ إِلَّا أَنْتَ سُبْحَانَكَ إِنِّي كُنْتُ مِنَ الظَّالِمِينَ ؛ فَإِنَّهُ لَمْ يَدْعُ بِهَا رَجُلٌ مُسْلِمٌ فِي شَيْءٍ قَطُّ إِلَّا اسْتَجَابَ اللَّهُ لَهُ​
Tarjumah: “Zunnoon (Younus Alaihissalam) ki dua jo unhon ne machli ke pet mein rahne ke dauraan ki thi woh yeh thi:
لَا إِلَهَ إِلَّا أَنْتَ سُبْحَانَكَ إِنِّي كُنْتُ مِنَ الظَّالِمِينَ
(Tere siwa koi ma’bood e barhaq nahi, tu paak hai, main hi zaalim (khatakaar) hun)
kiunki yeh aisi dua hai ke jab bhi koi musalmaan shakhs ise padh kar dua karega to Allah Taala us ki dua qabool farmaayega”.
(Tirmizi: 3505)
Allama Albani Rahimahullah ne Sahih ul Jami': 3383 mein ise Sahih kaha hai.

Mazeed ek doosri Hadees mein hai. Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam farmaate hain:
ألا أخبركم بشيء إذا نزل برجل منكم كرب أو بلاء من أمر الدنيا دعا به ففرج عنه؟ دعاء ذي النون: لَا إِلَهَ إِلَّا أَنْتَ سُبْحَانَكَ إِنِّي كُنْتُ مِنَ الظَّالِمِينَ​
Tarjumah: Main tumhein woh cheez na bataaun ke agar kisi par duniya ki koi museebat ya azmaish aa jaaye to woh use padhe to use us se najaat mil jaayegi? Woh Younus Alaihissalam ki dua hai «لَا إِلَهَ إِلَّا أَنْتَ سُبْحَانَكَ إِنِّي كُنْتُ مِنَ الظَّالِمِينَ»
(Sahih ul Jami': 2605)

Wallahu A'lam.
Islamqa: 2241
 
Top