Layt Kar Quran Padhna Kaisa hai?


Umar Asari

Administrator
Staff member
Layt Kar Quran Padhna Kaisa hai?

Tehreer: Umar Asari

✵Sawaal:✵
Layt Kar Quran Padhna Kaisa hai?

✯Jawaab:✯

Quran e Kareem ki tilawat layt kar karne mein koi harj nahi hai. Kiunki Allah Taala ka farmaan hai:
الَّذِينَ يَذْكُرُونَ اللَّهَ قِيَامًا وَقُعُودًا وَعَلَى جُنُوبِهِمْ​
Tarjumah: Jo Allah Taala ka zikr khade aur baithe aur apni karwaton par layte huwe karte hain.
(Surah Aal e Imran, Surah No: 3 Ayat No: 191)

Mazeed doosre maqam par farmaya:
فَإِذَا قَضَيْتُمُ الصَّلَاةَ فَاذْكُرُوا اللَّهَ قِيَامًا وَقُعُودًا وَعَلَى جُنُوبِكُمْ​
Tarjumah: Phir jab tum Namaz ada kar chuko to uthte baithte aur layte Allah Taala ka zikr karte raho.
(Surah An-Nisa, Surah No: 4 Ayat No: 103)

Upar zikr ki gayi dono Aayaat mein Allah ke zikr ko uthte baithte aur layte karne ka zikr hai aur Quran Allah ke zikr mein shaamil hai.
Mazeed Hadees se bhi iska suboot milta hai. Chunancha Aisha Radhiallahu Anha bayan karti hain:
كَانَ النَّبِيُّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: يَقْرَأُ الْقُرْآنَ وَرَأْسُهُ فِي حَجْرِي وَأَنَا حَائِضٌ​
Tarjumah: Nabi e Kareem ﷺ us waqt bhi Quran padhte the jab Aap ka sar e mubarak meri god mein hota aur main haalat e haiz mein hoti.
(Sahih Bukhari: 7549, Sahih Muslim: 301)

Imam Nawawi Rahimahullah is Hadees ki tashreeh mein likhte hain:
فيه جواز قراءة القرآن مضطجعا ومتكئا​
Tarjumah: Is Hadees mein Quran e Kareem ko layt kar aur tayk laga kar padhne ka jawaz hai.

Allama Ibn e Baz aur Shaikh Saleh Al-Fawzan ka yahi fatwa hai.
والله أعلم بالصواب​
 

Similar threads


Top