LOTRY


Ibnatu Ali

Member
❐LOTRY❐

بسم الله الرحمن الرحيم​

Aaj humaarey iss zamaaney mein juwey ki bahut si shaklein hain, un shaklon mein se pehli toh aaj kal naseeb ya [lotry] ke naam se ma'roof hai jiski bahut si soortein maujood hain aur sabsey ma'mooli qism ye hai ke log paise dey kar number yaa ticket khareedtey hain jiss par qura' andaazi hoti hai aur pehley doosrey teesrey number par jeetney waaley ko in'amaat miltey hain aur isi tarah ke mukhtalif in'amaat hotey hain aur ye sab haraam hai agar che log usey faidah mand kehtey aur khidmat e khalq qaraar detey hain yaa phir uss mein rifaah e 'aama[khusi] aur bhalaayi ka da'waa kartey hain lekin dar haqeeqat ye haraam hai.

Isi tarah koi cheez aisi khareedein jiske packet yaa lifaafey mein ek majhool(naa ma'loom) cheez ho yaa koi saamaan khareedney ke waqt uss ke saath ek number diya jaaye jis mein qura' andaazi ki jaaye taa ke jeetney waalon ki nishaandahi ki jaaye toh ye sab bhi lotry ki hi iqsaam hain.

━━━━━━━━━━━
┃Kitaab: Muharramaat ❨Haraam Ashya wa Umoor❩ Taleef: Fazilat Al Shaykh Mohammad Saalih Al-Munajjid [Hafizahullah] Page No: 80,81┃
 
Top