Maa Ka Doodh Bakhshwane ki Haqeeqat


Umar Asari

Administrator
Staff member
Maa Ka Doodh Bakhshwane ki Haqeeqat

Tehreer: Sheikh Maqbool Ahmed Salafi Hafizahullah

Quran o Hadees Mein Aisi Koi Baat Nahi Milti Lekin Samaaj Mein Yeh Baat Mash-hoor (Famous) Hai Ke Maa Se Doodh Bakhshwa Lo. Ya Baaz (Kuch) Maayen (Mothers) Bolti Hain Ke Mein Ney Apna Doodh Bakhsh Diya.
Yeh Darasal Tawahhumaat (Superstition) Mein Se Hai. Islam Mein Asal Cheez Hai Allah Taala Ke Huqooq, Uske Baad Bandon Ke Huqooq.
Bande Ko Allah Ke Huqooq Ada Karna Chahiye Aur Isi Tarah Bande Ke Upar Bandon Ke Jo Huqooq Hain Usay Ada Karna Chahiye.
Allah Taala Ne Maa Baap Ke Huqooq Wazeh Kar Diye Hain.

✵Walidain Ke Huqooq Mein✵
Walidain Key Saath Bhalai Ka Hukm
Maa Baap Ki Khidmat Karna
Budhaapey Mein Sahara Banna
Walidain Ke Saath Narmi or Tawazo, Khaksari or Inkisari Se Pesh Aana
Walidain Ke Liye Dua Karna
Walidain Ki Narazgi Se Bachna Aur Un Ka Hukm Maanna

Yeh Sab Maa Baap Key Huqooq Hain, Jo In Huqooq Ko Ada Karega Woh Allah Key Yahan Maa Ka Doodh Bakhshwaney Key Mutalliq Nahi Poocha Jayega.
 

Similar threads


Top