Allah Ke Pyaare Naam Aur Un Ka Ma'ni Wa Matlab


Ibnatu Ali

Member
Allah Ke Pyaare Naam Aur Un Ka Ma'ni Wa Matlab

Tehreer: Shaikh Saad Ibne Ali

Romanised: Binte Khursheed Ali

هُوَ اللَّهُ الَّذِي لَا إِلَهَ إِلَّا هُوَ
(Allah(ﷻ) woh ba-barkath zaat hai) ke jis ke siwa koi doosra saccha ma’bood nahi hai,

》AR-RAHMAAN( الرَّحْمَنُ) : Allah ka ye naam Allah ke apni makhlooq ke liye kushaada rehmath waale honay par dalaalat karta hai, jis ki rehmath tamaam makhloqaat ko shaamil hai, aur ye naam Allah ta’ala ke liye khaas hai, Allah ke siwa kisi ( bhi makhlooq ko rahman kehna jaez nahi hai)

》AR- RAHEEM(الرَّحِيمُ) : woh zaat ke jo apne mu’min bande bandiyon par baroze qayaamat rahem karne waale hain, aur inhein bakhsne waale hain, chunanche Allah ne inhein apni ibaadat ki taufeeq bakhshi, aur aakhirat mein apni ibaadat ke sileh mein jannat mein dakhil farma kar inhein izzat ataa karenge.

》AL-MALIK(الْمَلِكُ) : Allah hi haqeeqi badeshah hain aur inhi ko ye haq hai ke woh jis kaam ka chahe apne bandon ko hukm kare aur jis kaam se chahe bando ko mana' kare, woh apne hukm aur fe’l se apni makhloqaat mein tasarruf karte hain, saltanat ko umdagi se chalaane ya apni makhlooq ka bharpoor khayaal rakhne mein Allah par kisi ko bhi fazeelath hasil nahi hai.

》AL-QUD'DOOS(الْقُدُّوسُ) : Allah Woh hai ke jo har ay’eb wa nuqsaaan se bilkul paak hain.

》AS-SALAAM(السَّلامُ) : Allah who hai ke jo apni be-misaal zaat apne buland ausaaf aur apne khoobsurat naamo aur apne tamaam umdah kaamo mein salaamati waale hain aur duniya wa aakhirat ki har salaamati Allah hi ki milkiyath hai aur inhi ki ataa karda hai, woh har naqs wa ay’eb se mehfooz hai, aur tamaam makhloqaat ko har is cheez se mehfooz wa salaamat rakhne waale hain jo makhlooq ko nuqsaan pohnchaane waali hai.

》AL-MU’MIN(الْمُؤْمِنُ) : Allah woh hai jo apne rasoolon aur in ke pairo-kaaron ki sacchai aur in ki sadaaqat par dalaalat karne waale (baraheen ya’ani) daleel wa hujjaton ki tasdeeq karne waale hain, aur har tarah ka aman bhi inhein Allah hi ki jaanib se milta hai, Allah ne apne imaan waale bando ko is baat ki zamaanat di hai ke woh in par zaraa baraabar bhi zulm na karenge, inhein (daayimi) azaab na denge, aur na baroze qayaamat inhein koi ghabrahat wa pareshaani ki kaifiyat laahaq hogi.

》AL-MUHAYMIN(الْمُهَيْمِنُ) : Allah woh hai ke jo apni tamaam makhlooq ke akele hi nigraan aur har ek ki kamaal e darje hifaazat karne waale, nez unke har qaul wa amal par gawah hain aur unka gheraao karne waale hain.

》AL-‘AZEEZ(الْعَزِيزُ) : Allah woh hai ke saari izzat inhi ke laaeq hai aur wahi iske akele mustahiq bhi hain, woh jise chahe izzat de, Allah ko quwwat ki izzat haasil hai, ke koi makhlooq bhi Allah par ghalba nahi paa sakti, mehfooz wa mazboot aur be-niyaazi ki izzat haasil hai ke Allah kisi ke mohtaaj nahi hain, quwwat wa ghalbe ki izzat haasil hai ke koi cheez bhi Allah ki ijaazat ke baghair na kuch kar sakti hai aur na hi kuch keh sakti hai.

》AL-JABBAAR(الْجَبَّارُ) : Allah woh hai ke jis ka har iraada wa chaahat naafiz hone waali hai, tamaam makhoqaat Allah hi ke maatehet hain, Allah ki azmath wa jalaal ke saamne dam baqood aur Allah ke hukum ke aage bilkul bebas wa laachaar , Allah ta’ala har shikast-e-dil ko jodne waale hain, faqeer ko ghani karne waale hain, tang dast ko aasaish dene waale hain, nez mareez ko shifa yaabi aur museebat zada ko raahat wa salaamati ataa karne waale hain.

》AL-MUTAKAB'BIR(الْمُتَكَبِّرُ) : Allah Azeem hai aur apni tamaam tar baaton aur kaamo mein buraayi se, naqs khaami se bhool chook se thakaawat wa ektaahat se oong wa neend se kamzoori wa bebasi se koson door hai, apni kisi bhi makhlooq par adna tareen zulm karne se bahut buland hai apni jhagdaalu makhlooq par poora qaabu rakhne waale hain, woh badaayi ki sifat se mutassif hai, makhlooq mein se agar koi badaayi ki sifat ko Allah se cheenney ki jurrat karega toh Allah iske tukde tukde kar denge aur ise azaab denge.

》AL-KHAALIQ(الْخَالِقُ) : Allah who hai ke jinhone apni saari makhlooq ko akele hi sirf 6 dino mein paida farma diya.

》AL-BAARI’(الْبَارِيُّ) : Allah woh hai ke jo baghair kisi misaal ke jis makhlooq ko jaisa chaaha banaane waale aur uske wajood ka izhaar karne waale hain.

》AL -MUSAW'WIR(الْمُصَوِّرُ) : Allah woh hai ke jo apni makhlooq mein se har ek ko iski munasib haal surat wa shakal ataa karne waale hain.

》AL-GHAFFAAR(الْغَفَّارُ) : ye Allah ka aisa naam hai ke jo Allah ke bakasrat apne bando ke gunaahon aur inki laghzishon ko bakash dene par dalaalat karta hai, woh gunaahon ki mu’aafi chahane waale gunahagaar ko mu’aaf kar dete.

》AL-QAH'HAAR(الْقَهَّارُ) : (Allah woh hai ke jo apne bando ko kamaal e darja) apne qaabu mein rakhne waale aur inhein apne farmaan ka taabe’ karne waale hain, tamaam makhlooq ko apni bandagi par lagaane waale , aise zabardast ghalbe waale hain ke tamaam ki gardane Allah ke saamne jhuki huwi aur tamaam chehre Allah ke taabe’ hain.

》AL-WAH'HAAB(الْوَهَّابُ) : Bahut zyaada ‘atyaat ke maalik, apne bando ko bilaa mu’aawezaa ataa karne waale hain, aur baghair kisi tama’ wa laalach ke ataa karne waale, nez baghair sawaal ke inaam wa ikraam karne waale hain.

》AR-RAZ'ZAAQ(الرَّزَّاقُ) : ye Allah ka ek aisa naam hai jo Allah ke apni tamaam makhloqaat ko bakasrat rozi farahem karne waale honay par dalaalat karta hai, Allah ke rozi farahem karne ka andaaz is darje umdah aur be-misaal hai ke , makhlooq ke maange baghair hi woh inhein roziyaan ataa karte hain, balke makhlooq ki na farmaaniyon aur gunaahon ke ba-wajood inhein ataa karte hain.

》AL-FAT'TAAH(الْفَتَّاحُ) : woh apni milkiyat, rehmath, nez apni roziyon ke khazaano ko apne ilm wa hikmat ke mutaabiq apni makhlooq me se jis par chahte hain kholte hain.

》AL-‘ALEEM(الْعَلِيْمُ) : Allah who hai ke jis ke (kaamil) ilm ne zaahir wa baatin, poshida wa alaaniya, guzishta, maujooda, aur mustaqbil ki har cheez ka gheraao kar rakha hai, aur Allah par tamaam makhloqaat me se koi ek bhi cheez chipi huwi nahi.

》AL-QAABIZ(الْقَابِضُ) : Allah woh hai ke jo apni makhlooq ki roohon ko qabz karte hain, aur wahi apni zabardast hikmath wa khudrath ke mutaabiq aazmaane ke liye makhlooq me se jis kisi se chahe apne rizq ko rokne waale hain.

》AL-BAASIT(الْبَاسِطُ) : Allah woh hai ke jo apni umdagi wa fayaazi nez apni rehmat se apne bando me se jis ki chaahe rozi me faraakhi karte hain, aur apni hikmat ke mutaabiq (is rozi ko in par tang kar ke) in ki aazmaaish bhi karte hain, ( aur apne gunahgaar) bando ki taubah ko qubool karne ke liye apne dono haath phelaate hain.

》AL-KHAAFIZ(الْخَافِضُ) : woh ke jo maghroor wa ghamandi logon ko past wa neecha karne waale hain, aur sarkasho ko zair karne waale hai.

》AR-RAAFE’(الرَّافِعُ) : Logon ke haan kamzor wa ‘aajiz samjhe jaane waale imaandaar bando ko sarbulandi aur baaladasti ataa karne waale hain.

》AL-MU’IZZ(الْمُعِزُّ) : Allah woh hai ke jo apni maqlooq mein se jise chahte hain izzat ataa karte hain.

》AL-MU'ZIL(الْمُذِلُّ) : Allah woh hai ke Jo apni makhlooq mein se jise chahte hain zaleel kar dete hain.

》AS-SAMEE’(السَّمِيعُ) : Allah woh hai ke jisne har aahistaa se aahistaa tarbaat ka apni samaa’t (ya’ani sunne ki sifat) gheraao kiya huwa hai, aur woh har buland awaazi wa past awaazi ko yeksaa taur par bakhubi sunte hain, aur pukaarne waala jab tanha inhi ko pukaare toh uski dua’a qubool bhi farmaate hain.

》AL-BASEER(الْبَصِيرُ) : Allah woh hai ke jis ki nigah ne kaaenaat ki poshidah aur zaahir tamaam maujudaat ka gheraao kar rakha hai khwaah kitni hi maqfi tar ya zaahir ho, nez woh maqlooq khwaah kitni hi choti ya badi ho.

》AL-HAKAM(الْحَكَمُ) : Allah woh hai ke jo apni makhlooq ke darmiyaan nihaayat ‘adal wa insaaf se faisle farmaate hain, in mein se kisi ek par bhi adna tareen zulm nahi karte, Allah hi ne apni kitaab nazil farmaayi taa ke woh (kitaab logon ke) darmiyaan faisla kun ho.

》AL-‘ADL(الْعَدْلُ) : Allah hi haqeeqi baadeshah hain ke jo apne tamaam baato aur kaamo mein ‘adal wa insaaf karne waale shahishah hain.

》AL-LATEEF(الَّطِيفُ) : Allah woh hai ke jo apni banayi kayenaat ki tamaam makhloqaat ki sabhi baarikiyon ko ba-khubi jaanne waale hain, logon se chupa huwa koi bhi ma’amlaa Allah se chupa huwa nahi hai, apne bando ko aise ghair mehsoos aur maqfi(ya’ani chupa huwa)zaraa’e se khair(ya’ani bhalaayi) aur munafa’(ya’ani faide ki) cheezen in tak pohnchatey hain jahan se bando ko(in ke milne ka) gumaan bhi nahi hota.

》AL- KHABEER(الْخَبِيرُ) : Allah woh hai ke jo apni saari makhlooq se har tarah se ba-khabar hain, koi ek zarrah bhi aisa nahi jo Allah ke ‘ilm se baher ho.

》AL-HALEEM(الْحَلِيمُ) : Allah woh hai ke jo apne bando ko sazaa dene ki khudrat rakhne ke ba-wajood inhein inki nafarmaaniyon par jald sazaa nahi dete, balke in se darguzar farmaate hain, aur bando ke mua’afi maangne par inhein mua’af bhi kar dete hain.

》AL-’A-ZEEM(الْعَظِيمُ) : Allah woh hai ke jo apni ba-barkat zaat, khoobsurat naamo, aur buland sifaat mein mutlaq ‘azmath wa badaayi wa tareefon ke maalik hain isi liye Allah ne makhlooq par ye farz kiya hai ke woh Allah ki khoob ta’zeem wa takreem kiya kare, aur Allah ke har amr(ya’ani woh kaam aur baatein jinko apnaane ka Allah ne hukum diya hai) apnaane ki aur nahi (ya’ani woh kaam aur baatein jinse bachne ka Allah ne hukum diya hai) bachne ki paabandi karen.

》AL-GHAFOOR(الْغَفُورُ) : Allah woh hai ke jo apne bandey ke gunah par pardah daal kar ise apni doosri makhlooq se chupaane waale hain, aur ise ruswaayi se bachaane waale nez ise jald hi iske gunah par sazaa na dene waale hain.

》ASH-SHAKOOR(الشَّكُورُ) : Allah woh hai ke jo apne imaandaar bando ke thode ‘aamaal-e-saleha ko(ajar wa sawaab mein) bahut badhaa dete hain, aur unka badla dugna jugna ataa karte hain, Allah ki sifaat-e-shakooriyat( ya’ani khadar daani) ye hai ke woh bandey ko apni shukr guzaari par saabit khadam rakhne waale, aur uski ita’at ko qubool karne waale hain.

》AL-'ALIYY(الْعَلِيُّ) : Allah woh hai ke jo apni zaat ke aitebaar se tamaam makhloqaat se buland tar hai (is tarah ke woh saato aasmaano ke oopar apne arsh par mustawi hai) aur apne khoobsurat naamo aur buland sifaat ke aitebaar se bhi buland har ek se buland tareen hain. Har cheez Allah ki taaqat aur iqtedaar ke ma-tehet hai, aur khud Allah par kisi bhi makhlooq ka koi iqtedaar aur ghalbaa nahi hai, khwah Allah ki taraf se bheje huwe koi nabi ho, ya koi muqarrib farishta ho, ya koi wali ho.

》AL-KABEER(الْكَبِيْرُ) : Allah woh hai ke jo apni ba-barkath zaat , aur buland ausaaf , aur be-misaal af’aal mein sab se bade hain, Allah se badi koi cheez nahi balke Allah ke siwa har cheez Allah ke jalaal aur ‘Azmath ke saamne nihaayat choti aur past hai.

》AL-HAFEEZ(الْحَفِيظُ) : Allah woh hai ke jo apne fazal aur ehsaan se apne imaandaar bando aur bandiyon ke a’maal-e-saleha ki hifaazat farmaate hain, woh apni qudart se tamaam makhlooq ki hifaazat wa ri’ayat farmaate hain.

》AL-MUQEET(الْمُقِيتُ) : Allah woh hai ke jinho ne tamaam tar roziyaan aur zindagi guzaarne ke asbaab paida farmaa kar inhein bando tak pahunchaane ki khud hi akele zimmedaari leli, woh bando ko quwwat wa taaqat pohnchaane waali cheezon ke nez inke naik a’maal ke muhaafiz wa nigraan hain.

》AL-HASEEB(الْحَسِيبُ) : Allah woh hai ke jo apne bando ki tamaam deeni aur dunyawi zarooraton ko poora karne waale hain, aur qusoosan mu’mino ke liye (inki deeni wa dunyawi) zarooraton ko poora karne ke liye (waafir miqdaar mein) inhein kifaayat karne waali ne’matein ataa karne waale hain, aur khud akele Allah hi baroze qayaamat apne tamaam bando se unke (naik aur bad a’maal) ka hisaab lene waale hain.

》AL-JALEEL(الْجَلِيلُ) : Allah woh hai ke jinki shaan badi oonchi aur niraali hai.

》AL-KAREEM(الْكَرِيمُ) : Allah woh hai ke jo bahut zyaada khair aur azeem ehsaan ataa karne waale, jise jo chaahe, jaise chaahe, maange aur bin maange ataa karne waale hain, aur(gunahgaron ko) apne gunaahon ki mu’aafi maangne par mu’aaf karne waale, aur inke aibo par pardah daal kar inhein chupaa dene waale hain.

》AR-RAQEEB(الْرَقِيبُ) : Allah woh hai ke jo apni tamaam makhlooq ki har poshidaa wa zaahir baat se har tarah baa-khabar aur inke a’maal ko gin gin kar rakhne waale, bando ki aankh ke jhapakne se pehle Allah ko iske jhapakne ka ilm hai, bando ke dilon ke khayaalaat tak ke woh paida karne waale hain.

》AL-MUJEEB(الْمُجِيبُ) : Allah woh hai ke jo pukaarne waalon ki pukaar ko sunte hain aur apne ilm wa hikmat ke mutaabiq maangne waalon ki haajat baraari karne waale hain.

》AL-WAASI’(الْوَاسِعُ) : Allah woh hai ke jinki sifaat bahut zyaada hain, kisi bhi makhlooq ke bas ki ye baat nahi ke woh Allah ki kamahaqquh taareef kar sake, Allah ki azmat wa saltanat sab par wasi’ hai, Allah ki maghfirath wa rehmath aur fazal wa ehsaan bahut aam hai.

》AL-HAKEEM(الْحَكِمُ) : Allah woh hai ke jo tamaam makhloqaat ko inki layaq jagah par rakhne waale hain, aur Allah ki tadbeer mein kisi qism ki khalal aur kamzori nahi hoti.

》AL-WADOOD(الْوَدُودُ) : Allah woh hai ke jo apne pasand'deeda farmaa'bardaar bando(ya’ni auliyaa) se mohabbat wa ta'alluq ka izhaar(inhein mu’aaf karke aur in par inaam karke) karne waale hain, phir inse raazi honay waale hain, aur inke a’maal-e-saleha ko qubool karne waale hain, aur zameen mein inhein apne doosre bando ke nazdeek pasand'deeda banaa dene waale hain.

》AL-MAJEED(الْمَجِيدُ) : Allah woh hai ke jinke layaq zameen wa aasmaan ka har faqar wa izzat aur rafa’at hai.

》AL-BAA'IS(الْبَاعِثُ) : Allah woh hai ke jo ba-roze qayaamat tamaam bando ko inki qabron se uthaa kar maidaane hashr mein jazaa wa sazaa ke liye jamaa karne waale hain.

》ASH-SHAHEED(الشَّهِيدُ) : Allah woh hai ke jo apni makhlooq Par nigraan aur inke a’maal par akele hi gawah hain, inhon ne khud hi apni zaat-e- baa-barkath ke yakta aur be-misaal honay nez apne kamaal-e-‘adl wa hikmath ki gawaahi di hai, nez Allah ta’ala mo’minon ki sadaaqat ki gawaahi bhi dete hain, (is surat jabke) bande Allah ki wahdaaniyath ka iqraar kare aur Allah ke rasoolon aur farishton par nez inki naazil karda kitaabon par aur yaum-e-aakhirat ke yaqeenan barpa hokar rehne par aur achchyi aur buri taqdeer par imaan rakhein.

》AL-HAQQ(الْحَقُّ) : Allah toh woh hai ke jin ki baa-barkat zaat, khoobsurat asma wa buland sifaat aur ma’bood-e-yakta honay me koi shak aur shuba tarddud nahi hai, wahi Allah sacche ma’bood hain aur inke siwaa doosre jitne bhi ma’bood hain toh woh tamaam ma’boodaan-e-baatila hain jo dar haqeeqat jaahil mushrikon ke apne khud saaqta wa taraashidah hain.

》AL-WAKEEL(الْوَكِيلُ) : Allah woh hai ke jis ne akele he tamaam jahaanon ki paidaaish aur inki tadbeer ki zimmedaari li hain, Allah hi par tamaam makhlooq ka bharosa aur e’temaad hai. Woh akele hi tamaam ahle imaan ke behtareen kaarsaaz hain, woh imaandaar(bande) ke jinhon ne Allah ki taufeeq se apne tamaam tar mu’amlaat Allah ke hawaale kar diya, har kaam ki anjaam dahi par Allah se madad talab karte rahe, Allah ki taufeeq milne par Allah ka shukr adaa kiya, aur aazmaaish aur museebat ke baad (Allah ki likhi taqdeer par) razaa-mandi ka izhaar karke Allah ke faisle se khush ho gaye.

》AL-QAWIYY(الْقَوِيُّ) : Allah woh zaat-e-ba-barkat hai ke jise kkamal-e-darje ki mashiyat ke saath saath qudrat mutlaq bhi haasil hai.

》AL-MATEEN(الْمَتِينُ) : Allah woh zaat e ba-barkat hai ke jo apni qudrat wa quwwat mein be-misaal aur zabardast hain, Allah(ﷻ) ko apni shaan ke layaq kisi bhi kaam mein na koi dushwaari hoti hai, na takleef hoti hai ,na iktaahat hoti hai, na thakaawat inhein chooti hai.

》AL-WALIYY(الْوَلِيُّ) : Allah woh hai ke jo apni makhlooq ke tamaam kaamo ke khud akele hi nigraan hain, aur kul kaaenaat ki akele hi tadbeer karne waale hain , woh apne auliyaa ke madad'gaar aur unke pusht panah hain.

》AL-HAMEED(الْحَمِيدُ) : Allah woh hai ke jo apne tamaam khoobsurat asma wa buland sifaat aur umdah af’al mein mehmood(khaabil-e-tareef) hain, Allah hi ki aali shaan zaat hai ke jiski aasaani aur tangi nez saqti aur aazmaaesh mein khoob tareefein ki jaati hain, har tarah ki taareefein inhi ke layaq hain aur wahi in tareefon ke akele mustahiq bhi hain, kyun ke woh har kamaal ke saath mutassif hain.

》AL-MUHSEE(الْمُحْصِي) : Allah woh hai ke jo har cheez ko apne ilm se gher lene waale hain, kayenaat mein koi ek cheez bhi Allah se posheedah nahi hai.

》AL-MUBDI‘(الْمُبْدِئُ) : Allah woh hai ke jo baghair kisi misaal ke kayenaat ki har cheez ko adam se wajood mein le aane waale hain.

》AL-MU'EED(الْمُعِيدُ) : Allah woh hai ke jo tamaam murdon ko baroz-e-qayaamat unki qabron se uthaa khadaa karenge.

》AL-MUHYI (الْمُحْيِي) : Allah woh hai ke jo makhloqaat ko maut dene ke baad inhein zinda karne waale hai.

》AL-MUMEET(الْمُمِيتُ) : Allah woh hai ke jo zindon ko maut dene waale hain.

》AL-HAYY (الْحَيُّ) : Allah woh hai ke jo khud ek zinda zaat hain, aur har ek ko zindagi ataa karne waale hain (aur Allah woh hain ke jinhein kabhi maut nahi aane waali)

》AL-QAY-YOOM(الْقَيُّومُ) : Allah who hai ke khud qaayim hain aur apni tamaam makhlooq ko thaamne waale hain.

》AL-WAAJID(الْوَاجِدُ) : Allah woh ke jinhein kisi bhi cheez ki haajat nahi) jab ke kayenaat mein maujood har cheez Allah ki mohtaaj hai.

》AL-MAAJID(الْمَاجِدُ) : Allah woh hai jo har tarah ki layaq tareef buzroogi ke mustahiq hain.

》AL-WAHID(الْوَاحِدُ) : Allah woh hai ke jo apne tamaam kamalaat mein munfard(ya’ni niraale aur be-misaal) aur yekta hain, aur inme inka koi shareek nahi aur na inki masl wa nazeer hai, is se ye laazim thairta hai ke sirf akele Allah hi ki bandagi wa ibaadat ki jaaye aur inke saath kisi bhi makhlooq ko inka shareek na thairaaya jaaye.

》AS-SAMAD(الْصَّمَدُ) : Allah woh hai ke jo apni sardaari aur buzroogi mein kamaal darje par faaez hain aur makhlooq apni shadeed zaroorat mandi ki wajah se apni zarooraton ke liye Allah hi ki taraf lapakti hai, Allah ki shaan toh ye hai ke woh sab ko khilaate, pilaate aur inhein apni roziyon se nawaazte hain, aur khud inhein khaane peene ki koi haajat nahi.

》AL-QAADIR(الْقَادِرُ) : Allah woh hai ke jo apni tamaam makhlooq par poori khudrat rakhne waale hain zameen wa aasmaan ki koi cheez Allah ko aajiz wa bebas nahi kar sakti, woh har cheez ki taqdeer likhne waale hain.

》AL-MUQTADIR (الْمُقْتَدِرُ) : Allah ka ye ek aisa naam hain Jo Allah ta’ala ki khudrat ke kamaal aur intehaa par dalaalat karta hai ke woh Allah apne ilm-e-sabiq ke mutabiq apne faisle nafiz karne aur taqleeq karne (ya’ni paida karne Par) kaamil khudrat rakhte hain.

》AL-MUQAD-DIM(الْمُقَدِّمُ) : Allah woh hai ke jo apni hikmat (ya’ni danaayi) wa mashiyat (apni chaahat) ke mutabiq apne bando mein se jise chahate hain aage karte hain, aur inhein inki munasib jagah par rakhte hain, aur apne ilm wa fazal ke mutabiq makhloqaat ko ek doosre par muqaddam karne waale hain.

》AL-MU'AKH-KHIR(الْمُؤَخِّرُ) : Allah woh hai ke jo tamaam makhloqaat ko apni apni haisiyat mein rakhte hain aur apni hikmat ke mutaabiq jisko chahate hain peeche kar dete hain, aur bando se azaab ko mu’akh-khir karte hain(ya’ni apne azaab ko taal dete hain) taa ke bande tawbah wa isteghfaar mein jaldi kare.

》AL-'AW'WAL(الْاَوَّلُ) : Allah woh hai ke jisse pehle koi cheez nahi thi balke tamaam makhloqaat toh Allah ke inhein paida karne ke baad wajood mein aayi ,aur jahan tak Allah ki zaat-e-‘alaa ka Ta'alluq hai toh Allah ki koi ibteda nahi balke Allah toh azal se hai(ya’ni hamesha se hai aur hamesha rahenge)

》AL-‘AAKHIR (الْاٰخِرُ ) : Allah woh hai ke jis ke baad kuch nahi woh akele Allah hi baaqi rehne waale hain, aur woh zameen par maujood har cheez ko khatam karne waale hain, aur phir bil-aakhir har ek Allah hi ki taraf laut kar jaane waale hain, Allah(ﷻ) ke wajood ki koi intehaa nahi(ya’ni dunya mein apni makhloqaat se pardo ke pare sab se khud ko makhfi wa posheeda rakhte ke bandey inke nooraani wa khoobsurat chehre ko dekhne ke shauq mein umr bhar inhi ki ibaadat karte rahen(kyun ke tamaam bando ki ibaadaton ki ghaaet wa maqsad-e-haqeeqi Allah ke chehre ka deedar hi toh hai Allah hum sabko apne chehre ka deedar aur iski lazzat neseeb farmaaye(AMEEN)

》AZ-ZHAAHIR(الظَّاهِرُ) : Allah woh hai jo bazaat-e-khud har cheez ke oopar bulandi par(apne arsh par mustawi) hai, aur Allah ki koi ek makhlooq bhi Allah se buland nahi, woh har cheez par ghaalib hai, aur use apne (ilm se) ghere huwe hain.

》AL-BAATIN(الْبَاطِنُ) : Allah woh hai ke jo jis se posheeda tar koi nahi(ya’ni Allah ne apne nooraani hijaab mein khud ko makhlooq se posheeda rakha), woh apne (ilm se) har ek se khareeb hain, aur har cheez ka(apne ilm se) gheraau kiye huwe hain lekin woh duniya waalon se(apne pardon ke) peeche posheeda hain, (aur apne ibaadat guzaron ko ba-roze qayaamat apne khoobsurat nooraani chere ke deedaar se musharaf farmaaenge.

》AL-WAALI(الْوَالِيُ) : (Allah maalik-e-do jahaan aur har cheez ko iske anjaam kaar tak pahunchaane ka zimma lene waale)

》AL-MUTA'AALI(الْمُتَعَالِي) : Allah woh hai ke jis ke ‘uloo(ya’ni bulandi) ke saamne har makhlooq zaleel wa past hai, aur Allah se oopar koi cheez nahi balke har cheez inse neeche aur in ke ghalbe aur iqtedaar ke saamne nihaayat haqeer wa mamooli hai.

》AL-BARR(الْبَرُّ) : Allah woh hai ke jo apni makhlooq par behad wa be-hisaab ehsaanaat karne waale hain, woh is qadar nawaazte hain ke koi Allah ki tamaam ne’maton ko ginne ya shumaar karne ki bhi isteta’t nahi rakhta, woh apne wa’de ke sacche hain, apne bando se dar-guzar farmaate hain aur inki nusrath wa himaayat karte hain, aur bando se inki ma’mooli aur choti nekiyon ko qubool farmaate hain aur iske ajar wa sawaab ko badhaate hain.

》AL-TAW'WAB(التَّوَّابُ) : Allah woh hai ke jo apne bando mein se jis ko chahe tawba ki tawfeeq de kar inse inki tawba ko qubool farmaate hain.

》AL-MUN'TAQIM(الْمُنْتَقِمُ) : Allah woh hain ke jo apne mujrim bando se akele hi inteqaam lene waale hain.

》AL-'A-FUWW(الْعَفُوُّ) : Allah woh hai ke jo apne bando ke gunaahon ko mitaate hain aur inse dar-guzar farmaate hain, aur inhein(gunah par ek dam sazaa nahi dete) halanke banda sazaa ka mustahiq thair chuka hota hai.

》AR-RA’OOF(الرَّعُوفُ) : ye Allah ka aisa naam hain jo (sifat-e-raifat se maqooz hai) (ya’ni ye Allah ki shafaqat aur narmi) par dalaalat karne waali sifat se hai, (Allah ki is sifat ka darja) Allah ki is rehmath se bhi badh kar hai, duniya mein Allah(ﷻ) tamaam makhloqaat par ra’oof hain aur aakhirat mein apne khaas bando ya’ni(imaan waalon ke liye) ra’oof honge.

》MAALIKUL-MULK(مَالِكُ الْمُلْكُ) : Allah woh hai ke jo duniya aur aakhirat mein haqeeqi farmaan-rawaa aur zi-shaan insaaf parwar badeshah hain aur wahi akele badeshahat ke mustahiq bhi hain, kyunke makhlooq ki paidaesh ke aaghaaz mein badeshahat inhi ki thi aur inke siwa koi nahi tha, aur jab makhlooq khatam hogi tab bhi badeshahat Allah hi ki hogi kisi kaam se rokne ya kisi kaam se mana' karne ka haqq Allah hi ko hai, woh apne hukum aur fe’l mein makhloqaat mein apni hikmat wa ‘adl ke mutaabiq faisle karne waale hain saltanat ko chalaane mein aur apni makhlooq ka khoob khayaal rakh ne mein Allah jaisa koi nahi.

》ZUL'JALALI WAL'IKRAAM(ذُو الْجَلَالِ وَالْأِكْرَامِ) : Allah woh hai ke jisme ‘azmath wa badaayi ki tamaam sifaat ba-darje awwal maujood hai, ke Allah ka ilm kaamil aur har cheez ko shaamil hai, har cheez par ghaalib, har ek se badh kar khuwwat waale, buzrugi waale hain, apne bando mein se jise chahte hai behad wa be-hisaab ‘ataa karne waale hain, aur inke khazaanon mein ba-wajood is fayaazi aur ‘ataa ke kuch bhi kami nahi aati, apne imaandaar bando ke ‘uyoob ki parda poshi karne waale hain inhein unki nekiyon ke bharpoor badla dene waale hain aur apne na-farmaan bando ko mohlat dete hain aur apne ‘adl se inka muhaaseba karne waale hain.

》AL-MUQSIT(الْمُقْسِطُ) : Allah woh hai ke jo apni har baat aur har kaam mein kamaal-e-darje ka insaaf karne waale hain.

》AL-JAAMI(الْجَامِعُ) : Allah woh hain ke jo apni saari makhlooq ko fanaa karne ke baad inhein ba-roze qayaamat jamaa karne waale hain.

》AL-GHA'NIYY(الْغَنِيُّ) : Allah woh hai ke jo apni kamaal-e- sifaat aur kamaal-e-mutlaq ki wajah se kabhi kisi ke mohtaaj nahi rahe aur na kabhi mohtaaj honge,(woh har ek se be-niyaaz hain) aur tamaam makhloqaat Allah ki mohtaaj hai aur Allah ke onaam wa ikraam aur madad wa nusrath ki har lamhe zaroorat mand hai.

》AL-MUGHNEE(الْمُغْنِي) : Allah woh hai ke jise chahe apni makhlooq mein se be-parwah kar dene aur apne zikr se ise itminaan wa sukoon ‘ataa karne waale hain.

》AL-MAANI’(الْمَانِعُ) : Allah woh hai ke jo apni makhlooq mein se jis se chahte hain apne khazaanon mein se apni nawaazishon ko rok lete hain.

》ADH-DHAAR(الضَّارُّ) : Allah woh hai ke jo apni makhlooq mein se jise chahe zarar pohncha kar ise aazmaate hain.

》AN-NAAFI’(النَّافِعُ) : Allah woh hai ke jo apne bando mein se jise chahe nafaa’ dekar ise aazmaate hain.

》AN-NOOR(النُّورُ) : Allah woh hai ke jo khud nooraani chehre waale hain aur apne noor se har gumrah ko rah dikhaane waale, aur zameen wa aasmaan ka noor paida karne waale hain.

》AL-HAADI(الْهَادِي) : Allah woh hai ke jo apne bando mein se jise chahe naik aur seedhi rah ki taraf rehnumaayi karne waale aur manzil-e-maqsood tak inhein pohnchaane waale hain.

》AL-BADEE’(الْبَدِيعُ) : Allah woh hai ke jo khud be-misaal hain aur apni tamaam tar makhlooq ko apne ilm wa khudrat ke mutaabiq baghair kisi namoone aur misaal ke paida karne waale hain.

》AL-BAAQI(الْبَاقِي) : Allah woh hai ke jo hameshaa baaqi rehne waale hain kabhi khatam na honge aur apni makhlooq mein se jise chahe baaqi rakhne waale hain.

》AL-WAARIS(الْوَارِثُ) : Allah woh hai ke jo apni makhlooq ko fanaa karne ke baad bhi baaqi rehne waale hain, aur har fanaa hone waali makhlooq ko Allah hi ke saamne pesh hona hai, Allah ne bando ko jo kuch diya hai woh Allah ki supurd-kardah amaanatein hain jinki baabat Allah baazpurs farmaane waale hain.

》AR-RASHEED(الرَّشِيدُ) : Allah woh hai ke jo apne bando mein se jise chahte hain seedhi rah dikhane waale hain.

》AS-SA'BOOR(الصَّبُورُ) : Allah woh hai ke jo apne na-farmaan bando ki na-farmaaniyon par kamaal darje ka sabar karne waale hain, inhein jald hi inke gunaahon par azaab nahi dete balke inhein mohlat dete hain ke apni na-farmaaniyon aur bad-amaliyon se baaz aakar Allah se tawbah wa isteghfaar karne mein jaldi kare.
 

Similar threads


Top