Main shadi kiun karun?


Umar Asari

Administrator
Staff member
Main shadi kiun karun?

Prepared by: Umar Asari

Koi kahega ki main akelepan/kunwarepan se tang aa chuka hun.
Agla aap ko apni jinsi khwaahish ka rona rota huwa nazar aayega.
Teesra kahega ki mere walidain meri shadi karana chahte hain.
Aur chautha kahega, kiunki main bada ho chuka hun aur poora mard ho gaya hun aur isi tarah ke deegar jumle aap doosron se sunenge.

Yeh to ladkon ki baat thi ab zara ladkiyon ke jawabaat bhi sun lijiye
Kiunki meri saari saheliyaan shadi kar chuki hain.
Ladki ko har haal mein shadi karni chahiye.
Meri umr ab dhal rahi hai kahin waqt hi khatm na ho jaaye.
Kiunki mujhe bachche bahut achche lagte hain.

Kuch ladkiyan shadi mein raghbat ki wajah yeh bataati hain ke unhein safar karna/ghoomna phirna bahut achcha lagta hai jabki kuch kehti hain ke unhon ne apne ghar se chutkara haasil karne ke liye shadi ki.

In saare jawabaat se yeh wazeh taur par saamne aa chuka hai ke nojawan nasl ki ek badi ta'daad shadi ke mafhoom se hi nawaaqif hai. Nateeja yeh nikalta hai ke woh un ghalat mafaheem aur masnoo'i (banaawti) tasawwurat ke saath apni marriage life ka aaghaz karte hain jis ke baad mein manfi nataaij saamne aate hain.

Shadi se pehle hone waale miyan aur biwi ko yeh achchi tarah samajh lena chaahiye ke izdiwaaji zindagi (married life) ek nai zindagi hai jo un ki nikah se pehle ki zindagi se bilkul alag hai aur yahan ikhtiyaar ka haq usi shakhs ko haasil hota hai jo apne saathi ka zindagi bhar saath dene ke liye tayyar ho. Kiunki woh bazaar se koi cheez nahi khareed raha ke agar use pasand aayi to khreed li warna phenk di aur doosri le li.

Shadi ek bhaari zimmedaari aur duty hai. Yahan par karne ke liye kaam hain. Jab hum shadi ki tareef ke liye kitaabon ki taraf rujoo' karte hain to shadi ki tareef yun milti hai:
Mard aur aurat ke darmiyaan bahmi razamandi aur shara'ee tareeqe se hamesha ke liye saath rehne ka mu'aahida jis ka maqsad iffat o pakeezgi ka husool aur ek mazboot o paidaar family ka qiyaam hota hai jo miyan biwi ke bahmi ta'awun aur pyaar o mohabbat se wujood mein aati hai.

To pata chala ke shadi ka maqsad sirf jinsi khwaahish ki taskeen nahi hai aur na hi is ka maqsad ek rasm ko poora karna hai jo barson se chali aa rahi hai balki shadi ka maqsad ek neik aur paidaar family ka qiyaam hai aur yeh family itni aasani se wujood mein nahi aati balki is ke banaane mein kaafi waqt, maal, hikmat aur soch o fikr kharch karni padti hai. Jis insaan ko shadi ke is mafhoom ki haqeeqat samajh mein aa jaaye to woh apne ghar ke har kaam karne mein lazzat o raahat mehsoos karta hai.
 

Similar threads


Top