Majburan interest pe paisa lena

Shah ahsan

New member
Assalamualaikum.. Maine kabhi bhi haraam khaya hai or na kise ko mashware diya hai. Alhumdulillah mujhe haraam or halaal ke baare main acche Tarah se malum hai. Lekin ab mere maujuda halaat aise Hogaye hai ke. Mere pass interest pe paisa lene ke alawa kuch or raasta nahi bacha.maine apne harr qhandaan ke afrad or dost aibab ko bhi pucha lekin kise se baat nahi bane. Beshaq ye ALLAH ke marzi se he hai. Mere qarza lene ke wajai ye hai ke main NIKAAH karna chahta hoon. Lekin ladke waale zyada time dene nahi chahte. Jiske wajai se mujhe paise jama karne keliye zyada time nahi milraha hai. Main chahoon tho zyada time bhi lesakta hoon. Lekin main apne pehle waale zindagi se tang hogaya hoon.main bohat koshish ke hai, ke aaj gunah nahi karunga lekin hamesha nakammiyaab raha...main khule aalfaz main nahi kehsakta. Mere pass yahi raasta sabse behtar dhika ke main NIKAAH karlo.main mahina 18000.kamata hoon. Lekin mere pass filwaqt ab Koye savings nahi hai. Ha lekin mujhe Allah pe bharosa hai ke main agar qarz lelo tho usse baqaya aada karsakta HOON.IN SHA ALLAH. tho Mera sawaal hai ke kya majbooran interest pe paisa liya jasakta hai. Baraye meherbani iska Jawaab de. Jazak Allah khairan.
 
Umar Asari

Administrator
Staff member
Walaikum Assalam Wa Rehmatullahi Wa Barakatuhu

Allah aap ki pareshani door farmaye.
Jo soorat e haal aap ne zikr ki hai us se maloom hota hai ke aap shadi karna chaahte hain, shadi mein takheer ki bhi gunjaish nahi hai is liye waqt par paisa na hone ke sabab sood par qarz lena chaahte hain.
Nikah ke liye Rasoolullah ﷺ ne farmaya ke is mein kam se kam kharch ho, ladki ki taraf se samaji rivaaj ki wajah se to kaafi kharch aata hai magar ladke ki taraf se kharch kam hota hai.
Jab aap ki salary 18000 hai aur kam kharch kar ke bhi shaadi ki jaa sakti hai to phir soodi qarz lene ki kya zaroorat hai?
Jo kuch shaadi ka kharch hoga us ke liye company se advance le le ya kam se kam salary aane tak intezaar kar len aur thoda bahut qarz e hasanah le kar shaadi kar len.
Main apne jawaab ke baad jaanna bhi chaahta hun ke shaadi mein kis baat ke liye ziyadah paisa chaahiye jab ki shaadi eejaab o qubool ka naam hai. Kisi duniyadaar gharaane mein rishte ka iradah hai to usey chhod kar deendaar gharaana talash karen aur masnoon o sabit nikah karen. Jis tarah pehle haraam se bachte rahe hain usi tarah shaadi mein haraam kaamon se bachte huwe deendar khatoon ka intekhaab karen.

Jawaab By: Shaikh Maqbool Ahmed Salafi Hafizahullah
 
Jazak Allah khairan. Shaik. Mere bade bhai foreign country jaane waale the jismain main jo kuch savings the woh saare qarch Hogaye. Or Alhumdulillah ladke acche deendaar gharane se talluq rakhte hai..mere qhandaan ke kuch afrad ke wajai se main jaldi shaadi karna chahta hoon. Kyun ke mere qhandaan ke kuch log mere shaadi main rukawat bann rahe hai.or ab mere maujuda haalat ke wajai se main kamm se kamm qarche main NIKAAH karna hai. Parr mere pass utne bhi nahi hai. Or main ye mauqha haat se nahi gawahna chahta hoon....
 
Allah Ta’ala aap ke liye aasaniyan paida farmaye. Aameen.

Nikah naam hai eejaab o qubool ka. Ladke ko chahiye ke shadi mein jo shari’at ki taraf se do tarah ka kharcha hai mohar ka baad mein de de, aur walimah mithaayi taqseem kar ke bhi kar sakte hain. Baqi koyi kharch nahi hai. Is liye aap ladki ki taraf se chand logon ko bulayen aur chand apni taraf se, kisi jagah jama ho kar nikah kar len aur ho sake to un ki dawat kar len. bas ho gaya....
Wallahu A’lam!
 
Top