Mard ka parda


Umar Asari

Administrator
Staff member
Mard ka parda

Romanised By: Umar Asari

Bhai! Us ladki ko to dekh…...Kya lag rahi hai!!!
Kiun bhai main kiun dekhun? Kya woh dekhne ki cheez hai jise dekha jaye?
Yaar dekh to sahi badi ban than ke tayyari ke saath nikli hai numaish karne ka hi andaaz hai, dekh to sahi yaar….
Sorry bhai main parda karta hun….
Hain...!!! Kya kaha tu ne parda? Dimagh to theek hai tera? Parda to ladkiyan karti hain…..

Mere bhai mujhe pata hai ke ladkiyon ke liye parde ka hukm hai par bhai jahan aurat ke liye parde ka hukm hai wahan mard ke liye bhi nigaahein neechi rakhne ka hukm hai magar afsoos ka maqam hai ke hamein ladkiyon ke parde ka pata hai lekin apne parde ka pata hi nahi.

Mard ka parda kya hota hai?
Bhai! Allah Ta’ala ne Surah An-Noor Aayat 30 mein farmaaya:
قُل لِّلْمُؤْمِنِينَ يَغُضُّوا مِنْ أَبْصَارِهِمْ​
Tarjumah: Musalman mardon se kaho ke apni nigehain neechi rakhen.

Phir Surah An-Noor mein hi Aayat 31 mein aurat ko parde ka hukm hai:
وَقُل لِّلْمُؤْمِنَاتِ يَغْضُضْنَ مِنْ أَبْصَارِهِنَّ​
Tarjumah: Musalman aurton se kaho ke woh bhi apni nigaahein neechi rakhen.

Mere bhai! Hamein 31 number Aayat ka to pata hota hai lekin hamein 30 aayat ka sire se pata hi nahi hota. Ya hum jaan boojh kar usko bhool jaate hain.

Agar aurat parda nahi kar rahi to woh apne upar sarasar zulm kar rahi hai aur apne nama e aamaal ko siyah kar rahi hai. Koi obaash us ki izzat par haath bhi utha sakta hai. Us ki bepardaghi akhirat mein ruswaayi ka samaan to hai par duniya mein bhi ruswa ho sakti hai.

Lehaza!! Us ka amal us ke saath hai tum se yeh sawal nahi hoga ke falan parda karti thi ya nahi balki sawal yeh hoga ke tum ne nazar jhukaayi thi?

Hum aurton ki be-pardagi par badh chadh kar tanqeed karte hain magar yeh nahi sochte ke hukm to hamaare liye bhi hai ke nigahein jhuka liya karo. Be-parda aurat ko dekhne ki ijazat aap ko kis ne di? Agar aurat ne be-parda ho kar Allah ka hukm toda to aap ne bhi us aurat ko dekh kar Allah ka hukm toda.

Yaad rakhen kisi na-mehram aurat ko parda karwaana hum par farz nahi hai (is mein tafseel hai) lekin apni nigehain neechi rakhna aur na-mehram ko na dekhna hum par farz hai. Mard sara ilzaam aurat par laga kar khud ko bari uz zimma (zimmedaari se bari) samjhta hai. Afsoos ke hamari saari naseehatein sirf doosron ke liye hi hoti hain.

Allah hum sab ko hidaayat naseeb farmaaye.
Aameeen.
 

Similar threads


Top