Umar Asari

Administrator
Staff member
Mard o Aurat Ka Ek Doosre Ki Mushabihat Ikhtiyaar Karna

Baaliyan (Earring)….. Kuch Din Pahley Tak Sirf Ladkiyon Key Kaanon Ki Zeenat Hua Karti Thi, Maloom Nahi Ki Fir Kya Hua Ke Ladkiyon Ki Alamat (Nishaani) Banney Wali Baliyan (Earring) Aaj Kal Chichorey Ladkon Key Kaano (Ears) Ka Zewar Ban Kar Rah Gayin. Abhi Kuch Din Pehley Tak Haathon Key Kangan (Bracelet) Bhi Aurton Ki Nazuk Kalaiyon Ki Khoobsorti Hua Kartey They Magar Ab Ladkey Bhi Apney Hathon Mein Kangan (Bracelet) Pehan Kar Itratey Firtey Hain, Maa Baap Dua Mangtey Hain Ke Allah Hamein Beta Ata Farma, Paida Bhi Beta Hi Ho Jata Hai Lekin Jawaani Tak Pahunchtey Hi Achanak Us Bete Key Khayalat Mein Tabdeeli Honey Lagti Hai or Wo Sab Sey Pahley Moochen (Moustache) or Dadhi saaf Kara Kar Ladkiyon Jaisi Shakl Bananey Lagta Hai or Uskey Baad Baaliyan or Kangan Uska Zewar Banney Lagtey Hain.

Afsoos Ki Baat Hai Ki Musalmaano Ki Ek Badi Ta’adaad Dadhi or Hijaab Ko Daqyanoosi (Stereotypical) Samjhti Hai.

Baaliyan, Chodiyan or Kangan Ye Sab Aurton Key Pehanney Ki Cheezen Hain Magar Ye Naujawaan Ladkon Ko Kya Ho Gaya Hai Ke Aurton Key Zewraat (Jewels) Unkey Zismon Par Sajney Lagey Hain? Halanki Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Farmaan Hai:
حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ بَشَّارٍ، حَدَّثَنَا غُنْدَرٌ، حَدَّثَنَا شُعْبَةُ، عَنْ قَتَادَةَ، عَنْ عِكْرِمَةَ، عَنِ ابْنِ عَبَّاسٍ ـ رضى الله عنهما ـ قَالَ لَعَنَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم الْمُتَشَبِّهِينَ مِنَ الرِّجَالِ بِالنِّسَاءِ، وَالْمُتَشَبِّهَاتِ مِنَ النِّسَاءِ بِالرِّجَالِ‏.‏ تَابَعَهُ عَمْرٌو أَخْبَرَنَا شُعْبَةُ‏.‏​
Tarjumah: Ibne Abbas Radhiallahu Anhuma Ney Bayan Kiya Ki Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam ne Un Mardon Par Lanat Bheji Jo Aurton Jaisa Chal Chalan Ikhtiyaar Karen or Un Aurton Par Lanat Bheji Jo Mardon Jaisa Chal Chalan Ikhtiyaar Karen.
(Sahih Bukhari: 5885)

Isi Tarh Doosri Hadees Mein Farmaya:
حَدَّثَنَا زُهَيْرُ بْنُ حَرْبٍ، حَدَّثَنَا أَبُو عَامِرٍ، عَنْ سُلَيْمَانَ بْنِ بِلاَلٍ، عَنْ سُهَيْلٍ، عَنْ أَبِيهِ، عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، قَالَ لَعَنَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم الرَّجُلَ يَلْبَسُ لِبْسَةَ الْمَرْأَةِ وَالْمَرْأَةَ تَلْبَسُ لِبْسَةَ الرَّجُلِ ‏.‏​
Tarjumah: Abu Hurairah Radhiallahu Anhu Kehtey Hain Ki Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ney Us Mard Par Jo Aurton Ka Libas Pahanta Hai or Us Aurat Par Jo Mardon Ka Libas Pahenti Hai Laanat Farmayi Hai.
(Sunan Abi Dawud: 4098, Grade : Sahih By: Albani)

Musalmaano! In Ahadees Par Gaur Karo Or Apney Aapka Jayzah Lo or Soocho Ki Kahin Tum Anjaney Mein Hi Sahih Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Laanat Key Mustahiq To Nahi Ban Rahe Ho?

Allah Hamein Husn e Amaal Ki Taufeeq Ata Farmaye.
Aameen.
 

Similar threads


Top