Umar Asari

Administrator
Staff member
Aik Azeem Zikr

Tehreer: Shaikh Maqbool Ahmed Salfi hafizahullaah

Ye bahut azeem zikr hai. Iska ihtemaam karna chahiye. Neez is mein Kami aur ziyadti ke saath bhi marwi hai wo bhi dhiyaan rahe saath saath ye bhi waazeh rahe ki is zikr se muta'alliq ta'daad (means kitni baar parha jaaye is) ka zikr kisi sahih Hadees mein nahi milta.

(1)
Hazrat Abdullah bin Abu Awfa Radhiallahu Anhu bayaan karte hain ki:
جَاءَ رَجُلٌ إِلَى النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ فَقَالَ إِنِّي لَا أَسْتَطِيعُ أَنْ آخُذَ مِنْ الْقُرْآنِ شَيْئًا فَعَلِّمْنِي مَا يُجْزِئُنِي مِنْهُ قَالَ قُلْ سُبْحَانَ اللَّهِ وَالْحَمْدُ لِلَّهِ وَلَا إِلَهَ إِلَّا اللَّهُ وَاللَّهُ أَكْبَرُ وَلَا حَوْلَ وَلَا قُوَّةَ إِلَّا بِاللَّهِ الْعَلِيِّ الْعَظِيمِ قَالَ يَا رَسُولَ اللَّهِ هَذَا لِلَّهِ عَزَّ وَجَلَّ فَمَا لِي قَالَ قُلْ اللَّهُمَّ ارْحَمْنِي وَارْزُقْنِي وَعَافِنِي وَاهْدِنِي فَلَمَّا قَامَ قَالَ هَكَذَا بِيَدِهِ فَقَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ أَمَّا هَذَا فَقَدْ مَلَأَ يَدَهُ مِنْ الْخَيْرِ​
Tarjumah: Aik shakhs Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ki khidmat mein aaya aur kehne laga ki main Qur'an se kuch yaad nahi kar sakta, mujhe kuch sikha dijiye jo mere liye (Qur'an ke padhne se) kifaayat kare. Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya, tum
سُبْحَانَ اللَّهِ وَالْحَمْدُ لِلَّهِ وَلاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَاللَّهُ أَكْبَرُ وَلاَ حَوْلَ وَلاَ قُوَّةَ إِلاَّ بِاللَّهِ الْعَلِيِّ الْعَظِيمِ​
Tarjumah: “Allah paak hai, usi ki ta'reef hai, uske alawah aur koi ma'bood nahi, aur Allah sabse bada hai. Buraiyon se bachna aur neki ki toufeeq milna, Allah ke siwa kisi se mumkin nahi. Wo aali hai azmat waala hai.”
(Wo shakhs) kehne laga: Aye Allah k Rasool (Sallallahu Alaihi Wasallam)! Ye to Allah ke liye huwa, mere liye kya hai?
Aap sallallaahu alaihi wasallam ne farmaaya, kaha karo
اللَّهُمَّ ارْحَمْنِي وَارْزُقْنِي وَعَافِنِي وَاهْدِنِي​
Tarjumah: “Aye Allaah! Mujh par rahem farma. Mujhe rizq de, raahat aur aafiyat se nawaz aur hidaayat se sarfaraaz farma”
Chunancha Jab wo khada hua to apne haathon se aise ishaara kiya. To RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya, “Isne apne haath khair se bhar liye hain”.
(Abu Dawood: 832)

(2)
Hazrat Ubaadah bin Saamit Radhiallahu Anhu bayaan karte hain ki RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya:
مَنْ تَعَارَّ مِنَ اللَّيْلِ، ‏‏‏‏‏‏فَقَالَ حِينَ يَسْتَيْقِظُ:‏‏‏‏ لَا إِلَهَ إِلَّا اللَّهُ وَحْدَهُ لَا شَرِيكَ، ‏‏‏‏‏‏لَهُ لَهُ الْمُلْكُ وَلَهُ الْحَمْدُ، ‏‏‏‏‏‏وَهُوَ عَلَى كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرٌ، ‏‏‏‏‏‏سُبْحَانَ اللَّهِ، ‏‏‏‏‏‏وَالْحَمْدُ لِلَّهِ، ‏‏‏‏‏‏وَلَا إِلَهَ إِلَّا اللَّهُ، ‏‏‏‏‏‏وَاللَّهُ أَكْبَرُ، ‏‏‏‏‏‏وَلَا حَوْلَ وَلَا قُوَّةَ إِلَّا بِاللَّهِ، ‏‏‏‏‏‏ثُمَّ دَعَا:‏‏‏‏ رَبِّ اغْفِرْ لِي، ‏‏‏‏‏‏قَالَ الْوَلِيدُ أَوْ قَالَ:‏‏‏‏ دَعَا اسْتُجِيبَ لَهُ، ‏‏‏‏‏‏فَإِنْ قَامَ فَتَوَضَّأَ ثُمَّ صَلَّى قُبِلَتْ صَلَاتُه​
Tarjumah: Jo shakhs neend se utha aur uth-te hi usne,
لَا إِلَهَ إِلَّا اللَّهُ، وَحْدَهُ لَا شَرِيكَ لَهُ لَهُ الْمُلْكُ، وَلَهُ الْحَمْدُ، وَهُوَ عَلَى كُلِّ شَيْءٍ قَدِيرٌ، سُبْحَانَ اللَّهِ، وَالْحَمْدُ لِلَّهِ، وَلَا إِلَهَ إِلَّا اللَّهُ، وَاللَّهُ أَكْبَرُ، وَلَا حَوْلَ وَلَا قُوَّةَ إِلَّا بِاللَّهِ​
Kaha, phir dua kare «رَبِّ اغْفِرْ لِي» Aye hamare Rabb! Hamein bakhsh de. Imam Abu Dawood Rahimahullah bayan karte hain ki Waleed ke alfaaz hain “fir (koi si) dua kar le”, to uski dua qabool hogi, aur agar wo utha aur wuzu kiya, phir namaaz padhi, to uski namaaz maqbool hogi.
(Abu dawood: 5060)
Is riwaayat me «العلي العظيم» nahi hai.


(3) Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya:
مَن قال حِينَ يأْوِي إلى فِراشِه : ( لا إِلهَ إلا اللهُ وحدَه لا شرِيكَ لهُ ، له المُلْكُ ، و له الحمدُ ، و هو على كلِّ شيءٍ قديرٌ ، لاحَوْلَ ولا قُوةَ إلا باللهِ العلىِّ العظيمِ ، سُبحانَ اللهِ ، والحمدُ للهِ ، ولا إلهَ إلا اللهُ ، واللهُ أكبرُ ) ؛ غُفِرَتْ له ذنوبُه أوخطايَاهُ – شَكَّ مِسْعرٌ – وإنْ كانت مِثلَ زَبَدِ البحرِ​
Tarjumah: Jo bistar pe lait-te waqt ye kalimaat kahe,
لا إِلهَ إلا اللهُ وحدَه لا شرِيكَ لهُ ، له المُلْكُ ، و له الحمدُ ، و هو على كلِّ شيءٍ قديرٌ ، لاحَوْلَ ولا قُوةَ إلا باللهِ العلىِّ العظيمِ ، سُبحانَ اللهِ ، والحمدُ للهِ ، ولا إلهَ إلا اللهُ ، واللهُ أكبرُ​
To uske gunaah mu'aaf kar diye jaate hain agarche samandar ke jhaag ke baraabar hon.
(Saheeh Targheeb: 607)
Is riwaayat mein zikr mein zyadati ke saath “Sub-haanallaah” ke kalme se pehle “laa hawla wala quwwata” ke kalimaat hain.

Ye zikr neeche zikr kiye gaye ta'dad ke saath ya to za'eef hai ya mouzoo' hai:

(1)
4 baar wala baatil hai.
(Tab'yeen ul Ajab: 31)

(2)
7 baar wala bhi za'eef hai.

(3) 15 baar
{As-Silsilah az-Za'eefah (Albani): 5066}

(4)
70 baar
{Mouzu'aat (Ibne Jawzi): 2/417}
(5) 100 baar wala shia ke yahaan hai. Iska bada ajr bayaan kiya jaata hai. Isse baa-khabar rahein.
 
Top