MUHADDISEEN-E-KIRAAM NE ZAYEEF RIWAAYAAT KION BAYAN KI?


MUHADDISEEN-E-KIRAAM NE ZAYEEF RIWAAYAAT KION BAYAN KI?
Tahreer: Muhaddis Hind o Paak Imam-ul-Asr HAFIZ ZUBAIR ALI ZAI rahimahullah
(AL-HADIS shumaarah No.68, page:51)
Roman Script : Abu Umaimah Owais

Al-Hamdulillahi Rabbil Aalameen Wassalato Wasallamu Ala Rasoolihil Kareem Wa Ala Aalihi Wa As'habihi Ajmayeen, Amma Ba'ad:

Agar koi kahe ke Imam Ismayeel Bin Is'haaq al-Qazi ki kitab: "Fazl-us-Salat Alan-Nabi sallallahu alaihi wasallam" mein bahut si zayeef riwaayat hain lihaaza sawaal ye hai ke muhaddiseen kiraam ne kutb Sahihah ke ilaawah dosri kitabon mein zayeef mardood riwaayat kion likhi hain?

Is ka jawaab yeh hai ke Hafiz Ibn Hajar Asqalani rahimahullah ne farmaaya:

بل أكثر المحدثين في الإعصار الماضية من سنة مائتين وهلم جرا إذا ساقوا الحديث بإسناده اعتقدوا أنهم برؤا من عهدته والله أعلم
"Blake san do hijri se lekar ba'ad ke guzishtah zamaanon mei muhaddiseen jab sanad ke saath Hadis bayaan kardete to yeh samajhte the ke wo is bare mein sawaal kiye jaane par bari hochuke hain. WALLAHU-ALAM."(Lisaan-ul-Mizaan:3/75, Tarjumah: Sulaiman Bin Ahmed Bin Aiyob al-Tabrani. Dosra Nuskha:3/353. /wa Aali Al-Masnoa Fil Ahadees Al-Mozowa:1/19. Dosra Nuskhah: page:25. / wa Tazkirat-ul-Mauzo'aat Lil-Futni, page:7)

Hafiz Ibn Taimiyyah rahimahullah ne farmaaya:
"Likin (Abu Nuaim al-Asbahani rahimahullah ne) riwaayaat bayaan kin jaisaake un jaise muhaddiseen kisi khaas mauzo ke baare mein tamaam riwaayaat bayaan kardete the taake (logon ko) ilm hojaye. Agar che un mein se baaz ke saath hujjat nahi pakdi jaati thi."(Minhaj-us-Sunnah:4/15)

Sakhaawi ne kaha:
"Aksar muhaddiseen khusosan Tabrani, Abu Nuaim aur Ibn Mandah jab sanad ke saath hadis bayaan karte to woh aqidah rakhte the ke wo is(sanad ke) bare mein sawaal kiye jaane se bari ho chuke hain."(Fathul Mughees al-Fiqhul-Hadis:1/254, al-Muazo)

In tahqeeqaat se maloom howa ke Sahihain ke ilaawah Kutb-e-Hadis masalan: "Adab-ul-Mufrad lil-Bukhari" aur "Musnad Ahmed" waghairahuma mein zayeef hadesen bhi hain, jinhe sanad ke saath riwaayat karke muhaddiseen kiraam "Baree al-Zimmah" ho chuke hain. Ye riwaayaat unho ne bataur-e-hujjat o istidlaal(daleel ke taur par) nahi balke bataure-e-marifat o riewaayat bayaan kardi thin lihaaza usoole hadis aur "Asmaa al-Rijaal" ko madde nazar rakhne ke baghair Sahihain ke ilaawah digar Kutb-e-Hadis ki riwaayaat se istidlaal yaa hujjat bakadna aur inhe bataur-e-jazm(laazmi taur par) bayaan karnaa jaayez nahi.

WAMA ALAINA ILLAL –BALAAGH
(6/December/2009)
 

Similar threads


Top