KASHF O ILHAAM KE BAATIL DAWE AUR WAHI KA INQETA


KASHF O ILHAAM KE BAATIL DAWE AUR WAHI KA INQETA
Tahreer: ABU MUAAZ hafizahullah
(AL-HADIS Shumaarah No.75, page:2-3)
Roman Script : Abu Umaimah Owais

Al-Hamdulillahi Rabbil Aalameen Wassalato Wasallamu Ala Rasoolihil Kareem Wa Ala Aalihi Wa As'habihi Ajmayeen, Amma Ba'ad:

Syidina Omer Bin Khattab razillahu-anhu ne farmaaya:

إِنَّ أُنَاسًا كَانُوا يُؤْخَذُونَ بِالْوَحْىِ فِي عَهْدِ رَسُولِ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم، وَإِنَّ الْوَحْىَ قَدِ انْقَطَعَ، وَإِنَّمَا نَأْخُذُكُمُ الآنَ بِمَا ظَهَرَ لَنَا مِنْ أَعْمَالِكُمْ، فَمَنْ أَظْهَرَ لَنَا خَيْرًا أَمِنَّاهُ وَقَرَّبْنَاهُ، وَلَيْسَ إِلَيْنَا مِنْ سَرِيرَتِهِ شَىْءٌ، اللَّهُ يُحَاسِبُهُ فِي سَرِيرَتِهِ، وَمَنْ أَظْهَرَ لَنَا سُوءًا لَمْ نَأْمَنْهُ وَلَمْ نُصَدِّقْهُ، وَإِنْ قَالَ إِنَّ سَرِيرَتَهُ حَسَنَةٌ
"RASOOLULLAHU sallallahu alaihi wasallam ke zamaane mein logo ka wahi ke zariye[se] muakhezah hojata tha. Likin ab wahi ka silsilah khatam hogaya aur hum sirf inhi omor mein muakhezha kareinge jo tumhare amal se hamare saamne zaahir honge. Is liye jo koi zaaher mein hamare saamne khair karega, hum usey aman denge aur pane qareeb rakhenge. Is ke baatin se hamein koi sarokaar nah hoga. Is ka hisaab to ALLAH TA'ALA karega aur jo koi hamare saamne zaahir mein buraayi karega to hum bhi usey aman nahi denge aur nah hum us ki tasdeeq karenge, khawaah who yahi kahta rah eke us ka baatin achcha hai."(Sahih Bukhari:2641, Taba Maktabah Islamiyyah:4/27, in hi alafaaz ke saath)

Is Faaroqi(raziallahu-anhu) asar(hadis) se kayi mas'ale saabit howe:

(1)
Jo log kitab o Sunnat par amal nahi karte masalan dadhiyaan mundate yaa mundwaate hain, munshiyaat(drugs) istemaal karte hain, qisam qisam ke gunahon mein gharq hain, jab inhein kaha jata hai ke namaaz padho, daadhi mundwaana haraam hai aur gunaahon se bach jaaoto bad'ma'aash bad'kaar faasiq kahte hain:
Zaaheri amaal se kya hota hai balke dil achcha hona chahiye aur hamare dilon mein eemaan hai.

Ye riwaayat un faasiq o faajir par zabardast radd hai, kionke agar dil achch hota to phir amaal bhi achche hote aur musalsil bure amaal is ki daleel hain ke dil siyaah aur daaghdaar hochuka hai. A'AZANALLAHU MINHO

(2)
Shariat mein baatniyat ki koi haisiyat nahi balke zaahir ka etebaar hai.

(3)
Syidina Omer raziallahu-anhu ko ilhaam yaa kshaf nahi hota tha aur nah woh logon ke dilon ke haalaat malom karlete. Jab Syidina Omer raziallahu-anhu ko kashf o ilhaam nahi hota tha to phir dosre Auliya aur naam nihaad Sofiya kis shumaar o qataar mein hain?!

Syidina Omer raziallahu-anhu ke bare mein wahdat-ul-wojodi tasawof waalon ne mukhtalif jhote qisse mash'hor kar rakhkhe hain masalan kahte hain k eek dafa (Syidina Omer raziallahu-anhu) ne bahut dor se kaha tha: "YAA SAARIYAT-UL-JABAL" Aye Saariyah! pahaad ki taraf hoja.

Yeh sab qisse usool-e-hadis aur ilm Asma o Rijaal ki ro se ghair saabit aur mardod hain.

(4)
Wahi(aur ilhaam) ka silsilah ab hamesha keliye muqate hogaya hai.

(5)
Kitab o Sunnat par aamil shakhs hi siqqah aur aadil hota hai, shariat mein usey zabardast hoqoq haasil hain balke har mumkin tariqe se is ka ehteraam aur difaa karna chahiye.

(6)
Faasiq masalan daadhi mudhne ki gawahi naaqabile etebaar aur mardod hoti hai.

(7)
Ahl-e-Eemaan ke bare mein har waqt husn-e-zan aur ummeed aur khair rakhne chahiye aur unki niji zindagi o poshidah omoor ke bare mein kisi qisam ki jasosi kabhi nahi karni chahiye.

(8)
Har zamane mein musalamaan Hukmaranon ki ye zimmedaari hai hai balke un par farz hai ke Quran o Hadis ka nizaam apne mumaalik mein naafiz karein balke pori dunya mein Islam ko ghaalib karne ki koshish mein musalsal mashghol rahein. neez Dekhiye Surah Al-Mayidah(44)

(9)
Gawaahi sirf siqqah o aadil ki hi qobool hoti hai.

(10)
Jo log kahte hain ke: "Folan folan peer ghaib jaane hain:, unki ye baat bilkul jhot aur baatil hai, Wahi ke baghair ghaib ka ilm mohaal(naa mumkin) hai aur Wahi ka darwazha qyaamat tak keliye ban hochoka hai.

WAMA ALAINA ILLAL'BALAAGH
(7/April/2010)
 
Top