Masail by Sheikh Maqbool Ahmed Salafi Taif


SAWAAL: Ek Muslim Ladki Kaafir Ladke Ke Saath Shaadi Kar Liya Woh Apne Islam Par Baaqi Hai Kya Use Baap Ke Meeraas Me Se Hissa Mile Ga?
JAWAAB: Muslim Ladki Kaafir Ke Saath Shaadi Kar Ke Zindagi Guzaar Rahi Hai Goya Woh Uske Deen Par Raazi Hai Warna Woh Uske Saath Haraam Kaari Nahi Karti Aur Jo Kaafir Ke Deen Se Raazi Ho Woh Kaafir Hai,Uske Liye Musalmaan Ki Wirasat Me Koi Hissa Nahi Hai Nabi SAV Ka Farmaan Hai:
لاَ يَرِثُ المُسْلمَ ولا الكافر المسلمَ.
(BUKHARI SHARIF:6764)
Tarjumah: Musalmaan Kaafir Ka Waaris Nahi Hota Aur Na Kaafir Kisi Musalmaan Hi Ka Waaris Banta Hai.

JAWAB : SHAIKH MAQBOOL AHMAD SALAFI HAFIZAHULLAAH
ISLAMIC DA'WAH CENTER TAIF(SAUDI ARABIA)
Romanised By: Khadija Muhammadi
 
SAWAAL: Kya Aurto Ko Jum'a Ke Din Azaan Aur Khutbah Khatam Hone Ke Baad Namaaz Padhni Chaahiye.
JAWAAB:- Aurto Par Namaaz Ju'ma Farz Nahi Hai Lekin Mardo Ke Sath Masjid Me Ada Karna Chaahe To Koi Harj Nahi Hai Jab Aurat Jum'a Ke Din Apne Ghar Me Namaaz Padhe To Zuhar Ki Namaaz Ada Kare Gi Aur Namaz Ka Waqt Hote Hi Awwal Waqt Me Namaaze Zuhar Ada Kar Le Use Azaan Ya Khutbah Khatam Hone Ka Intizaar Karne Ki Zaroorat Nahi Hai Taham Aurat Agar Azaan Ka Jawaab Deti Hai To Usme Ajar Hai.

JAWAB : SHAIKH MAQBOOL AHMAD SALAFI HAFIZAHULLAAH
ISLAMIC DA'WAH CENTER TAIF(SAUDI ARABIA)
Romanised By: Khadija Muhammadi
 
Sawaal : Koi Aurat Zuhar Ke Waqt Haaiza Ho Jaae Aur Isi Tarah Magrib Ke Waqt Paak Ho To Uski Namaaz Ki Qaza Ka Kya Hukam Hoga?
JAWAAB:- Aurat Jis Namaaz Ke Waqt Me Haiz Se Hui Hai Paak Hone Par Uski Qaza Degi Maslan Zuhar Ke Waqt Use Haiz Aaya Hai To Jab Paak Hogi Zuhar Ki Qaza Kare Gi Aur Jis Namaaz Ke Waqt Haiz Se Paaki Haasil Ho Rahi Hai Aurat Us Waqt Ki Namaaz Ada Kare Gi Sath Sath Woh Namaz Bhi Padhni Hogi Jis Ke Sath Dusri Namaaz Jama Ki Jaati Hai Uski Misaal Yah Hai Ke Agar Asar Ke Waqt Paak Hui Hai To Zuhar Bhi Padhe Gi.

JAWAB : SHAIKH MAQBOOL AHMAD SALAFI HAFIZAHULLAAH
ISLAMIC DA'WAH CENTER TAIF(SAUDI ARABIA)
Romanised By: Khadija Muhammadi
 
Sawaal:- Aurto Ka Gaadi Chalana Kaisa Hai?
Jawaab:- Ahaadis Se Maalum Hota Hai Ke Ahde Rasool SAV Me Aurte Oont Chalaati Thi Is Par Qayaas Kar Ke Kuch Ahle Ilm Ne Aurto Ko Gaadi Chalana Jaaiz Qaraar Diya Hai. Oont Chalaana Aur Gaadi Chalana Dono Me Bahut Farq Hai,Zamane Ka Farq Apni Jagah. Bahut Se Log Gaaon Dehaat Me Gaae,Bail Aur Bhens Par Sawaar Ho Kar Charaate Hai Unhe Driver Nahi Kaha Jata Aur Na Hi Kaha Ja Sakta Hai. Gaadi Tez Raftaar Sawaari Hai, Uske Liye Aankhe Tez Hona,Qiyaadat Ka Malka Hona,Raah Me Aane Wali Pareshaani Ko Jhelne Ki Taaqat Hona Chaahiye. Sharai Pardah Wali Khatoon Jis Ke Chehare Par Pardah Ho Use Gaadi Chalane Me Badi Mushkil Ka Samna He. Jis Islaam Ne Aurto Ko Raste Ke Kinare Se Chalne Ka Hukam Diya Hai Woh Bheed Me Sharai Pardah Ke Saath Tez Gaadi Kaise Chala Sakti Hai. Haa Aysa Ho Sakta Hai Ke Gaadi Chalane Ki Wajah Se Aurto Ka Pardah Khatam Ho Jaae Fitne Ka Samna Apni Jagaah. Khulasa Yah Hai Ke Aurto Ka Gaadi Chalana Mushkilaat Aur Fitne Kaa Baais Hai Is Wajah Se Jin Ulma Ne Ise Jaaiz Nahi Qaraar Diya He Unka Mauqaf Ziyadah Qawi Hai.

JAWAB : SHAIKH MAQBOOL AHMAD SALAFI HAFIZAHULLAAH
ISLAMIC DA'WAH CENTER TAIF(SAUDI ARABIA)
Romanised By: Khadija Muhammadi
 
SAWAAL:- Bivi Wafaat Paa Jaae Aur Shohar Ne Mahar Ada Na Kiya Ho To Kya Kare Ya Shohar Wafaat Paa Jaae Us Haal Me Ke Usne Biwi Ka Mahar Ada Nahi Kiya Hai To Mahar Ki Adaegi Kya Soorat Hogi?
JAWAAB:- Biwi Ki Wafaat Ho Jaae Is Haal Me Ke Shohar Ne Mahar Ada Nahi Kiya Tha To Woh Wariseen Ka Haq Hai Mard Se Mahar Ka Mutalba Kar Ke Maiyyat Ke Wareseen Me Taqseem Kar Diya Jaae Aur Agar Shohar Wafaat Paa Jaae Us Haal Me Ke Usne Mahar Ada Nahi Kiya Tha To Maiyyat Ke Tarkah Me Se Biwi Apna Mahar Pehle Wasool Kar Le Fir Baqiyah Tarkah Waareseen Me Taqseem Hoga.

JAWAB : SHAIKH MAQBOOL AHMAD SALAFI HAFIZAHULLAAH
ISLAMIC DA'WAH CENTER TAIF(SAUDI ARABIA)
Romanised By: Khadija Muhammadi
 
SAWAAL:- Agar Kisi Ne Yah Mannat Mani Ke Woh Jab Bhi Makkah Jaae Ga Apni Maa Ke Naam Se Umrah Kare Ga?Yah Nazar Manna Sahih Hai Aur Agar Yah Nazar Sahih Hai To Uske Samne Badi Mushkil Yah Hai Ke Aysi Nazar Hamesha Kaise Puri Kare?
JAWAAB:- Nazar Manne Se Koi Bhalaai Nahi Milti Fir Bhi Kisi Ne Aysi Nazar Maan Li Jis Me Ma'asiyat Nahi Hai To Uska Pura Karna Wajib Hai Sawaal Me Mazkur Maa Ke Naam Se Musalsal Umrah Karna Sahih Nahi Hai,Maiyyat Ki Taraf Se Ek Umrah Karna Kaafi Hai Zindah Shakhas Khud Nekiyo Ka Mohtaaj Hai Woh Apne Liye Baar Baar Umrah Kare Aur Apni Maa Ki Taraf Se Nazar Ka Ek Umrah Kar Ke Aaindah Kasrat Se Sirf Astagfaar Kare Aur Mushkil Nazar Maan Lene Ki Wajah Se Qasam Ka Kaffarah Ada Kar De Nabi SAV Ka Farmaan Hai:
كفارة النذر كفارة اليمين.
(SAHIH MUSLIM :1645)
Tarjumah: Nazar Ka Kaffarah Wahi Hai Jo Qasam Ka Kaffarah Hai.

JAWAB : SHAIKH MAQBOOL AHMAD SALAFI HAFIZAHULLAAH
ISLAMIC DA'WAH CENTER TAIF(SAUDI ARABIA)
Romanised By: Khadija Muhammadi
 
Sawaal: Agar Hum Sey Koi Ghair Muslim Sawaal Kare Ke Muslmaan Mard Pajama (Wagerah) Takhney Sey Upar Kiun Pahenta Hai Jab Ki Muslim Aurtein Takhney Sey Neechey Pahenti Hain To Usey Hum Kya Jawaab Den?
Sail: Imtiyaaz Ahmad Salafi, Siddharth Nagar
Jawaab: Mardon Key Haq Mein Takhney Sey Neecha Kapda Hona Takabbur Ki Nishani Hai Is Liye Hamein Upar Karney Ka Hukm Diya Gaya Hai.
Or Aurton Key Haq Mein Takhney Sey Neechey Kapda Hona Hijaab Mein Dakhil Hai Kiunki Aurat Poori Ki Poori (Sar Sey Pair Tak) Parda Hai Is Liye Usey Chupaaney Ka Hukm Hai

JAWAB : SHAIKH MAQBOOL AHMAD SALAFI HAFIZAHULLAAH
ISLAMIC DA'WAH CENTER TAIF(SAUDI ARABIA)
 
Sawal: Umrah mai kisi ne Saa'ye choar dia or baal mun'dwa kar halal ho gya?
Jawab: Umrah mai saa'ye karna rukun hai, agr koi is rukun ko choar dai aur baal mun'da kar halal ho gaya hai usay chahiye k phir se ehraam ka libaas lgaye aur 7 chakar saa'ye karay phir baal katwa kar ya mun'da kar halal ho jayai. Anjanay mai pehli baar baal mun'danay ki wajah se koi fidyaa nhe dena paray ga.

JAWAB : SHAIKH MAQBOOL AHMAD SALAFI HAFIZAHULLAAH
ISLAMIC DA'WAH CENTER TAIF(SAUDI ARABIA)
Romanised By: Binte Muhammad
 
SAWAAL:- Imo Par Miya Biwi Video Call Karte Hue Ek Dusre Ki Sharamgaah Dekh Sakte Hai Jab Ke Dono Kai Mahino Se Door Ho?
JAWAAB:- Miya Biwi Ko Ek Dusre Ki Sharamgaah Dekhna Jaaiz Hai,Yah Allaah Ke Fazal Aur Ahsaan Me Se Hai Taham Imo Par Video Call Karte Hue Miya Biwi Ka Ek Dusre Ke Samne Barhana Hona Fitna Aur Fasaad Aur Zarar Aur Fahaashiyat Ka Sabab Ban Sakta Hai.
(1) Aysa Mumkin Hai Ke Imo Banane Wale Ke Paas Na Sirf Hamari Baate Record Hoti Ho Balke Videos Bhi Record Hoti Ho Aysi Surat Me Yah Kaam Miya Biwi Ke Liye Haraam Hoga.
(2) Miya Biwi Nange Ho Kar Video Call Kar Rahe Ho To Mumkin Hai Kisi Ki Nazar Padh Jaae Ya Shahwaani Aawaaz Aur Kefiyat Ka Idraak Karne Wala Ho Chaahe Ghar Ke Bachche Hi Sahi,Is Surat Me Bhi Sharai Qabahat Hai.
(3) Jab Miya Biwi Ek Dusre Se Door Ho Aur Uryaa(Nange) Ho Kar Baate Kare Aur Apni Shahwat Ko Ubhare To Fir Yah Shahwat Badkaari Ka Sabab Ban Sakti Hai Paas Me Miya Biwi Hote To Ek Dusre Ki Jinsi Khawahish Puri Kar Lete Magar Door Hone Ki Wajah Se Mumkin Hai Galat Tariqe Se Jinsi Khawahish Puri Karne Ki Koshish Ki Jaae,Yah Galat Tariqa Koi Bhi Ho Sakta Hai Fahash Video Dekhna,Mashat Zani Karna,Yaha Tak Ke Zina Me Bhi Waq'u Ka Andesha Ho Sakta Hai. Yah Surat Bahut Hi Buri Hai. Lihaza Miya Biwi Ko Video Call Par Baat Karte Hue Ek Dusre Ki Sharamgaah Dekhne Se Parhez Karna Chaahiye.

JAWAB : SHAIKH MAQBOOL AHMAD SALAFI HAFIZAHULLAAH
ISLAMIC DA'WAH CENTER TAIF(SAUDI ARABIA)
Romanised By: Binte Muhammad
 
SAWAAL:- Agar Koi Aurat Accident Me Wafaat Paa Jaae To Use Shaheed Kaha Jaae Ga?
JAWAAB:- Accident Me Qatal Hone Wala Aur Doob Kar Marne Wala Aur Malbe Me Dab Kar Marne Wale Ki Tarah Hai Aur Rasool SAV Ne Doob Kar Marne Wale Aur Malbe Me Dab Kar Marne Wale Ko Shaheed Kaha Hai Is Wajah Se Accident Me Qatal Hone Wale Ko Bhi BilYaqeen Nahi To In-Sha-Allaah Ke Sath Shaheed Keh Sakte Hai. Shaikh Ibne Baaz Aur Shaikh Ibne Usaimeen RH Ne Accident Ne Marne Wale Ko Shaheed Kaha Hai.

JAWAB : SHAIKH MAQBOOL AHMAD SALAFI HAFIZAHULLAAH
ISLAMIC DA'WAH CENTER TAIF(SAUDI ARABIA)
Romanised By: Binte Muhammad
 
Sawal:Jis ne Umrah kia aur Tawaf k chakar mai shak hai usay kya karna chahiye?
Jawab: Agr Tawaf karty huai us k chakar mai shak ho jayai to km par bina karay maslan usay shak hai k 4 kia ya 5 to 4 manay or baqiyaa chakar pura kray lekin agr umrah ki adaa'ygi k baad shak paida ho is ki tarf iltafat na karay, ye was'wasa hai.

JAWAB : SHAIKH MAQBOOL AHMAD SALAFI HAFIZAHULLAAH
ISLAMIC DA'WAH CENTER TAIF(SAUDI ARABIA)
Romanised By: Binte Muhammad
 
Sawal:Aqeeqa k liye janwar ka goasht toal kar lena kesa hai?
Jawab: Aqeeqa dar'asl khoon bahanay ka naam hai ye maqsad us waqat pura hoga jab aap musalm bakra khareed kar usay no'moulood k naam se zibah karain gai. Agr hum zibah kiye huai janwar se goashat khareed kar aqeeqa dety hain to ye kifayat nhe karay ga. Al'batta ye jaiz hai k zinda janwar wazan kar k khareeday aur usay no'moulood k naam se zibah karain khwa wahen qsaaye se zibah krayen ya ghar la kar, dono surat mai koi haraj nhe hai.

JAWAB : SHAIKH MAQBOOL AHMAD SALAFI HAFIZAHULLAAH
ISLAMIC DA'WAH CENTER TAIF(SAUDI ARABIA)
Romanised By: Binte Muhammad
 
SAWAAL: Kya Ham Jinnaat Ko Dekh Sakte Hai Aur Haiwaanat Bhi Jinnat Ko Dekhte Hai?
JAWAAB: Jinnaat Ki Takhliq Aag Se Hui Hai Is Wajah Se Koi Insaan Usko Apni Asli Khilqat Par Nahi Dekh Sakta Hai Taham Jab Insaan Ya Haiwaan Wagairah Ki Surat Ikhtiyaar Kare To Dekha Ja Sakta Hai Jaisa Ke Baaz Sahaba Ne Bhi Dekha. Abu Hurairah RA Ko Shaitaan Ne Hi Aayatul Kursi Ke Bare Me Khabar Di. Jaha Tak Haiwaanaat Ke Dekhne Ka Masala Hai To Is Silsile Me Baaz Ahaadees Me Kutte,Ghade,Aur Murg Ka Jinnaat Ko Dekhne Se Mutalliq Zikar Milta Hai.

JAWAB : SHAIKH MAQBOOL AHMAD SALAFI HAFIZAHULLAAH
ISLAMIC DA'WAH CENTER TAIF(SAUDI ARABIA)
Romanised By: Khadija Muhammadi
 
SAWAAL: Kya Biwi Apne Shohar Ka Naam Le Sakti Hai?
JAWAAB: Biwi Apne Shohar Ka Naam Le Sakti Hai Aulaad Ki Taraf Nisbat Kar Ke Kunniyat Ke Saath Bhi Pukaar Sakti Hai Ya Shohar Ko Mehboob Kisi Naam Se Mausoom Kar Sakti Hai Un Tamaam Surato Me Koi Harj Nahi Hai Yah Shohar Par Munhasir Hai Ke Woh Kya Pasand Karta Hai,Apne Naam Se Pukara Jana Ya Kisi Aur Naam Se?Shohar Jo Pasand Kare Biwi Ko Use Ikhtiyaar Karna Chaahiye Taaki Shohar Ko Bulate Waqt Use Khushi Mehsoos Ho Aur Kisi Qisam Ki Nagawari Ka Ahsaas Na Ho.

JAWAB : SHAIKH MAQBOOL AHMAD SALAFI HAFIZAHULLAAH
ISLAMIC DA'WAH CENTER TAIF(SAUDI ARABIA)
Romanised By: Khadija Muhammadi
 
SAWAAL: Agar 3 Bachche Operation Se Hue Ho To 4 Baar Hamal Hone Par Nas Bandi Karana Jaiz Hoga?
JAWAAB: Nas Bandi Halaat Par Munhasir Hai, Agar Bharose Mand Dr Nas Bandi Karane Ka Mashwirah De To Shohar Ki Razamandi Ke Saath Halakat Se Bachne Ke Liye Nas Bandi Karana Jaiz Hoga. Nas Bandi Ke Kai Tariqe Hai Unme Se Aasaan Tariqah Apnaya Jaae Taaki Aaindah Khatraat Tal Jaae To Dubarah Bachche Ki Paidaish Ka Imkaan Ho Aur Agar Sire Se Raham E Madar Hi Nikalna Padh Jaae To Zaroorat Ke Tahat Yah Amal Bhi Jaaiz Hai.

JAWAAB: SHAIKH MAQBOOL AHMAD SALAFI HAFIZAHULLAAH
DA'AI ISLAMIC DA'WAH CENTER TAIF(SAUDI ARABIA
Romanised By: Binte Muhammad
 
Sawal:Kuffar ki qabar pr jana aur us ko matti dena kesa hai?
Jawab: Kafir ki mayyet pr us ki tazee'at (islami ehsan o sulook k tayee'n) yani us k iqrbaa ko dalasa dena ma'siwa istegfar k jayez hai, lekin us k janaza mai shirkat karna, qabar par hazri dena ya us k kafan dafan mai shareek hona jayeez nhe hai.

Jawab :Shaikh Maqubool Ahmad Salafi, (حفظه الله)
Islamic Dawah Center, Shumali Taif, Masra
Romanised By Binte Muhammad
 
Sawal: Meri aik saheeli ka shohar bahir rehta hai, bohat dino se baat'cheat nhe karta hai to biwi k liye koi ed'dat hai, kya karay?
Jawab: Aisa shohar biwi k huqooq ki adayegi mai khyanat kar raha hai ta'hum miaan biwi ka rishta abhi baqi hai aur aurat k liye koi ed'dat nhe hai. Is aurat ko chahiye k kisi wasta se shohar se apnay haq ka mutaliba karay, shohar kisi tarhan baat'cheat aur huqooq ki adaayegi se inkar karta hai to phir aurat ko ikhtiyar hai k us k saath nikah baqi rakhay ya talaq ka mutaliba karay. Agar biwi apnay shohar se alehda hona chahti ho aur wo talaq bhi na dai to muslman qazi k tawasut se apna nikah khulaa k zariyee fasakh kara lai.

JAWAB : SHAIKH MAQBOOL AHMAD SALAFI HAFIZAHULLAAH
ISLAMIC DA'WAH CENTER TAIF(SAUDI ARABIA)
Romanised By: Binte Muhammad
 
SAWAAL:Kya Musaafir Juma Ki Namaaz Ke Sath Asar Ki Namaaz Ko Jama Kar Sakta Hai?
JAWAAB: Musaafir Ke Liye Zohar Ke Sath Asar Ki Namaaz Jama Karne Ki Rukhsat Hai Lekin Agar Woh Muqeem Ke Sath Juma Ki Namaaz Ada Kare To Fir Asar Ki Namaaz Jama Nahi Kar Sakte Kuy Ke Juma Ki Namaaz Ke Sath Asar Ki Namaaz Jama Karne Ki Koi Daleel Nahi Hai.

Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullaah
Daai Islamic Dawah Center Taif(Saudi Arabia)
Romanised by: Khadija Muhammadi
 
SAWAAL: Kya Shohar Apni Biwi Se Salary Chhupa Sakta Hai Taaki Walidain Aur Dusre Rishte Daro Ke Huqooq Ada Kar Sake?
JAWAAB: Shohar Ke Liye Apni Biwi Ko Salary Batana Zaroori Nahi Hai Agar Use Chhupa Kar Rakhne Me Bhalaai Ho,Biwi Ko Apni Zarooriyaat Ki Takmeel Se Matlab Hai,Ha Agar Biwi Par Salary Zaahir Karne Me Koi Nuqsaan Aur Fitnah Na Ho To Husan E Ma'shirat Ke Tai Batane Me Koi Harj Nahi Hai Balke Ek Tarah Se Achchi Baat Hai.

Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullaah
Dawi Islamic Dawah Center Taif(Saudi Arabia)
Romanised by: Khadija Muhammadi
 
SAWAAL: 40 Hadees Hifz Karne Ki Kya Fazilat Aai Hai ?
JAWAAB: 40 Ahadees Yaad Karne Ke Silsile Me Hadeeso Me Bade Fazaail Bayan Kiye Gae HAI Jab Ke Us Silsile Me Koi Hadees Saabit Nahi Hai Ya To Mauzu Hai Ya Zaeef Hai. Imaam Navvi RH Ne Apni Mashhoor Zamana E Kitaab Al Arbaeen(43 Jaame Ahadees Ka Majmua) Me Zikar Farmaya Hai Aur Un Sari Rivayat Ke Mutalliq Farmaya Hai Ke Huffaaz Ka Is Baat Par Ittefaaq Hai Ke Yah Hadees Zaeef Hai Agarcha Yah Alag Alag Turaq Se Marvi Hai. (MUQADDAMA AL ARBAEEN LINNAVVI)

JAWAABAT AZ SHAIKH MAQBOOL AHMAD SALAFI HAFIZAHULLAAH.
DAAI ISLAMIC DAWAH CENTER TAIF
Romanised: Khadija Muhammadi
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Ibnatu Ali Masail 0
Ibnatu Ali Masail 0

Similar threads


Top