Masjid E Aqsa Se Muta'alliq Ek Ahem Hadees!


Abul Husayn

Moderator
Staff member
Masjid E Aqsa Se Muta'alliq Ek Ahem Hadees!
Az: Shaykh Maqsood ul Hasan Faizi Hafizahullah

Romanised: Syed Ibraheem Salafi
_____________________

بسم الله الرحمن الرحيم
Hazrat Abu Zar (Razi Allahu Anhu) se riwayat hai ke hum log Rasoolullah ﷺ ke paas baithay yeh ghuftagu kar rahe thhey ke Masjid e Nabawi afzal hai ke Masjid e Bait ul Muqaddas? tou Aap ﷺ ne irshaad farmaaya: "Meri is masjid mein ek namaz Bait ul Muqaddas mein padhi gayi chaar namazon ke barabar hai, waise wo namaz padhne ki behtareen jagah hai aur wo waqt qareeb hai ke ek momin ke liye itni jagah milna mushkil hoga ke wo wahan se Bait ul Muqaddas ko dekh ley, agar sirf itni jagah bhi mil gayi tou wo uske nazdeek duniya aur duniya ki tamaam chizon se behtar hoga."
(Mustadrak Hakim: 4/509, al-Mujam ul Awsat: 9/8226, Shob ul Emaan: 6/42,3849)

Nabi e Kareem ﷺ ki yeh mubarak hadees Bait ul Muqaddas se muta'alliq kayi umoor par roushni daalti hai, balke agar yeh kaha jaaye tou bejaa na hoga ke yeh hadees e mubarak Bait ul Muqaddas ki maujoodah tareekh se muta'alliq Nabi ﷺ ka ek mojizah hai.

Lehaza Hamen Is Hadees Par Ghaur Karna Chahiye Aur Maujoodah Daur Mein Bait Ul Muqaddas Ki Kya Surat E Haal Hai Is Par Tawajju Deyna Chahiye.

1) Us waqt Bait ul Muqaddas musalmano ki pohanch se bahut door tha aur is par duniya ki ek bahut badi taqat yane roam ka qabzah tha, aise halaat mein Nabi ﷺ Bait ul Muqaddas mein namaz ki ahmiyat aur musalmano ke dil mein iski muhabbat ki yeh khabar deyna goya Bait ul Muqaddas ki fateh ki khushkhabri sunana tha aur yeh waazeh karna hai ke Bait ul Muqaddas par musalmano ka haq hai, yehi wajah hai ke Aap ﷺ ki wafaat ke b'ad Siddiq o Farooq (Razi Allahu Anhuma) ki pehli koshishon mein Bait ul Muqaddas ko fateh karna tha, chunanche Bait ul Muqaddas 15 hijri ehad e farooqi mein fateh huwa.

2) Sahaba e Kiraam (Razi Allahu Anhum) ka Bait ul Muqaddas se muta'alliq malomaat ka ahtemaam karna, aur yeh baat yaqeeni hai ke Nabi e Kareem ﷺ Sahaba e Kiraam ke saamne iski ahmiyat bayaan farmaate thhey, iski azmat ka zikr karte thhey, tabhi tou Sahaba ko yeh shubah huwa ke shayad Bait ul Muqaddas ki ahmiyat Masjid e Nabawi se bhi ziyadah hai.

3) Is hadees se Masjid e Aqsa ki ahmiyat waazeh hoti hai ke shariat mein iska ek bada maqaam hai aur yeh maqaam musalmano ke dil mein baaqi rahega.

4) Masjid e Aqsa ki fazilat aur is mein namaz ke ajr ka ziyadah hona, chunaancheh Nabi ﷺ ne farmaaya: "wo namaz padhne ki behtareen jagah hai." neez Aap ﷺ ne farmaaya ke is masjid mein namaz digar masjidon ke muqaabley dhayi saw (250) gunaa ziyadah hai.

5) Ibtedaa mein musalmano ka qiblah Bait ul Muqaddas raha hai, ab agarche iska qiblah hona mansooq ho gaya hai lekin iski ahmiyat baqi hai aur qayamat tak baaqi rahegi.

6) Bahut mumkin hai ek waqt aaye ke yeh muqaddas zameen musalmano ke hath se nikal jaaye hatta ke iske ird gird bhi inhen rihaaish naseeb na hogi.

7) Lekin is waqt bhi musalmano ke dilo mein iski aisi muhabbat hogi ke ek musalmaan ke liye kuch door par sirf itni zameen ka mil jaana ke wahan se Bait ul Muqaddas ko dekh sake, yeh iske liye duniya aur duniya ki har cheez se azeez hoga.

8) Neez musalmano khususan Bait ul Muqaddas ke ird gird rehne waalon ko yeh mutanabbah kiya jaa raha hai ke Bait ul Muqaddas ki hifazat tamhaari zimmedaari hai, iski khidmat aur iska difaa' tumhaare liye baais e sharf hai.

9) San 1948 mein mein yahoodiyon ne filisteen mein israeeli hukumat ki buniyaad daala aur san 1967 mein quds par hamla kar ke yahood ne apna qabzah filisteen aur khaas kar quds par mustahkam kar liya hai, phir iske b'ad hi se Bait ul Muqaddas ko mukammal apni tahweel mein leyne ke liye darj zail chaalen chalen aur chal rahe hain:

● Masjid e Aqsa ke ird gird chaaron taraf se nayi yahood aabadiyan bana raha hain jis mein wo kaafi had tak kamiyaabi hain, agar che saari duniya ki hukumaten uski mukhalifat kar rahe hain.

● Quds ka wo ilaaqah jahan musalmaan aabaadi hai wahan ki zameen ki qeemat ghair mamooli taur par badhaa rahe hain, taake koi musalmaan wahan zameen ya ghar na khareed sake aur khareedey tou koi israeli hi khareeday, jise duniya ki digar yahoodi tanzeemen madad dey rahi hain.

Aur agar koi musalmaan jo is zameen ka malik hai aur wo kisi yahoodi ke hath nahi beachnaa chahata tou filisteen ke andar ya bahar ke kisi musalmaan ko tayyaar kiya jaata hai chunanche wo musalmaan se us zameen ko khareed kar phir kisi yahoodi ke hath beach deyta hai.

● Quds ko iqtesaadi taur par maflooj karne ki koshish ki gayi hai taake musalmaan usey chhor kar nikal jaayen, iski surat yeh hai ke quds mein dakhil hone ke liye har taraf se check post banayi gayi hai aur kisi bhi aise shakhs ko bahar se nahi aaney diya jaata jo quds ka rehne waala nahi hai hatta ke paas padosi ke shahron se agar koi apne rishtedaron se milne aana chahata hai tou usey ijazat nahi milti aur milti bhi hai tou mushkil se aur mehdood waqt ke liye.

● Is tarha quds ke ird gird aman ke qiyaam ke naam par police aur army ko muta'ayyan kar rakha hai jiski wajah se musalmano ki naql o harkat kam hai jabke yahood ko mukammal aazaadi haasil hai wo jis tarha chaahen aayen aur jaayen, yehi wajah hai ke ab quds mein yahood ki aabaadi badh gayi hai aur musalmano ki aabaadi inke muqaabil mein kam ho gayi hai aur wo bhi sirf Bait ul Muqaddas ke mashriqi jaanib.

● Quds ke jo asli paashinday hain yane musalmaan, yahoodi hukumat inka mustaqil wujood tasleem nahi karti, balke yeh waazeh kar diya hai ke tum log yahan ke asli paashinday nahi ho, lehaza tumhaari haisiyat yahan par waqti taur aqaamat bazeer logon ki hai, isi liye agar koi shakhs quds se bahar saat saal reh jaata hai tou uska haq e shahriyat (citizenship) cheen liya jaata hai aur uski amlaak par qabzah kar liya jaata hai.

● Ek musalmaan ke liye ab Masjid e Aqsa ke qareeb rihaaish badi khatarnaak surat ikhtiyaar kar gayi hai, umooman aisa hota hai ke raat ki tareekhi mein jab wo namaz ke liye ya kisi aur maqsad ke liye nikaltay hain tou koi chopaa huwa shakhs un par kisi dhaar daar cheez se hamla kar deyta hai.

Is tarha yahood ki planning hai ke mustaqil qareeb mein Quds aur Masjid e Aqsa ke qareeb koi musalmaan na rah jaaye taake Bait ul Muqaddas se inhen apni man maani karne aur isey dhaa kar wahan par haikal e sulaimani tayyar karne ka mawqa' hath aajaaye.

Allah Ta'ala se dua hai ke inki yeh napaak koshish kamiyaab na ho.

Asl mazmoon yahan padhe: Masjid E Aqsa Se Muta'alliq Ek Ahem Hadees!
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Umar Asari Islaah e Mu’aashra 0

Similar threads


Top