Masjid E Nabwi Mein Azaan Ke Band Hone Ka Afsaana {Riwayat Number : 1}


Abdul Adil

Member
Masjid E Nabwi Mein Azaan Ke Band Hone Ka Afsaana........

Roman Script :- Abdul Adil Ansari

Asal Mazmoon :- Yazeed Ibne Muawiyah Par Iljemaat ka Tahqeeqi Jayeza Safa : 465 - 466


Saeed Bin Abdul Azeez kahte hai ki jab Ayyam E Harrah ka waqya pesh aaya to Teen dino tak Masjid E Nabwi mein Azaan aur Iqamat nahi huyi aur Saeed Bin Mussaib in dino Masjid E Nabwi mein tahhre rahe , Aap Kahte hai ki jab Namaz ka waqt ho jata to Kabar E Nabwi se Azaan ki awaaz sunayi deti aur main ye awaaz sunkar iqamat kahta aur namaz ada karta .

Ye Riwayat Saeed Bin Mussaib Ke Hawale se do (2) logon ne bayan ki hai.

1] Saeed Bin Abdul Azeez Al-Tanokhi
2] Abu Haazim Salma Bin Dinar

۞ Saeed Bin Abdul Azeez Al-Tanokhi...


i} Imam Darmi Rahimaullah farmate hai

أَخْبَرَنَا مَرْوَانُ بْنُ مُحَمَّدٍ عَنْ سَعِيدِ بْنِ عَبْدِ الْعَزِيزِ قَالَ لَمَّا كَانَ أَيَّامُ الْحَرَّةِ لَمْ يُؤَذَّنْ فِي مَسْجِدِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ ثَلَاثًا وَلَمْ يُقَمْ وَلَمْ يَبْرَحْ سَعِيدُ بْنُ الْمُسَيَّبِ مِنْ الْمَسْجِدِ وَكَانَ لَا يَعْرِفُ وَقْتَ الصَّلَاةِ إِلَّا بِهَمْهَمَةٍ يَسْمَعُهَا مِنْ قَبْرِ النَّبِيِّ فَذَكَرَ مَعْنَاهُ

Saeed Bin Abdul Azeez bayan karte hai waqya E Harrah ke dauran Nabi ﷺ ki Masjid mein teen din tak Azaan nahi huyi aur naa hi Iqamat kahi gayi us dauran Hazrat Saeed Bin Mussaib masjid mein hi rahe inhe namaz ke awqaat ka is tarah se pata chalta tha ki Nabi ﷺ ki kabar mubarak se halki awaaz aaya karti thi .

[Sunan Darmi 1/227]

ii} Imam Ibne Sa'ad Rahimaullah farmate hai


"أخبرنا محمد بن عمر قال: حدثني طلحة بن محمد بن سعيد عن أبيه قال: كان سعيد بن المسيب أيام الحرة في المسجد لم يبايع ولم يبرح، وكان يصلي معهم الجمعة ويخرج إلى العيد، وكان الناس يقتتلون وينتبهون، وهو في المسجد لا يبرح إلا ليلا إلى الليل. قال: فكنت إذا حانت الصلاة أسمع أذانا يخرج من قبل القبر حتى أمن الناس وما رأيت خبرا من الجماعة"

[Al-Tabqaat Al-Kubra Libne Sa'ad 5/132]

Sanad Ki Tahqeeq :- Ye riwayat mursal hai kyunki Saeed Bin Abdul Azeez Waqya E Harrah ke waqt paida hi nahi huye the. Waqya E Harrah 63 Hijri mein pesh aaya tha aur Saeed Bin Abdul Azeez Ki Paidaish 90 Hijri Mein Huyi hai .

Imam Zahbi Rahimaullah Farmate hai

"ولد سنة تسعين، في حياة سهل بن سعد"

Yani Mausoof waqya pesh aane ke 27 saal baad paida huye , fir jahir hai ki inhone ye waqya kisi aur se suna hai aur uska name nahi liya lihaza riwayat mursal hai

[Siyar O Alaam Al-Nabula'a 8/32]

Ye bhi mumkin nahi ki Saeed Bin Abdul Azeez ne ye riwayat Saeed Bin Mussaib se suni ho kyunki Saeed Bin Abdul Azeez ki paidaish 90 Hijri mein huyi hai jaisa ki upar hawala guzar chuka hai aur unke paida hone ke takreeban teen (3) saal baad hi Saeed Bin Mussaib Ki wafat ho gayi .

Imam Zahbi Rahimaullah Farmate hai

"وقال أبو نعيم، وعلي بن المديني: توفي سنة ثلاث وتسعين"

Abu Naeem Aur Ali Bin Madeeni ne kaha ki unki wafat 93 Hijri mein huyi.

[Siyar O Alaam Al-Nabula'a 4/246]

Maloom hua ki ye bhi mumkin nahi ki Saeed Bin Abdul Azeez ne ye riwayat Saeed Bin Mussaib se suni ho.

Ijafa :- Hafiz Zubair Ali Zai Rahimaullah ne Mishqaat ki Tahqeeq mein is Hadees ko Zaeef Kaha hai Dekhiye : Mishqaat Ul Masabeeh Hadees Number : 5951
 

Top