Masjid Ke Loud Speaker Se Mayyat Ka Aelaan


Masjid Ke Loud Speaker Se Mayyat Ka Aelaan

Tehreer:Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullaah

Daai Islamic Dawah Center Taif Saudi Arab
Romanised By : Khadija Muhammadi

Masjid Ke Loud Speaker Se Maiyyat Ki Khabar Dene Se Mutalliq Awaam Me Shak Paya Jata Hai Is Shak Ko Door Karne Ki Garaz Se Me Ne Ek Haqeer Si Koshish Ki Hai Allaah Mujhe Is Mamle Me Sahih Baat Ki Taraf Rehnumaai Farmaae. Aameen
Ahadees Se EK Taraf Yah Malum Hota Hai Ke Maiyyat Ki Nai(Khabar Dena)Mamnu Hai To Dusri Taraf Rasool SAV Se Maiyyat Ki Khabar Dena Sabit Hai Chunacha Is Qisam Ki Dono Hadees Par Nazar Dalte Hai.
Huzaifah Bin Yamaan RA Bayan Karte Hai Unhone Kaha:
إذا مت فلا تؤذنوا أحدا اني اخاف ان يكون نعيا اني سمعت رسول الله صلى الله عليه وسلم ينهى عن النعى.(صحيح الترمذي:986)
Tarjumah:Jab Me Mar Jaau To Mere Marne Ka Aelaan Mat Karna Mujhe Dar Hai Ke Yah Baat Khabar Dena Hogi Kuy Ke Mene Rasool SAV Ko Khabar Dene Se Mana Farmaya Suna Hai.
Yah Ek Taraf Ki Hadees Hai Aur Dusri Taraf Ki Hadees Arbi Matan Ke Sath Baazar Gaair Mulahiza Farmaae.
Abu Hurairah RA Bayan Karte Hai:
نعى لنا رسول الله صلى الله عليه وسلم النجاشي صاحب الحبشة يوم الذي مات فيه.
(صحيح البخاري:1327)
Tarjumah:Nabi SAV Ne Habsha Ke Najjashi Ki Wafaat Ki Khabar Di Usi Din Jis Din Unka Intiqaal Hua Tha.
Isi Tarah Anas Bin Malik RA Bayan Karte Hai:
ان النبي صلى الله عليه وسلم نعى زيدا وجعفر وابن رواحة للناس قبل ان ياتيهم خبرهم.(صحيح البخاري:3757)
Tarjumah: Nabi SAV Ne Kisi Khabar Ke Pohnchne Se Pehle Zaid,Jafar Aur Abdullaah Bin Rawaha RA Ki Shahadat Ki Khabar Sahaba Ko Suna Di Thi.
Balke Sahih Al Bukhari(458) Aur Sahih Muslim(956)Me Mazkoor Hai Ke Masjid E Nabavi Me Jhadu Dene Wali Aurat Ki Wafaat Par Aap Ko Iski Wafaat Ki Khabar Na Di Gai Baad Me Aap Ko Maaloom Hua To Aap Ne Farmaya:
أفلا كنتم آذيتموني به"
Yani Tum Logo Ne Mujhe Kuy Na(Iski Wafaat Ki) Khabar Di.
Aap Ne Dono Qasmo Ki Ahadees Dekh Li Ab Unki Haqeeqat Par Gaur Farmaae. Yaha Un Dono Me Ek Lafz Khabar Dena Waarid Hai Jis Ka Mani Maut Ki Khabar Dena Hota Hai Ek Jagah Yah Mana Ke Qabeel Se Hai Aur Dusri Jagah Jawaaz Ke Qabeel Se Yahi Se Yah Nuqta Samjh Me Aa Raha Hai Ke Na'i Ke Mutaddid Aqsaam Hai Unme Se Kuch Khabar Dena Mana Hau Aur Kuch Khabar Dena Jaiz Hai.
Mamnu Khabar Dena Woh Hai Jo Jahiliyat La Tariqah Tha Ke Zamana Jahiliyat Me Jab Koi Mar Jata To Ek Aadmi Kisi Janwar Par Sawaar Ho Kar Gali Kucho Me Ghum Ghum Kar Aur Chinkh Chinkh Kar Uski Maut Ka Aelaan Aur Tashheer Karta Noha Khawani Karna Maiyyat Ki Khubiya Aur Uske Fazaail Aur Manaaqib Zikar Karta. Jaaiz Khabar Maiyyat Ka Aelaan Karna Hai Taaki Log Janaza Me Sharik Ho Sake.
Lihaza Jis Aelaan Me Maiyyat Ki Tashheer Karna,Maiyyat Ki Buland Aawaaz Se Chinkh Chinkh Kar Gali Kucho Me Ghum Kar Khabar Dena Nauha Khawani Karna Maiyyat Ki Khubiya Aur Mafaakhir Aur Manaaqib Bayan Karna Shaamil Ho Dar Asal Woh Aelaan Mamnu Hau Albatta Jis Aelaan Se Maqsad Sirf Maiyyat Ke Janaza Ki Khabar Dena Ho Chaahe Laoud Speaker Se Hi Kuy Na Ho Us Aelaan Me Harj Nahi Hai.
Raha Masala Masjid Ke Loaud Speaker Se Aelaan Karne Ka To Isme Bhi Koi Maane Chiz Nahi Aati Hai Jab Maqsad Maiyyat Ke Janaza Aur Uski Tajheez Aur Takfeen Ki Khabar Dena Ho Masjid Me Mamnu Chizo Ke Talluq Se Islaam Ne Hame Rehnumaai Kar Di Hai Ke Waha Tijarti Aur Duniyawi Baate Karna Shor Aur Gul Machana Khareed Aur Farokhat Karna Gumshuda Chizo Ka Aelaan Karna Buland Aawaaz Se Fuzool Bate Karna Bila Maqsad Sher Goi Karna,Masjid Me Dod Kar Aana,Musalli Ki Taklif Dena,Lehsun Piyaz Kha Kar Aana,Junbi Aur Haiza Ka Masjid Me Tehrna Aur Masjid Ko Guzar Ne Ki Jagah Banana Mana Hai Goya Masjid Me Maiyyat Ke Aelaan Ki Mumaniat Warid Nahi Hai Is Wajah Se Masjid Me Maiyyat Ka Aelaan Karna Ya Masjid Ke Loud Speaker Se Maiyyat Aelaan Karna Jaiz Hai Yaha Mazeed Ek Baat Ki Wazaahat Ho Jaae Ke Masjid Me Bila Zaroorat Aawaaz Tez Karna Bhi Mana Hai Aur Maiyyat Ki Khabar Ke Liye Loaud Speaker Ka Istemaal Zaroorat Ke Tahat Hai Is Wajah Se Is Kaam Me Harj Nahi Hai. Shaikh Ibne Usaimeen RH Ne Achchi Aadmi Ki Maut Ki Khabar Masjid Me Dena Jaiz Kaha Hai Aur AAM Aadmi Ke Aelaan Se Roka Hai Aur Shaikh Saleh Fauzaan Ne Bhi Masjid Me Maiyyat Ka Aelaan Karne Ko Jaiz Kaha Hai.
ISLAAM Ne Maiyyat Ke Liye Ya Maut Ki Khabar Sunne Par Dua Karne,Maiyyat Ke Wareseen Ki Taziyat Karne,Maiyyat Ko Jaldi Dafan Karne Janaza Ke Piche Chalne Aur Dafan Baad Saabit Qadmi Ki Dua Karne Ka Hukam Aur Uski Targeeb Di Hai Yah Saari Baate Is Par Munhasir Hai Ke Jab Kisi Ki Wafaat Ho Jaae To Uski Khabar Logo Ko Di Jaae Warna Basti Walo Ko Khabar Kaise Hogi Aur Kaise Uske Haq Me Astagfaar Aur Tadfeen Ka Amal Anjaam Paae Ga?Hadees O Se Yah Bhi Maloom Hota Hai Ke Janaza Me Muvahidin Ki Kasrat E Maiyyat Ke Haq Me Mufeed Hai Ziyada Usi Waqt Hogi Jab Logo Ko Wafaat Ki Khabar Di Jaae Gi. Sath Sath Yah Bhi Ek Haqeeqat Hai Ke Aaj Kal Har Jagah Aabadi Ghani Hoti Hai Har Koi Apne Apne Kaam Me Masroof Hai Ek Dusre Tak Baat Pohnchane Ka Zariya Jadeed Aalaat Hi Hai To Fir Ayse Haalaat Me Maut Ki Khabar Dene Ke Liye Microphones, Mobile Aur Loaud Speaker Ka Istemaal Karne Me Harj Nahi Hai.
EK ISHKAAL KA JAWAAB:
Kuch Ahle Ilm Ne Loaud Speaker Se Maiyyat Ka Aelaan Karne Se Mana Kiya Hai Uski Wajah Yah Batlaai Jati Hai Ke Jahiliyat Ki Khabar Me Ek Sifat Buland Aawaz Se Maut Ki Khabar Dena Tha. Uska Jawab Yah Hai Ke Jahiliyat Ki Khabar Me Sirf Ek Yahi Sifat Nahi Paai Jati Thi. Maiyyat Ki Khabar Dene Ki Sharh Karne Walo Ne Mutaddid Sifat Ki Taraf Isharah Kiya Hai Jis Ko Mene Upar Bayan Kiya Hai Agar Maiyyat Ki Khabar Dene Me Sirf Ek Sifat Yani Buland Aawaaz Ka Istemaal Sirf Is Wajah Se Kiya Jaae Taaki Sare Basti Walo Ko Maut Ki Khabar Ho Jaae Maiyyat Ko Dua De Aur Log Janaza Me Sharik Ho Ti Usme Bilkul Koi Qabahat Nahi Hai Mazeed Baraa Jahiliyat Ki Buland Aawaaz Aur Yaha Loaud Speaker Ki Buland Aawaz Me Had Darjah FARQ Hai Ek Buland Aawaz Ka Maqsad Maiyyat Ki Tashheer Aur Manaaqib Bayan Karna Jab Ke Dusri Buland Aawaaz Ka Maqsad Tamam Basti Walo Tak Sirf Maut Ki Khabar Dena Hai Taaki Woh Janaza Me Sharik Ho Sake Upar Ek Hadees Guzri Hai Jis Me Mazkoor Hai Ke Nabi SAV Ne Zaid,Jafar Aur Ibne Rawaha RA Ki Maut Ki Khabar Logo Ko Laash Aane Se Pehle Hu De Di Thi Taaki Log Ko Unki Maut Ki Khabar Ho Jaae Aur Unke Haq Me Dua E Khair Kare Waha Janaza Ki Khabar Dena Maqsad Nahi Tha Balke Khaalis Maut Ki Khabar Dena Tha Jab Musalmano Ko Khalid Maut Ki Khabar Dena Jaiz Hai To Janaza Aur Tadfeen Ki Khabar Dena Badarja Awla Jaiz Hai.
MAIYYAT KE AELAAN KA EK DUSRA OPTION:
Aaj Kap Umooman Log Social Media Se Jude Hue Hai Is Liye Is Awaami Media Se Faidah Uthate Hue Agar Masjid Ke Commety Wale Mobile Par Us Kaam Ke Waste Ek Makhsus Whatsapp Group Bana Le Jis Me Wafaat Aur Us Se Mutalliq Khabare Nashar Kar Sake To Aawaaz Buland Karne Se Khabar Ka Jo Shuba Paida Hota Woh Khatam Ho Jaae Ga Aur Ek Bada Faidah Yah Bhi Hoga Ke Us Group Me Qurab Aur Jawaar Ke Zimma Daaran Jo Shamil Kar Ke Un Logo Ko Bhi Nihayat Khamoshi Se Ba Khabar Kiya Ja Sakta Hai Saudi Arab Me Masaajid Ke Tarustiyaan Ayse Hi Karte Hai.
 

Similar threads


Top