بِسْمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحْمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ

Namaz Mein Do Sajdon Ki Wajah?

Tehreer: Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullah

Romanised By: Umar Asari

Bayan Kiya Jata Hai Ke: “Jab Allah Ne Farishton Ko Hukm Diya Key Adam Alaihissalam Ko Sajda Karen To Sab Ne Sajda Kiya Siwaye Iblees e Laeen Key To Rab Ne Iblees e Laeen Ko Mardood Qarar Dey Kar Jannat Se Nikaal Diya.
Iblees Ki Yeh Haalat Dekh Kar Farishton Ne Sajda e Shukr Ada Kiya Aur Kaha Key Aye Allah Tera Shukr Hai Tu Ne Hamein Apna Hukm Maanney Aur Apni Ibadat Karney Ki Taufeeq Ataa Farmai. Woh Do Sajdey Aaj Tak Namaz Mein Ada Kiye Jatay Hain.”


Is Baat Ki Koi Haqeeqat Nahi Hai Aur Isay Mutaddid (Kai, Bohot Sey) Asbaab (Reasons) Ki Wajah Sey Bayan Karna Bhi Jaayez Nahi Hai:
Pahla Sabab: Yeh Aisa Daawa Hai Jis Ki Kitaab o Sunnat Mein Koi Daleel Nahi Hai, Aur Na Hi Ulama e Tafaseer Mein Se Kisi Ne Isko Zikr Kiya Hai.

Doosra Sabab: Allah Taala Ne Adam Alaihissalam Ke Sajda Ke Liye Aik Hi Amar Zikr Kiya Hai Phir Uskey Baad Khabar Diya Key Saaray Farishton Ne Sajda Kiya Siwaye Iblees e Laeen Ke. Allah Taala Ka Farmaan Hai:
وَإِذْ قُلْنَا لِلْمَلَٰٓئِكَةِ ٱسْجُدُوا۟ لِآدَمَ فَسَجَدُوٓا۟ إِلَّآ إِبْلِيسَ أَبَىٰ وَٱسْتَكْبَرَ وَكَانَ مِنَ ٱلْكَٰفِرِينَ
Tarjuma: Aur Jab Hum Ney Farishton Say Kaha Kay Aadam (Alaihissalam) Ko Sajda Karo To Iblees Kay Siwa Sab Ney Sajda Kiya. Us Ney Inkar Kiya Aur Takabbur Kiya Aur Woh Kafiron Mein Ho Gaya.
(Surah Al-Baqarah, Surah No: 2 Ayat No: 34)

Mazeed Farmaya:
وَإِذْ قُلْنَا لِلْمَلَٰٓئِكَةِ ٱسْجُدُوا۟ لِآدَمَ فَسَجَدُوٓا۟ إِلَّآ إِبْلِيسَ كَانَ مِنَ ٱلْجِنِّ فَفَسَقَ عَنْ أَمْرِ رَبِّهِ
Tarjuma: Aur Jab Hum Ney Farishton Ko Hukm Diya Kay Tum Aadam (Alaihissalam) Ko Sajda Karo To Iblees Kay Siwa Sab Ney Sajda Kiya, Yeh Jinon Mein Say Tha Us Ney Apney Parwardigar Ki Na-Farmani Ki......
(Surah Al-Kahf, Surah No: 18 Ayat No: 50)

Teesra Sabab: Firshton Ka Sajda Aadam Alaihissalam Key Liye Tha Jabkay Namaz Mein Hamara Sajda Allah Rabbul Alaalmeen Key Liye Hai. To Namazi Ka Allah Key Liye Sajda Aur Firshton Ka Aadam Alaihissalam Key Liye Sajda, Dono Mein Koi Talluq Hi Nahi Hai.

Chautha Sabab: Allah Taala Ney Baghair Ilm Key Koi Baat Kehnay Ko Haraam Qarar Diya Hai. Farmaan e Baari Taala Hai:
قُلْ إِنَّمَا حَرَّمَ رَبِّىَ ٱلْفَوَٰحِشَ مَا ظَهَرَ مِنْهَا وَمَا بَطَنَ وَٱلْإِثْمَ وَٱلْبَغْىَ بِغَيْرِ ٱلْحَقِّ وَأَن تُشْرِكُوا۟ بِٱللَّهِ مَا لَمْ يُنَزِّلْ بِهِۦ سُلْطَٰنًا وَأَن تَقُولُوا۟ عَلَى ٱللَّهِ مَا لَا تَعْلَمُونَ
Tarjuma: Aap Farmaiye Kay Albatta Meray Rab Ney Sirf Haram Kiya Hai Un Tamam Fohash Baaton Ko Jo Ailaaniyan Hain Aur Jo Posheeda Hain Aur Har Gunah Ki Baat Ko Aur Na-Haq Kisi Par Zulm Karney Ko Aur Is Baat Ko Kay Tum Allah Kay Saath Kisi Aisi Cheez Ko Shareek Thehraao Jis Ki Allah Ney Koi Sanad Nazil Nahi Ki Aur Is Baat Ko Kay Tum Log Allah Kay Zimmay Aisi Baat Laga Do Jis Ko Tum Jantay Nahi.
(Surah Al-A’araaf, Surah No: 7 Ayat No: 33)

Lehaza Hamein Aisi Baaton Ko Kehney Sey Bachna Chahiye Jiska Hamein ilm Nahi. Kahin Aisa Na Ho Ki Hum Koi Galat Baat Allah ya Uskey Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Taraf Mansoob Kar Den or Hamein Nuqsaan Uthana Padey.

Allah Hamein Kehney Sunney Sey Zada Amal Karney Ki Taufeeq Ata Farmaye. Aameen
 

Similar threads


Top