Ibnatu Ali

Member
Social Media Par Gumraahiyaan
Bahut hi ahem baat hai yeh
Facebook kholne ke baad jo pehli post dekhi
Us mein Khaana e Ka'ba ki tasweer ke upar likha tha.......
Koi kaafir hi hoga jo ise share na kare
Doosri post mein Quran e Majeed ki aayaat ke saath darj tha ke
Ise like karte waqt shaitaan aap ko rokega,
Teesri post mein ek naara darj tha aur saath mein ek tehreer bhi darj thi
Us pe likha huwa tha ke naare ka jawaab sirf halaali hi de
Isi tarah mo'tabar shakhsiyyaat ko madd e maqaabil kar ke mu'aazna kiya jaata hai ke
Bataao is mein konsi shakhsiyyat deen ki ziyadah khidmat kar rahi hai
Kaun ziyadah muttaqi aur parhezgaar hai.......
Yeh bhi dekhne ko milta hai ke
Lafz e Mohammad Sallallahu Alaihi Wasallam ko post kar ke yeh likha huwa hota ke
Voting kijiye aur imaani suboot dijiye.......
Hairaangi hoti hai ke koi Khaana e Ka'ba ki tasweer share na karne se kaafir,
Aayaat ko like na karne se shaitaan ka saathi
Aur naare ka jawaab na dene se haraami kaise ho sakta hai?
Duniya ki sab se azeem hasti ke liye voting karna kiya ma’ne rakhta hai?
Aisa log dara dara kar zabardasti karwaate hain
Aur har charsi namaz roza chor kar bus Facebook aur Whatsapp pe yahi karta hai aur sab se karwaata hai
Muttaqi aur parhezgaari ka certificate dene waale hum kaun hote hain, Allah Azza wa Jal Allam ul Ghuyub ke saath Khabeer bhi hai jo barhaq faisla karne waala hai.......
Aise zehni mareezon se guzaarish hai ke apni islaah kijiye aur aisi posts share karne se bachye
Allah hum sab ko deen ki sahi samajh ata kare, Aameen.
 

Similar threads


Top