Mayyat ke dafan ke baad qabr par paani chidakna


Ibnatu Ali

Member
Mayyat ke dafan ke baad qabr par paani chidakna

Dafan ke baad qabr par paani chidakna

Tehreer: Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullah

Romanised By: Umar Asari

Mayyat ki tadfeen ke baad qabr par paani daalna mustahab (pasandeedah amal) hai, is silsile mein muta'addid (kayi) Ahadees milti hain. Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne Sa'ad bin Mu'az Radhiallahu Anhu ki qabr par paani daala, apne bete Ibrahim ki qabr par bhi paani chidka. Isi tarah Uthman bin Maz'oon Radhiallahu Anhu ki qabr par paani chidakne ka hukm diya. Bilal bin Rabah ne Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki qabr pe paani chidka tha. Is tarah ki riwayaat milti hain. In saari riwayaton ko Allama Albani Rahimahullah ne Zaeef qaraar diya tha, baad mein ek sahih riwayat mili to Shaikh ne kaha:
في رش القبر أحاديث كثيرة ، ولكنها معلولة - كما بينت ذلك في "الإرواء" (3/205 - 206) . ثم وجدت في "أوسط الطبراني" حديثاً بإسناد قوي في رشه صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ لقبر ابنه إبراهيم ، فخرجته في "الصحيحة" (3045) " انتهى من "سلسلة الأحاديث الضعيفة" 13/994​
Tarjumah: Qabr par paani chidakne se mutalliq bahut Ahadees milti hain Magar koi bhi illat se khaali nahi jaisa ke main ne "Irwa ul Ghaleel (3/205-206)" mein bayan kiya hai. Phir main ne Tabarani Awsat mein ek Hadees paayi jo qawi sanad se hai, woh hai Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne apne bete Ibrahim ki qabr par paani chidka tha. To main ne us Hadees ki takhreej Silsila "Saheeha (3045)" mein ki.
(Reference: Silsila Zaeefa: 13/994)

"Tabarani Awsat" ki riwayat hai:
عَنْ عَائِشَةَ أَنَّ النَّبِيَّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ : رَشَّ عَلَى قَبْرِ ابْنِهِ إِبْرَاهِيمَ​
Tarjumah: Hazrat Aisha Radhiallahu Anha se riwayat hai ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne apne bete Ibrahim ki qabr par paani chidka.
Ise Tabarani ne Awsat mein riwayat kiya hai. Is riwayat ke mutalliq Haythami ne kaha ke is ke saare Rijaal Sahihain ke hain siwaaye Shaikh Tabarani ke.

Is liye yeh kaha jaayega ke qabr par paani chidakna mustahab o masnoon hai, is jaanib bahut se ahle ilm bhi gaye hain un mein Shaikh Ibn e Baaz aur Shaikh Ibn e Uthaymin Rahimahumallah bhi hain.

Qabr par paani chidakne ke mutalliq kuch Masail:-
Qabr par paani chidakne se mutalliq kuch baatein dhiyaan mein rakhni zaroori hain:
(1) Qabr par paani chidakna dafan ke fauran baad ho taaki paani chidakne ke jo fawaaid hain woh haasil ho saken. Paani chidakne ke kuch fawaaid yeh hain;
٭ Dhool mitti baith jaaye.
٭ Hawa ke jhoonkon se qabr ki hifaazat ho.
٭ Mayyat se aane waali badbu ko rok sake kiunki ho sakta hai kisi darinde ko yeh mehsoos ho aur woh mayyat ko cheer phaad kare.
(2) Dafan ke baad paani daalna zaroori nahi balki Mustahab (pasandeedah amal) hai, na daale to koyi harj nahi.
(3) Kuch log har ziyarat ke waqt qabr pe paani daalte hain yeh bidat hai.
(4) Kuch log paani ke saath qabr ki lipaayi putaayi karte hain, us par phool chadhaate hain, agar-batti jalaate hain, tehniyaan gaadte hain, yeh saare na-jaaiz aa’maal hain. In se bachen.
(5) Kuch log paani ke saath qabr par parindon ke liye daana daalte hain, mumkin ho is amal se mayyat ko sadqa ka sawab pahunchane ki niyat ho lekin yeh bhi mardood amal hai.
(6) Kuch log khaas mawaqe par paani daalte hain masalan Aashoora, Rabi ul Awwal, Rajab aur pandrahveen Sha'baan waghera pe aisa karte hain so yeh bhi bidat hai kiunki paani daalne ka koyi waqt muta'ayyan nahi hai.
(7) Agar mitti dhans jaaye aur laash nazar aane lage ya us ki ihaanat (tauheen) ka andeesha (darr) ho to baad mein bhi mitti daal kar paani chidka jaa sakta hai.
(8) Bid'atiyon mein yeh aqeedah paaya jaata hai ke qabr par paani chidakne se mayyat ko faida pahunchta hai ya us ko thandak milti hai. Yeh sara-sar baatil aqeedah hai, is aqeede se musalmaan taubah kare.
 
Top