AMAN O SALAAMATI KA GAHWARAH


AMAN O SALAAMATI KA GAHWARAH
Tahreer: ABU MUAAZ hafizahullah
(AL-HADIS shumaarah No.82, page:50)
Roman Script : Abu Umaimah Owais

Al-Hamdulillahi Rabbil Aalameen Wassalato Wasallamu Ala Rasoolihil Kareem Wa Ala Aalihi Wa As'habihi Ajmayeen, Amma Ba'ad:

Deen-e-Islam mein insaaniyat ki khair khawaahi aur muashre ki tarbiyat ka bahut ziyaadah khiyaal rakhaa gaya hai,taake tamaam ahl-e-eemaan bahami muhabbat o muaddat, khair khawahi aura man ke saath rahein, har taraf aman o salamati ka daur daorah ho aur kisi qisam ka fitnah o fasaad nah ho.

NABI KAREEM sallallahu alaihi wasallam ki pyaari hadison mien se ek hadis ka khulasah darj-e-zail hai:
Ek dosre se hasad nah karo, boli ki qimat(dhoka dene keliye) nah badhao, ek dosre se bughz nah rakho, ek dosre ki taraf (naaraazi se) peeth na phero(gheebat na karo), aur ek dosre ke saude par sauda na karo, ALLAH ke bande aur bhai bhai ban jaao, Musalmaan Musalmaan ka bhai hai, na woh us par zulm karta hai aur na usey ruswaa karta hai, Musalmaan Musalmaan ki tahqeer(toheen) nahi karta, har Musalmaan ka khon(bahana) maal aur izzat dosre Musalmaan par haraam hai. (Dekhiye: Sahih Muslim:2564, Darussalam No.6541)

Agar ALLAH aur uske RASOOL sallallahu alaihi wasallam se mohabbat aur aakhirat ko madd-e-nazar rakhte howe un sonahri hidaayaat par khulo se amal kya jaaye to Musalmaan muashrah dunya mein hi jannat ka nazaarah aur Aman o Salaamati ka gahwaarah ban jaaye. Dosre par zulm o ziyaadati karne waala agar ye soche ke mere saath aisaa rawaiyah aur sulok kaisa rahega? to woh hargiz kisi par zulm o ziyaadti nah kare, balke sulah safaayi, darguzar o khair khawahi aur aman o salamati keliye hamesha dil o jaan se mustayed o masroof rahe.

RASOOL sallallahu alaihi wasallam ne farmaaya: Jab do Musalmaan apni talwaaren lekar (ek dosre ko maarne keliye) aamne saamne aajayen to qaatil o maqtol dono jahannumi hain. Pocha gaya: qaatil to jahannumi howa, ye maqtol kion jahannumi hai? AAP sallallahu alaihi wasallam ne farmaaya: ye bhi apne bhai ko qatal karna chaahta tha.(Sahih Bukhari:6875. /wa Sahih Muslim:2888, Darussalam No.7252)
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Umar Asari Mu’aasharat (Rahen Sahen) 0

Similar threads


Top