Mention Tag Karne Ka Tareeqa


Staff Member

Member
Staff member
Assalamu Alaikum Warehmatullahi Wabarakatuhu

Agar Aap Kisi Thread Mein Kisi Ko Mutawajjeh Karna Ya Bulaana Chahte Hain To Uske Liye Aap Mention Tag Ka Istemaal Kar Sakte hain. Aap Jab Mention Tag Kar Denge To Jisko Aap Tag Karenge Usko Notification Mil Jaayegi Aur Woh Us Thread Ki Jaanib Mutwajjeh Ho Jaayega.

Mention Tag Karne Ka Tareeqa:
Is Ka Tareeqa Bahut Aasaan Hai. Aap Jis Ko Tag Karna Chahte Hain Bus Aapko Uska Naam Maloom Hona Chahiye (Yaani Aapko Yeh Maloom Hona Chahiye Ki Aap Jise Tag Kar Rahe Hain Woh Forum Par Kis Naam Se Register Hai).
Mention Tag Karne Ke Liye Aap @ Likhen Uske Baad Bina Space Diye Us Ka Naam Likh Den Jisko Aap Apne Thread Mein Bulaana Chahte Hain.

For Example: Aap Mujhe Tag Karna Chahte Hain To Is Tarah Se Likhen:
@Syed Ibraheem Salafi

Koi Baat Samjh Mein Na Aayi Ho To Aap Pooch Sakte Hain.
 
Top