KHANE PAR FATIHA PADHNE KI SHARAI HAISIYAT


Shona shaikh

Active member
Bismillahirrahmanirraheem

KHANE PAR FATIHA PADHNE KI SHARAI HAISIYAT

Khane pe surah fatiha padhna:

Allah paak Quran me farmate hai Aur hamne yeh kitab nazil farmaee hai jiss mein har cheez ka shafi bayan hai aur hidayat aur rehmat aur khuskhabri hai musalmanon kay liye. (Al Israa: 89)

Rasoollallah Sallallhu Alaihi Wasallam ne farmaya;
” Sabse behtareen Kalam Allah ki kitab hai aur sabse behtareen tareeqa Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam ke tareeqa hai ”Sahih Bukhari: Volume 9, Book 92, Number 382.

Muslim ummah ke ek groh me ek riwaj paya jata hai ki wo kisi khas mauqe par ya har jume-raat ko khane ke upar surah fatiha padhte hai aur fir uska sawab faut shuda logo ko baksh dete hai. Is amal ka zikr na toh kitab e hidayat me hai aur na hi sunnate Rasool me. Lihaza ye biddat me shumar hota hai.

Ayesha Radhiallahu Anha riwayat karti hain ki Mohammad Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki Jisne hamare is deen me kuch aisi baat shamil ki jo usme se nahi hai to wo mardud hai.
(Sahih bukhari, had-2697, Sahih Muslim, had-1718)

Mohammad Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki Meri sunnat aur khulafa e rashidin ki sunnat ko daanto se mazbuti se pakde rahna aur har nayi chiz jo deen me nikali jaye usse bachna kiyunki har nayi chiz ek gumrahi hai. [Musnad Ahmad (4/126) and at-Tirmidhee (2676)].

Abdullah Ibn Umar Radhiallahu Anhuma farmate hain: TAMAAM Biddatein GUMRAAHI hain, agarche “Ba-Zaahir woh, logon ko ACHCHI lagein”. SUNAN KUBRA BAIHAQI (HADITH 138).

RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne hame biddat se bachne ki sakht nasihat farmai hai. So hame Allah se darna chahiye deen me nayi chize ijaad karne se aur biddat ko chor kar sunnat ko apnana chahiye.

Ahle biddat apne is amal ko support karne ke liye ek riwayat pesh karte hai jo ki ek lambi hadith hai jiski summary (khulasa) kuch aisa hai:
Hazrate Abu Talha Radhiallahu Anhu Ke Ghar Dawat Par, Aap NABI E PAAK (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Roti Aur makhhan Rakha aur Jo Chaha Padha, Aur Fir Usme Itni Barkat Ho Gayi, Ki 70 ya 80 admiyo ne use khaya. Sahih al-Bukhari 6688.
source of sahih al bukhari- http://sunnah.com/bukhari/83/65


Kya daleel di hai batil ne jab Nabi [Sallallahu Alaihi Wasallam] ne roti [khane] me barkat ke liye duwa ki to 70-80 sahaba pet bhar kar khaye! Lekin ahle biddat ke yaha khane me barkat ke liye duwa ki jata hai tu 3 admiyo ka khana 1 hi admi kha jata hai. Ye ahle biddat ke liye sochne wali baat hai!!!

Jab Nabi [Sallallahu Alaihi Wasallam] ne roti me barkat ke liye duwa ki tu Aap [Sallallahu Alaihi Wasallam] ne kaunsi surat padhi yeh kisi sahaba ko malum nahi tha. Lagta hai ahle biddat ko ilm gaib hai kyuke Nabi [Sallallahu Alaihi Wasallam] ne bataya hi nahi ke unhone kaunsi surat ya ayat ya dua padhi ha Roti me barkat ke liye.

Khairr…

Khana Khane se pahle us khane par surah fatiha padhna sahih hadiths ke khilaf hai :

Aisha Radhiallahu Anha riwayat karti hain ki RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam (6) sahaba ke sath khana kha rahe the aur tab hi ek dehati aya aur usne do niwale me pura kha gaya. RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya: ‘ Agar usne Bismillah kaha hota to ye (Khana) tum logo ke liye kafi hota (bismillah ki barkat se). Jab tum mein se koi khana khae to use Bismillah kahna chaiye aur agar shuruwat me bismillah kahna bhul gaya ho to use Bismillah fi awwalihi wa akhirih kahna chahiye (Allah ke naam se shuru aur Allah ke naam se khatm).
Grade : Sahih, Sunan Ibn Majah, Vol. 1, Book 29, Hadith 3264.

To hame is hadith se yeh pata chala ki khana khane se pahle Surah Fatiha nahi balki Bismillah padhna chaiye.

Dusri baat, ahle biddat ki di hui ahadith se ye saaf pata chalta hai ki ye RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ka mojzah (miracle) tha aur agar kisi muslim me zara si bhi aql hogi to usko ye pata hoga ki mojzah aur sunnat alag alag chize hai. Ummatio ko mojzah ka nai balki sunnah ka paband hona chahiye.

Ab sahih hadith me ek aur riwayat hai ki RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne chand ko ungli ke ishare se do tukde kiye to kya ummat e mohammadi ko bhi roz ya jume-raat ko ya hafte me ek baar ya kisi khas mauqe pe chand ko ungli ke ishare se do tukde karne ki koshish karni chaiye??

Ye bilkul hi aql ke khilaf hai aur sath-sath islami shariah ke khilaf bhi hai.

JO chiz deen hai hame RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne bata diya hai. Agar khane ke upar surah fatiha padhne me bhi koi sawab ya fayda hota to RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam hame zarur bata kar jate. Unhone nauzbillah ummat se koi baat chupai nahi hai.

Mohammad sallalaahu alaihi wa sallam ne farmaya: ”Maine tumhare paas kuch nahin chora jo tumhe Allah ke aur qareeb le aye siwaaye jo maine tumhe hukm kiya hai.”
[Reported by at-Tabaraani, authentic, refer to Asl Sifatis-Salaati n-Nabee, vol. 3, p. 942][Musnad Ahmad, Silsilah Sahiha 1803, Sahih by Albani]

Fatiha ki chize khana:

Ahle biddat khane par Surah fatiha padhte hai aur us khane par faut shuda shaks ka naam lete hai. Jab ki Allah Taala Quran me char muqam pe farmate hai

Surah baqarah ayat 173, surah maida(5) ayat 3, surah anaam 6, ayat 145, surah nahl 16 ayat 115:
” Tum per haraam kiya gaya murdaar aur khoon aur khinzeer ka gosht aur jis par Allah kay siwa kisi aur ka naam pukara gaya ho .“

In ayato se saaf pata chalta hai ki agar khane ke upar Allah ke alawa kisi aur ka naam pukara gaya ho wo shaks chahe jitna hi nek kyu na ho to wo khana hamare liye khana haram hai. Isi ayat ki wajah se Hindu ke yaha ka Prasad bhi khana haram hai. Aur isi ayat ke wajah se Fatiha ka khana khana bhi haram hai.

AJ MUSALMANO NE ALLAH KO CHODKAR ULMAO KO APNA RAAB BANA LIYA HAI !!


Adi bin hatim (Radhiallahu Anhu) kahte hain ke mai Nabi (Sallallahu Alaihi Wasallam) ke paas aya us waqt meri gardan me sone ki saleeb thi Aap (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ye saleeb apni gardan se nikal kar phenk do phir maine Aap ko surah tauba ki ye ayat tilawat farmate hue suna
UN LOGO NE ALLAH KO CHOD KAR APNE ULMAO AUR DARWESHIO KO RAAB BANA LIYA HAI...
(SURE TAUBA : 31)

AAP (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne farmaya ayesa nahi tha ke wo un (ulma) ki ibadat karte the, Balke hota ye tha ke (ulma) jab kisi chiz ko halaal karte to usko halaal aur jab kisi chiz ko haram (ulma) haraam karte to wo usko haraam man lete the (TIRMIZI : 3095)

AJ musalman bhi yehee kar raha hai kuch ulma kahete hai tabbaku cigrate makrooh to usko makrooh man lete hai halanke wo haram hai isi tarha sood bhi haram hai par unke kahne par halal mante hai ulma se pucho aur jab jawab de to daleel ke sath dene k liye boliye.

QURAN O HADITH

Hadees: Abdullah Bin Masood Raziallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne ek seedhi lakeer khenchi, phir fermaya: "ye Allah ka raasta hai" Phir Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne iskey daen aur baen (right and left) chand lakeerain khenchi aur fermaya: "ye mukhtalif raastey hain, in main se her ek raastey per Shaitaan hai. (Musnad Ahmed) Phir Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne ye Ayat tilawat fermae: "aur yaqeenan ye mera seedha raasta hai, lihaza tum isi ki pairwi karo aur tum doosrey raaston ki pairwi na karo, woh tumhain (Allah) ke raastey se alag ker daingey¤ (Al-An'aam, V#153)
 

Similar threads


Top