PAAK DAAMAN AHLE IMAAN KHAWATEEN PAR TOHMAT LAGANA


PAAK DAAMAN AHLE IMAAN KHAWATEEN PAR TOHMAT LAGANA

بِسْمِ ٱللَّٰهِ ٱلرَّحْمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ

Ye post un logo ke Liye Nasihat jo kisi Nek Or Paak Daman Ladki par Bila wajah Tohmat or Ilzaamat Lagate he.

Bohot se Log Ladkiyo par Sirf Shak ki Bina par Ilzaamat laga dete he. Ya kisi se Kuch bhi sunte he to bas Suni Sunai Baaton ko sach man kar ladki ko Galat samajhte he Or Is baat ka Zara bhi Khayaal Nahi rakhte ki Ladki par Kya Guzregi Jab Usko pata chalega ki uspar Tohmat or Ilzaamat lagaye gaye he!

Kisi bhi Ladki par Tohmat Ya Ilzaam lagane se Pehle Us mas'ale ki Tehqeeq kar lena zaroori he har kisi ki baat man kar Ladki Ya kisi bhi Khatoon par Ilzaam ya tohmat Na laga di Jaaye.

Allah ﷻ Quran me farmata he:

يٰۤاَيُّهَا الَّذِيۡنَ اٰمَنُوۡۤا اِنۡ جَآءَكُمۡ فَاسِقٌ ۢ بِنَبَاٍ فَتَبَيَّنُوۡۤا اَنۡ تُصِيۡبُوۡا قَوۡمًا ‏

"Ae Imaan walo Agar tumhare pas koi Khabar aaye Khususan Fasiq ki taraf se ho To pehle Uski Tehqeeq karo."

[Surah Hujrat]

Kisi bhi Paak Daman Khatoon par Tohmat Lagana bohot Bada Gunah he Or Allah ﷻ ne Quran Me Aise Shakhs ko Fasiq kaha he or Us Shakhs ko 80 Kode lagane ka or us Shakhs ki Gawahi bhi Mardood karar dene ka Hukm diya he Jo kisi Paak daman khatoon par Tohmat lagaye.


Allah ﷻ Quran me Farmata he :

وَالَّذِيۡنَ يَرۡمُوۡنَ الۡمُحۡصَنٰتِ ثُمَّ لَمۡ يَاۡتُوۡا بِاَرۡبَعَةِ شُهَدَآءَ فَاجۡلِدُوۡهُمۡ ثَمٰنِيۡنَ جَلۡدَةً وَّلَا تَقۡبَلُوۡا لَهُمۡ شَهَادَةً اَبَدًا‌ ۚ وَاُولٰٓٮِٕكَ هُمُ الۡفٰسِقُوۡنَ

"Or Jo parhezgar Khatoon par Ayib lagaye Or Uspar 4 Gawah Na La Laye to Un Ayib lagane walo ko 80 Kode Maro Or Kabhi bhi Unki Gawahi Qubul na karo. Or Wohi log Fasiq hai."

[Surah Al Noor]

Quran ki Is Ayat se sabit hota he ki Tohmat Lagana kitna Sakht Gunah he. Or Jab kisi Khatoon par Tohmat Lagti he To Wo Andar se kis Qadar Depressed ho Jati he iska Andaza Bukhari ki us hadith se lagaya ja sakta he Jab Munafiqeen ne Ummul Momineen Or Siddiqa e Qaynat Par Tohmat Lagai thi.

Ammi Aysha Siddiqah Radi Allahu Ta'ala Anha Farmati he ki :

ﻗَﺎﻟَﺖْ ﻓَﺒِﺖُّ ﺗِﻠْﻚَ ﺍﻟﻠَّﻴْﻠَﺔَ ﺣَﺘَّﻰ ﺃَﺻْﺒَﺤْﺖُ ﻻَ ﻳَﺮْﻗَﺄُ ﻟِﻲ ﺩَﻣْﻊٌ ﻭَﻻَ ﺃَﻛْﺘَﺤِﻞُ ﺑِﻨَﻮْﻡٍ

"Me Raat is tarah Guzarti ki Saari Raat Na mere Aansu Rukte Na Mujhe Neend Aati"

[Sahih Al Bukhari, Kitab Al Shahadati]

Dekhiye kis Qadar Gham ki kaifiyat thi Siddiqah e Qaynat par Jab Munafiqo ne unpar tohmat lagai thi. isliye kisi par Tohmat lagane se Pehle ye soch lijiye ki aapke Zehen me jo aaya aapne use keh diya lekin isse Khatoon par Kya Guzregi iska aapko andaza nahi hota.

Agar Aisa Koi muamla ho bhi Jiski wajah se Ladki par shak hota ho to bhi us ladki ke baare me Husn e zan hi rakhna Chahiye Or Sath me beth kar Ache Akhlaaq se unse baat karni chahiye. Naki Sidha Ilzaam tarashi or Dusro ko us Bachhi ke Bare me Galat baate sirf shak ki bina par kehna.

Balki Hame chahiye ki us Khatoon ka Difa kare jispar Ilzaam lagaya ja raha he or Ilzam Lagne wale se Saboot or Gawah ka Mutalba kare agr wo na pesh kar paye to use Sakhti Se Tohmat Lagane ka Anjaan bataiye. jaisa ki Bukhari ki ek hadith me aaya he :

هِلاَلَ بْنَ أُمَيَّةَ قَذَفَ امْرَأَتَهُ عِنْدَ النَّبِيِّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِوَسَلَّمَ بِشَرِيكِ ابْنِ سَحْمَاءَ

Hilaal bin Umaiyyah Nabi ﷺ ke pas aaye or apni biwi par Sharik bin Sahma'a ke Sath Zina ki Tohmat lagayi

To aap ﷺ ne farmaya :

فَقَالَ النَّبِيُّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ: «البَيِّنَةُ أَوْ حَدٌّ فِي ظَهْرِكَ»

"Tumpar Gawah pesh karna lazim he Ya Tumhari Peeth par Had Qazaf Lage gi"

To Unhone Arz kiya :

فَقَالَ: يَا رَسُولَ اللَّهِ، إِذَا رَأَى أَحَدُنَا عَلَى امْرَأَتِهِ رَجُلًا، يَنْطَلِقُ يَلْتَمِسُ البَيِّنَةَ؟

Ya Rasool Allah ﷺ Jab ham mese koi apni Biwi par kisi Aadmi ko Dekhe to kya wo Gawah Talash karne jaye ?

Aap ﷺ Badastoor ye farmate rahe :

فَجَعَلَ يَقُولُ: «البَيِّنَةَ وَإِلَّا حَدٌّ فِي ظَهْرِكَ»

"Gawah Pesh karo Warna Tumhari Peeth par Kode lagenge."

[Sahih Al Bukhari (كِتَابُ الشَّهَادَاتِ )]

Is Hadith se Saaf Maloom hota he ki Agar Koi bhi Shakhs kisi Khatoon par Tohmat Lagata he To Direct Uski Baat ko Sahih man lene ki Bajaye pehle Tehqeeq ki jayegi or Usse Gawah Or Saboot ka Mutalba kiya jayega Agar wo pesh na kar paye to us tohmat Lagane wale ko hi Saza di jayegi Or us Tohmat lagane wale ki peeth par Kode lagaye jayege.

Or agar aapse us Khatoon ke Mutalliq Pucha jaye jispar Tohmat Lagai ja rahi ho to aapko chahiye ki Logo ki baato par kaan Dharne ki Bajaye us Khatoon ki Paak Damni ko bayan kare.

Jaise ki Bukhari ki Hadith me aaya he Jab Siddiqa e Qaynat par munafiqo ne Tohmat Lagayi thi To us time Nabi ﷺ ne Usama Bin Zaid Radi Allahu Ta'ala Anhuma se Salah Mashwara karna chahte the ki Kya me apni Ahliya se Alag ho jau. us waqt Usama Radi Allahu Ta'ala Anhu Ne Farmaya tha :

فَقَالَ أُسَامَةُ: أَهْلُكَ يَا رَسُولَ اللَّهِ، وَلاَ نَعْلَمُ وَاللَّهِ إِلَّا خَيْرًا

"Allah ke Rasool ﷺ ! Wo aapki Shareek e hayat he. Allah ki Qasam! Ham Unme Khair or Achhai ke Aalawa Kuch nahi jante."

Or jab Nabi ﷺ ne Barirah Radi Allahu Ta'ala Anha ko bulaya or Pucha :

فَدَعَا رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ بَرِيرَةَ، فَقَالَ: «يَا بَرِيرَةُ هَلْ رَأَيْتِ فِيهَا شَيْئًا يَرِيبُكِ؟»

Ay Barirah (Radi Allahu Ta'ala Anha) Kya tumne Aysha (Radi Allahu Ta'ala Anha) me koi Aisi baat dekhi he Jis se tumhe koi Shak Guzra ho?

To Barirah Radi Allahu Ta'ala Anha ne Farmaya tha :

فَقَالَتْ بَرِيرَةُ: لاَ وَالَّذِي بَعَثَكَ بِالحَقِّ، إِنْ رَأَيْتُ مِنْهَا أَمْرًا أَغْمِصُهُ عَلَيْهَا قَطُّ

"Barirah (Razi Allahu Ta'ala Anha) ne Arz kiya: Nahi us Zaat ki Qasam Jisne aapko ye Haq dekar bheja he! Mene to Unme Esi Koi baat nahi dekhi Jispar Ayib Lagaya jaye."

[Sahih Bukhari (بَابُ تَعْدِيلِ النِّسَاءِ بَعْضِهِنَّ بَعْضًا)]

Is Hadith se Pata chalta he ki Nabi ﷺ ne Siddiqa e Qaynat par lagai gayi Tohmat ke Mutalliq Logo se Tehqeeq ki Naki Munafiqo ki Baato par Kaan dhara. Or Kis Tarah Sahaba ne Siddiqa e Qaynat ki Paak Damni ki Gawahi di Or Tasdeeq ki.

Or jab Nabi ﷺ ne Farmaya ki Us Shakhs se Kon badla Lega Jisne meri Ahliya par Tohmat Lagai he To Sa'ad bin Ma'az Radi Allahu Anhu ne Farmaya tha ki :

فَقَامَ سَعْدُ بْنُ مُعَاذٍ، فَقَالَ: يَا رَسُولَ اللَّهِ، أَنَا وَاللَّهِ أَعْذُرُكَ مِنْهُ إِنْ كَانَ مِنَ الأَوْسِ ضَرَبْنَا عُنُقَهُ

"Ya Rasool Allah ﷺ Allah ki Qasam! me Usse Badla leta hun Agar wo Shakhs Aous Qabile ka hua to ham Uski Gardan Uda denge!"

[Sahih Al Bukhari]

Dekhiye Tohmat Lagane Wale ke Mutalliq Kitna Sakht Rawayya tha sahaba Radi Allahu Anhum ka or aaj ham Log kisi Ladki par Tohmat lagate hue Zara bhi Hichak mehsoos nahi karte.

Iske Aalwa kisi Paak Daman Ahle Imaan Khatoon par Tohmat lagane ko Un 7 Halaak kar dene wale Gunaho me Shumar kiya he Jisme Shirk bhi Shamil he.

Allah ke Rasool ﷺ ne farmaya :

عَنِ النَّبِيِّ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ: «اجْتَنِبُوا السَّبْعَ المُوبِقَاتِ»، قَالُوا: يَا رَسُولَ اللَّهِ وَمَا هُنَّ؟ قَالَ: «الشِّرْكُ بِاللَّهِ، وَالسِّحْرُ، وَقَتْلُ النَّفْسِ الَّتِي حَرَّمَ اللَّهُ إِلَّا بِالحَقِّ، وَأَكْلُ الرِّبَا، وَأَكْلُ مَالِ اليَتِيمِ، وَالتَّوَلِّي يَوْمَ الزَّحْفِ، وَقَذْفُ المُحْصَنَاتِ المُؤْمِنَاتِ الغَافِلاَتِ»

Saat (7) Halaakat Khaiz Gunaho se Ahtraz karo. Sahaba R.A. ne Arz kiya : Allah ke Rasool ﷺ wo Kya he ? to aap ﷺ ne Farmaya: " Allah ke sath kisi ko Sharik Thehrana, Jadu Karna, Kisi jaan ko Qatal karna Jise Allah ne Haram Thehraya he Magar Haq ke sath Qatal karna Jayaz he, Sood Khana, Yateem ka Maal Hadap karna, Ladai ke din Peeth Fer kar Bhag Jana or PAAK DAMAN AHLE IMAAN, BHOLI BHALI KHAWATEEN PAR TOHMAT LAGANA."

[Sahih Al Bukhari (كِتَابُ الوَصَايَا)]

Jis bhi Khatoon par Tohmat Lagi ho Use Chahiye ki Gham Na kare Or Allah se Dua kare or Surah Noor par ghaur kare Usme Allah ne Kis Tarah Siddiqa ke Qaynat ki Paak Damani ko Bayan kiya He Or Tohmat Lagane Walo ko Zaleel kiya he.

Or ham Akhir me Allah se Dua karte he ki Tamam Paak Daman Ahle Imaan Khatoon ki Tohmat lagane Walo ke Shar se Hifazat Farmaye.


آمين يا المنّان بديع السموات والأرض يا ذا الجلال والإكرام يا حيّ يا قيّوم، وما عليّ إلا البلاغ، ولله الحمد والمنة

《 Muharrir: Israr Hussain (اسرار حسین)》
 
Last edited:
Top