Umar Asari

Administrator
Staff member
Khaaney Peeney Ke Mutalliq Duayen

Khaane Se Pehle Ki Dua:
عَنْ عَائِشَةَ قَالَتْ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ إِذَا أَكَلَ أَحَدُكُمْ طَعَامًا فَلْيَقُلْ بِسْمِ اللَّهِ فَإِنْ نَسِيَ فِي أَوَّلِهِ فَلْيَقُلْ بِسْمِ اللَّهِ فِي أَوَّلِهِ وَآخِرِهِ​
Tarjumah: Hazrat Aisha Radhiallahu Anha se riwayat hai, Woh kehti hain ki Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya:
Jab tum logon mein se koi khana khaaye to “Bismillah” (Allah ke naam se) padhe ley, Agar shuru mein bhool jaaye to yeh kahey “بِسْمِ اللَّهِ فِي أَوَّلِهِ وَآخِرِهِ”. {Allah ke naam ke saath uske shuru aur uske aakhir mein}
(Tirmidhi: 1858, Ibne Majah: 3264 and Abu Daud: 3767)
¤
Abu Daud mein alfaaz thode alag hain. Diye gaye Hadees No par aap un alfaaz ko dekh saktey hain.

Khaana Khaaney Ke Baad Ki Dua:
(1)
عَنْ أَبِي أُمَامَةَ، أَنَّ النَّبِيَّ صلى الله عليه وسلم كَانَ إِذَا رَفَعَ مَائِدَتَهُ قَالَ ‏الْحَمْدُ لِلَّهِ كَثِيرًا طَيِّبًا مُبَارَكًا فِيهِ، غَيْرَ مَكْفِيٍّ، وَلاَ مُوَدَّعٍ وَلاَ مُسْتَغْنًى عَنْهُ، رَبَّنَا ‏​
Tarjumah: Abu Umama Radhiallahu Anhu se riwayat hai ki jab Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ke saamne se jab khaana uthaya jaata to Aap ye dua padhtey:
الْحَمْدُ لِلَّهِ كَثِيرًا طَيِّبًا مُبَارَكًا فِيهِ، غَيْرَ مَكْفِيٍّ، وَلاَ مُوَدَّعٍ وَلاَ مُسْتَغْنًى عَنْهُ، رَبَّنَا​
(Tamam ta’reefein Allah ke liye hain, bohot zada pakeeza barkat waali, hum is khaane ka haq poori tarah ada na kar sakey aur yeh hamesha ke liye rukhsat nahi kiya gya hai (aur yeh is liye kaha taaki) is se hum ko beparwaahi ka khayaal na ho, Aye hamare Rab!)
(Sahih Bukhari: 5458)

(2)
الْحَمْدُ لِلَّهِ الَّذِي أَطْعَمَنِي هَذَا وَرَزَقَنِيهِ مِنْ غَيْرِ حَوْلٍ مِنِّي وَلاَ قُوَّةٍ غُفِرَ لَهُ مَا تَقَدَّمَ مِنْ ذَنْبِهِ ‏​
Tarjumah: Tamam ta’reefein us Allah ke liye hain jis ne hamein yeh khaana khilaaya aur usey hamein ata kiya, meri taraf se mehnat o mashaqqat aur koshish aur taqat o quwwat ke istemaal ke bagair.
(Tirmidhi: 3458, Abu Daud: 4023 and Ibne Majah: 3285)

Mehmaan Ki Mezbaan Ke Liye Dua:

اللَّهُمَّ بَارِكْ لَهُمْ فِي مَا رَزَقْتَهُمْ وَاغْفِرْ لَهُمْ وَارْحَمْهُمْ‏​
Tarjumah: Aye Allah! Inke rizq mein barkat ata farma aur inhein bakhsh de aur in par rehmat nazil farma.
(Sahih Muslim: 2042)

Jo Shakhs Khilaaye Pilaaye Uske Liye Dua:

اللهُمَّ، أَطْعِمْ مَنْ أَطْعَمَنِي، وَأَسْقِ مَنْ أَسْقَانِي​
Tarjumah: Aye Allah! Usey khila jisney mujhey khilaaya aur usey pila jisney mujhey pilaaya.
(Sahih Muslim: 2055)
 
Top