Umar Asari

Administrator
Staff member
Mukhtalif qism ki aurton ki iddat

Romanised By: Umar Asari

➊ Pehli qism:
Haamla, bewah ya mutallaqa (jis ko talaq de di gayi ho):
Is ki iddat waza’ e hamal hai, Allah Taala ka farmaan ke mutabiq:
وَأُولَاتُ الْأَحْمَالِ أَجَلُهُنَّ أَنْ يَضَعْنَ حَمْلَهُنَّ​
Tarjumah: Aur haamla aurton ki iddat unke waza’ e hamal hai.
(Surah At-Talaq, Surah No: 65 Ayat No: 4)

➋ Doosri qism:
Ghair haamla bewah:
Is ki iddat shauhar ki wafaat ke baad 4 maheene aur 10 din hai, Allah Taala ke is farmaan ki wajah se:
وَالَّذِينَ يُتَوَفَّوْنَ مِنْكُمْ وَيَذَرُونَ أَزْوَاجًا يَتَرَبَّصْنَ بِأَنْفُسِهِنَّ أَرْبَعَةَ أَشْهُرٍ وَعَشْرًا​
Tarjumah: Tum mein se jo log faut ho jaayen aur biwiyan chhod jaayen, woh aurtain apne aap ko 4 maheen aur 10 (din) iddat mein rakhen.
(Surah Al-Baqarah, Surah No: 2 Ayat No: 234)

➌ Teesri qism:
Haiz waali aurat:
Is ki iddat Talaq aur faskh e nikah (nikah khatm hone) se teen quroo (haiz) hai, Allah Taala ke farmaan ki wajah se:
وَالْمُطَلَّقَاتُ يَتَرَبَّصْنَ بِأَنْفُسِهِنَّ ثَلَاثَةَ قُرُوءٍ​
Tarjumah: Talaq waali aurtein apne aapko 3 haiz tak roke rakhen.
(Surah Al-Baqarah, Surah No: 2 Ayat No: 228)

➍ Chauthi qism:
Kamsini ya kibarsini ki wajah se aurat ko haiz na aata ho to us ki iddat 3 maheene hai, Allah Taala ke farmaan ki wajah se:
وَاللَّائِي يَئِسْنَ مِنَ الْمَحِيضِ مِنْ نِسَائِكُمْ إِنِ ارْتَبْتُمْ فَعِدَّتُهُنَّ ثَلَاثَةُ أَشْهُرٍ وَاللَّائِي لَمْ يَحِضْنَ​
Tarjumah: Tumhari aurton mein se jo aurtein haiz se na-umeed ho gayi hon, agar tumhein shuba ho to un ki iddat 3 maheene hai aur un ki bhi jinhein haiz aana shuru hi na huwa ho.
(Surah At-Talaq, Surah No: 65 Ayat No: 4)

Aur isi ki misl Mustahaza hai.

➎ Panchwin qism:
Woh aurat jis ka haiz aana band ho jaaye, aur us ko is ka sabab maloom na ho, to us ki iddat ek saal hai, kiunki Imam Shafa’ee Rahimahullah ka qaul hai ke Hazrat Umar Radhiallahu Anhu ne Muhajireen aur Ansar ke darmiyaan yahi faisla kiya, aur kisi ne is par inkaar nahi kiya.

➏ Chatti qism:
Woh aurat jis ka shauhar gaaib ho jaaye, to woh iddat e wafaat yani 4 maheene aur 10 din guzaaregi.
وباللہ التوفیق۔ وصلى الله على نبينا محمد، وآله وصحبه وسلم۔​

Ilmi Tehqiqaat aur Fataawajaat ki Daimi Committee
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Umar Asari Nikaah o Talaq 0

Similar threads


Top