Muktasar Seerat Un Nabi ﷺ


Abul Husayn

Moderator
Staff member
Mukhtasar Seerat Un Nabi ﷺ

الـحـمـد لله ربّ العالمين والصّلاة والسّلام على رسوله الأمين، أما بعد؛

Seerat E Rahmatullil 'Alameen Ke Chand Pehlou! (Nabi E Kareem ﷺ Ke Bareme Mukhtasar Halaat E Zindagi)
Note: Neeche Diye Gaye Fehrist E 'Unwaan Mein Se Aap Jis Kisi Par Click Karege Tou Uske Ta'alluq Se Seerat Un Nabi ﷺ Ki Mashoor Kitaab "Ar-Raheeq ul Makhtoom" (Roman Urdu) Ka Safah Khul Jaayega
NAAM WA NASAB: Sayyiduna Abu Qasim Muhammad bin Abdullah bin Abdul Mutallib (Shaibah) bin Hashim (Amr) bin Abdi Manaaf (al-Mughairah) bin Qusai (Zaid) bin Kilaab bin Murrah bin K'ab bin Luayi bin Ghalib bin Fehr bin Malik bin Nazar bin Kinanah bin Khuzaimah bin Mudrikah ('Aamir) bin Ilyaas bin Muzar bin Nizaar bin Ma'ad bin Adnaan, Ismail bin Ibraheem Khaleelullah (Alaihimas Salaatu Was Salaam) ki aulaad mein se.

Aap ki walidah ka naam Aamina binte Wahab bin Abdi Manaaf bin Zuhrah bin Kilaab bin Murrah hai.


WILADAT: Mahe Rabiul Awal (571 eswi) baroz e saumwar (jis saal abraha kafir ne apne haathi ke sath makkah par hamla kiya tha aur Allah ne usey uski fauj sameet tabah kar diya tha) aap ki wiladat huwi.

Aap ke waalid Abdullah aap ki paidaish se taqreeban mahina ya do mahine pehle faot huwe,
(Dekhe: as-Seeratun Nabawiyah Lil Zehbi, Page 49) aur jab aap saat saal ke huwe tou aap ki walidah faot ho gayen phir aap ke dada Abdul Mutallib ne aap ki parwarish ki aur jab aap aath saal ke huwe tou Abdul Mutallib bhi faot ho gaye, un ki wafaat ke b'ad aap ke chacha Abu Taalib ne aap ko apni kifaalat mein ley liya.

Rasoolullah ﷺ ne farmaaya:
دعوة أبي إبراهيم و بشارة عيسى بي و رؤيا أمي التي رأت
"Main apne aaba (dada) Ibraheem (alaihis salaam) ki dua aur (bhai) Esa (alaihis salaam) ki basharat (khush khabri) hon aur apne maa ka khawab hon jise unhon ne dekha tha."
(Musnad Ahmed: 4/127, Hadees 17150, Wa Sanadahu Hasan Li Zaatihi)

HULIYAH MUBARAK: Aap ﷺ ka chehra chand jaisa (khoobsurat, surkhi maayil safeed aur pur noor) tha, aap ka qad darmiyaana tha aur aap ke sar ke baal kaano ya shaano tak pohanchtey thhey.

NIKAH: Sayyidah Khadijah binte Khuwaylid bin Asad bin Abdul Uzzah bin Qusai Razi Allahu Anha se aap ki shadi huwi aur jab tak Khadijah Razi Allahu Anha zinda rahen aap ne doosri shadi nahi ki.

AULAAD: Qasim, Tayyab, Taahir (aur Ibraheem) Razi Allahu Anhum

BANAAT: Ruqiyah, Zainab, Umme Kulsum aur Fatima Razi Allahu Anhunna.

PEHLI WAHI: Ghaar E Hira mein Jibreel E Ameen Alaihis Salaam tashreef laaye aur Surah al-'Alaq ki pehli teen aayaat ki wahi aap ke paas laaye. 610 eswi (us waqt aap ki umar chalees saal thi)

'AAM UL HUZN: Hijrat E Madinah se teen saal qabl Abu Taalib aur Sayyidah Khadijah Razi Allahu Anha faot ho gaye.

HIJRAT: 622 eswi mein aap apne azeem saathi Sayyiduna Abu Bakr as-Siddieeq Razi Allahu Anhu ko ley kar Makkah se hijrat kar ke Madinah Tayyaba tashreef ley gaye.

MAKKI DAUR: Rasoolullah ﷺ nabuwat ke b'ad Makkah mein terah(13) saal rahey.

MADNI DAUR: Aap ﷺ hijrat ke b'ad Madinah mein dus(10) saal rahey aur phir wafaat ke b'ad Ar-Rafiq al-A'ala ke paas tashreef ley gaye.

GAZWA E BADR: 2 hijri ko badr Islam aur kufr ka pehla bada ma'rakah huwa jis mein abu jahl maara gaya.

GAZWA E UHAD: 3 hijri, is gazwey mein sattar ke qareeb Sahaba E Kiraam maslan Sayyiduna Hamzah bin Abdul Mutallib Razi Allahu Anhu shaheed huwe aur Rasoolullah ﷺ zakhmi huwe.

GHAZWA E KHANDAQ: 5 hijri (ahzaab e kuffaar ne Madinah par hamla kiya aur na kaam wapas gaye.

SULAH HUDAIBIYAH: 6 hijri, iska zikr Qur'an E Majeed mein bhi hai.

GHAZWA E KHAIBAR: 7 hijri, khaibar fateh huwa.

FATEH MAKKAH: 8 hijri, Makkah fateh huwa aur Rasoolullah ﷺ ne Ahle Makkah ko mu'aaf kar diya. is saal ghazwa e hunain bhi huwa tha.

GHAZWA E TABOOK: 9 hijri

HAJJATUL WIDAA': 10 hijri

DAWAT: Qur'an, Hadees, Tawheed aur Sunnat aap ki dawat hai, aap ne logon ko shirk wa kufr ke ghata-toap andheron se nikaal kar Tawheed wa Sunnat ke noraani raastey par gaamzan kar diya.

Aap ﷺ ne farmaaya:
"Musalmaan musalmaan ka bhai hai, na us par zulm karta hai aur na us par zulm honey deyta hai."
(Sahih Bukhari: 2442, Muslim: 2580)

AKHLAAQ: Aap ﷺ akhlaaq ke sab se a'ala darje par faayiz thhey

Irshaad E Bari Ta'ala hai:
وإنـك لـعـلى خـلـق عــظيــم
"Aur aap 'azeem akhlaaq par hain."
(Surah al-Qalam: 4)

Aap ﷺ ne farmaaya:
أكمل المؤمنين إيمانًا احسنهم خلقًا وخياركم خياركم لنسائهم خلقًا
"Momino mein mukammal emaan waaley wo hain jin ke akhlaaq achchey hain aur tum mein se behtareen log wo hain jo apni auraton se achchey akhlaaq ke sath paish aatey hain."
(Sunan Tirmizi: 1162, Wa Qaal Haza Hadees Hasan Sahih)

MU'ALLIM E INSAANIYAT: Ek Sahabi Razi Allahu Anhu farmaatey hain: maine Aap ﷺ se behtareen mu'allim (ustaaz) achchey tareeqe se taleem deney waala koi nahi dekha, na pehle aur na b'ad, Allah ki qasam! aap ne mujhe na daanta, na maara aur na bura bhala kaha."
(Sahih Muslim: 537)

MU'AAMALAAT:
Aap ﷺ ne farmaaya:
إن خـيـاركـم احـسـنـكـم قـضـاء
"Tum mein se behtareen log wo hain jo behtar tareeqe se qarz ada karen."
(Sahih Bukhari: 2305, Muslim: 1601)

Neez farmaaya:
دع ما يريبك إلى ما لا يريبك فإن الصدق طمأنينة وإن الكذب ريبة
"Shak waali cheez ko chhor do aur yaqeen waali cheez ko ikhtiyaar karo kiyunke yaqeenan sachchayi itminaan hai aur jhoot shak wa shubah hai."
(Sunan Tirmizi: 2518, Wa Qaal: Haza Hadees Sahih)

Nabi ﷺ ne kabhi kisi khaney mein naqs nahi nikaala, agar pasand farmaatey tou kha letey aur agar pasand na farmaatey tou chhor detey thhey. (Sahih Bukhari: 5409)

WAFAAT: 11 hijri baroz saumwar, mahe rabiul awal mein Rasoolullah ﷺ khataman nabiyeen wa rahmatullil aalameen is duniya se tashreef ley gaye, us waqt aap ki umar mubarak 63 saal thi...

صلى الله عليه و آله وأصحابه وأزواجه وسلم

Tehreer: Hafiz Zubair Ali Zai Rahimahullah
Ishaatulhadith, Shumarah no. 63, Page no. 34-36
Romanised: Syed Ibraheem Salafi
 
Last edited:
Top