Umar Asari

Administrator
Staff member
Boodhi aurat aur na-baaligh ladki ki iddat

Romanised By: Umar Asari

✵Sawaal:✵
Woh boodhi aurat jise mardon ki koi zaroorat na ho, ya woh ladki jo baaligh na hue ho, kya us par apne shauhar ki iddat e wafaat wajib hai?

✯Jawaab:✯
Ji haan, woh boodhi aurat jise mardon ki koi zaroorat na ho, aur woh kamsin jo baaligh na hue ho, dono apne shauhar ki wafaat par iddat guzaarengi, agar haamla ho to iddat waza’ e hamal hai, aur agar haamla na ho to 4 maheene aur 10 din iddat hai, Allah Taala ke is aam farmaan ki wajah se:
وَالَّذِينَ يُتَوَفَّوْنَ مِنْكُمْ وَيَذَرُونَ أَزْوَاجًا يَتَرَبَّصْنَ بِأَنْفُسِهِنَّ أَرْبَعَةَ أَشْهُرٍ وَعَشْرًا​
Tarjumah: Tum mein se jo log faut ho jaayen aur biwiyan chhod jaayen, woh aurtain apne aap ko 4 maheen aur 10 (din) iddat mein rakhen.
(Surah Al-Baqarah, Surah No: 2 Ayat No: 234)

Neez Allah Taala ka ek aam farmaan yeh bhi hai:
وَأُولَاتُ الْأَحْمَالِ أَجَلُهُنَّ أَنْ يَضَعْنَ حَمْلَهُنَّ​
Tarjumah: Aur haamla aurton ki iddat unke waza’ e hamal hai.
(Surah At-Talaq, Surah No: 65 Ayat No: 4)
وباللہ التوفیق۔ وصلى الله على نبينا محمد، وآله وصحبه وسلم۔​

Ilmi Tehqiqaat aur Fataawajaat ki Daimi Committee
 

Similar threads


Top