Murdo Se Waseela Pakadne Wali Hadees "Ay Allaah Ke Bando Meri Madad Karo" Zaeef Hai


Murdo Se Waseela Pakadne Wali Hadees "Ay Allaah Ke Bando Meri Madad Karo" Zaeef Hai

Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullaah

Islamic Dawah Center Taif
Romanised By : Khadija Muhammadi

Murde Zindo Ki Kuch Bhi Madad Nahi Kar Sakte Hai Balke Woh Khud Zindo Ke Mohtaaj Hai Taaki Unhe Dua Aur Istigfaar Aur Sadqah Aur Khairaat Ke Zariya Faidah Pohnchaae. Is QISAM Ke Ghade Hue Waqiaat Sufi Paish Bhi Karte Hai Ke Jab Koi Zinda Murdo Ki Qabar Par Jata Hai To Murde Zindo Ko Ayse Dekhte Jaise Janmo Ka Piyasa Paani Ki Taraf Dekhta Hai Taaki Kuch Iysaale Sawaab Kar De Aur Murdo Ko Raahat Naseeb Ho. Us Baat Par Ke Murdo Ko Ham Nahi Suna Sakte,Woh Hamari Kuch Bhi Madad Nahi Kar Sakte Woh Kisi Ke Faidah Aur Nuqsaan Ka Zarrra Barabar Ikhtiyaar Nahi Rakhte Qur'aan Ke Be Shumaar Dalaail Hai Aur Usi Tarah Hadees Se Bhi Saabit Hai Magar Qabar Ke Pujari Jinhe Qabar Ki Kamaai Khani Hai Aur Usi Se Pushto Ki Parwarish Bhi Karni Hai Woh Kab Maane Ge. Is Liye Qur'aan Aur Hadees Ke Nusoos Ko Tod Marod Kar Paish Karte Hai Aur Zabardasti Murdo Se Waseela Pakadna Balke Murdo Se Madad Ki Pukaar Karna Saabit Karne Ki Naravaa Koshish Karte Hai Aur Khud To Bhatake Hue Hai Hi Sidhi Sadi Awaam Ko Bhi Sahih Raste Se Bhatkaate Hai. Agar Awaam Ko Na Bhatkaae To Unki Kamaai Kaha Se Hogi? MAAZALLAAH.
Murdo Se Madad Talab Karne Se Mutalliq Sufi Aur Qabro Wale Shakhas Bahut Sare Dalaail Paish Karte Hai,Un Me Kuch To Ghadi Hui Hai,Kuch Zaeef Ahadees Hai Jin Se Istidlaal Nahi Kiya Ja Sakta Aur Kuch Dalaail Ko Unke Asal Mani Aur Mafhum Se Hata Kar Galat Salat Hujjat Pakdi Jati Hai. Yaha Mera Maqsad Ek Daleel Ki Wazaahat Hai Jiska Qabar Parast Hazraat Bade Zor Shor Se Danka Bajate Hai Aur Murdo Se Imdaad Talab Karne Par Batur E Daleel Aur Hujjat Paish Karte Hai.
Woh Rivayat Sanad Ke Sath Is Tarah Hai. Jise Tabrani Ne Zikar Kiya Hai.
حدثنا إبراهيم بن نائلة الاصبهاني،ثنا الحسن بن عمر بن شقيق،ثنا معروف بن حسان السمرقندي،عن سعيد بن أبي عروبة عن قتادة عن عبد الله بن بريدة عن عبد الله بن مسعود قال:قال رسول الله صلى الله عليه وسلم إذا انفلتت دابة أحدكم بأرض فلاة فليناد يا عبادالله احبسوا علي يا عباد الله احبسوا علي فإن لله في الأرض حاضرا سيحبسه عليكم.
(رواه الطبراني في المعجم الكبير)
Tarjumah: Abdullaah Bin Masud RA Se Rivayat Hai Ke Nabi SAV Ne Farmaya:Jab Tum Ne Se Kisi Ki Sawariya Bayaban Me Chhut Jaae To Us(Shakhas)Ko(Yah) Pukarna Chaahiye Ay Allaah Ke Bando Meri Sawari Pakda Do Ay Allaah Ke Bando Mujhe Sawari Pakda Do Kuy Ke Allaah Ke Bahut Se(Ayse)Bande Is Zameen Me Hote Hai Woh Tumhe(Tumhari Sawari)Pakda Den Ge.
RIVAYAT KA HUKAM: Yah Rivayat Tabrani Ke Alawah Digar Aur Kutub Me Mazkur Hai Jo Sab Abdullaah Bin Masud RA Ke Tareeq Se Hai Haiysmi Ne Is Rivayat Par Kalaam Karte Hue Kaha Hai Iski Sanad Me Ma'ruf Bin Hassan Zaeef Hai.(Majumuz Zawaaid:10/135)
Ek Dusri Illat Yah Hai Ke Qatadah Mudallas Raavi Hai Jo An Se Rivayat Karte Hai. Teesri Illat Haafiz Ibne Hajar RH Ne Bayan Ku Woh Ibne Buraidah Aur Ibne Masud Ke Darmiyan Inqita'a Ka Zikar Karte Hai Us Wajah Se Unke Nazdeek Yah Rivayat Zaeef Hai.(Sharahul Azkaar:5/150)
Allaama Albani RH Ne Bhi Is Hadees Par Zaeef Ka Hukam Lagaya Hai. (Dekhe As Silsilatuz Zaeefa:655,Zaeeful Jame:404,Alkalimut Taiyyab:178)
Is Hadees Ki Ek Shahid Hadees Bhi Hai Jise Daleel Ke Taur Par Sufi Paish Karte Hai Aaiye Is Hadees Ko Bhi Dekhte Hai . Is Hadees Ko Bhi Imaam Tabrani Mojamul Kabeer Me Zikar Kiya Hai Jise Sanad Ke Sath Paish Karta Hu.
حدثنا الحسين بن إسحاق التستري ثنا أحمد بن يحي الصوفي ثنا عبد الرحمان بن سهل حدثني أبي عن عبدالله بن عيسى عن زيد بن علي عن عتبة بن غزوان عن النبي صلى الله عليه وسلم قال إذا اضل أحدكم شيئا أو أراد أحدكم عونا وهو بأرض ليس بها أنيس فليقل يا عباد الله اغيثوني يا عباد الله اغيثوني فإن لله عباد لا نراهم وقد جرب ذلك.(رواه الطبراني في المعجم الكبير)
Tarjumah: Utbah Bin Azwaan RA Nabi SAV Se Rivayat Karte Hai Ke Aap SAV Ne Farmaya:Jab Tum Me Se Kisi Ki Koi Chiz Gum Ho Jaae Aur Woh Koi Madad Chaahe Aur Woh Aysi Jagah Ho Ke Jaha Uska Koi Madad Gaar Bhi Na Ho To Use Chaahiye Ke Kahe:Ay Allaah Ke Bando! Meri Madad Karo,Ay Allaah Ke Bando! Meri Madad Karo Yaqeenan Allaah Ke Ayse Bhi Bande Hai Jinhe Ham Dekh To Nahi Sakte(Lekin Woh Logo Ki Madad Karne Par Maamoor Hai)Aur Yah Tajrubah Shuda Baat Hai.
RIVAYAT KA HUKAM: Is Rivayat Me Bhi Kai Illate Hai Jis Ke Sabab Yah Bhi Zaeef Hai.
(1) Abdur Rahman Bin Sahal Zaeef(Kamzor) Raavi Hai.
(2) Abdur Rahman Bin Sahal Ke Baap Sharik Bin Abdullaah Nakhai Ke Hifaz Aur Zabat Par Kalaam Hai.
(3) Zaid Bin Ali Aur Utbah Bin Gazwaan Ke Darmiyan Inqita'a Paya Jata Hai Jaisa Ke Haafiz Ibne Hajar Ne Zikar Kiya Hai.
Is Liye Yah Rivayat Bhi Zaeef Hai,Use Shaikh ALBANI RH Ne Bhi Zaeef Kaha Hai.(Dekhe:As Silsilatuz Zaeefa:656,Zaeeful Jame:383)
Un Dono Rivayato Ki Haqeeqat Samne Aa Gai Ab Usko Madde Nazar Rakhte Hue Niche Chand Bate Mulahiza Farmaae.
(1) Yah Dono Rivayat Zaeef Hai Un Rivayato Se Qatai Daleel Nahi Pakdi Jaae Gi Is Liye Murdo Par Fit Karna Aur Un Se Waseela Ke Liye Hujjat Banana Bilkul Sahih Nahi Hai.
(2) Dusri Rivayat Ke Aakhri Alfaaz Hai" وقد جرب ذلك Yani Yah Tajrubah Shuda Baat Hai Jaisa Ke Tajrube Wali Baat Imaam Ahmad Bin Hambal RH Ki Taraf Bhi Mansub Hai To Yaha Yah Baat Wazeh Rahe Ke ISLAAM Me Koi Baat Tajrube Ki Wajah Se Sabit Nahi Hoti Aur Sirf Kisi Ka Tajrubah Deen Me Daleel Nahi Hogi Daleel Wahi Hai Jo Shaare Alyhis Salaam Ki Taraf Se Aai Hai.
(3) Agar Thodi Der Ke Liye Bahas Ke Taur Par Na Kr Istinaad Aur Hujjat Ke Taur Par Unko Sahih Maan Bhi Liya Jaae To Yaha Jin Ka Pukarna Hai Woh Farishta Hai Na Ke Jin Insaan Ya Wali Jaisa Ke Shaikh Albani RH Ne Badi Jame Baat Kahi Hai Ke Hadees Me Ibaadallaah Se Muraad Insaan Ke Alawah Makhluq Hai Jis Par Pehli Hadees Ke Alfaaz
فإن لله في الأرض حاضرا سيحبسه عليكم.
Aur Dusri Hadees Ke Alfaz.
فإن لله عباد لانراهم.
Dalalat Karte Hai. Yah Khubi Farishte Ya Jin Par Muntabiq Hote Hai Aur Chun Ke Jin Se Madad Mamnu Hai Jis Par Wazeh Daleel Hai Bach Gaya Farishte To Yaha Sirf Farishte Muraad Hai( Shaikh Albaani RH Ke Kalaam Ka Mafhum Finish Hua)
Yaha Ibaadallaah Se Farishto Ke Alawah Kisi Aur Ko Muraad Le Hi Nahi Sakte Hai Yah Manna Hoga Ke Allaah Ne Farishto Ko Is Kaam Par Maamoor Kar Rakha Hai Jab Bayaban Me Saman Gum Hone Wala Madad Ke Liye Allaah Ke Bando Ko Pukarta Hai To Yahi Farishte Allaah Ke Hukam Se Madad Karte Hai.
Jis Qisam Ki Zaeef Hadees Bayaabaan Me Gairullaah Se Madad Ki Daleel Pakadte Hai Us Qisam Ki Ek Zaeef Rivayat Jo Ke Musnad Bazzar Me Hai Us Se Saaf Pata Chalta Hai Ke Jinhe Pukara Jata Hai Woh Farishte Hai.
Ibne Abbas RA Se Rivayat Hai Ke Nabi SAV Ne Farmaya:
ان الله ملائكته في الأرض سوى الحفظة يكتبون ما سقط من ورق الشجر فإذا أصاب أحدكم عرجة بأرض فلاة فليناد اعينوا عباد الله.(مسند البزار:4922)
Tarjumah: ALLAAH Ke Kuch Farishte Zameen Me Muhafizo Ke Alawah Hai Jinka Kaam Tree Se Girne Wale Patto Ko Likhna Hai Chunacha Jab Tum Me Se Kisi Ko Dauraan E Safar Bayaban Me Koi Musibat Aa Pohnche To Use Chaahiye Ke Aawaaz De. Ay Allaah Ke Bando Meri Madad Karo.
Go Ke Yah Rivayat Bhi Zaeef Hone KI Wajah Se Qaabile Hujjat Nahi Hai Lekin Is Se Ek Baat To Bilkul Wazeh Ho Gai Aur Usme Ab Kisi Qisam Ka Ishkaal Na Raha Ke Ibadullaah Se Muraad Farishte Nahi Hai.
Bayaban Me Farishte Ki Ta'yinati To Ek Alag Masala Hai Uske Liye To Koi Hadees Hi Sahih Nahi Hai Yaha To Sirf Bataur E Bahas Zaeef Ahadees Ko Maan Kar Baat Samjhane Ki Koshish Kar Raha Hu Lekin Yah Baat To Sahih Hai Ke Allaah Ne Bando Ki Nigehbaani Aur Unki Hifazat Ke Liye Farishto Ko Mutayyan Kar Rakha Hai. Allaah Ka Farmaan Hai:
له معقبات من بين ومن خلفه يحفظونه من امر الله.(الرعد:11)
Tarjumah:Iske Pehredaar (Farishte)Insaan Ke Aage Piche Muqarrar Hai Ho ALLAAH Ke Hukam Se Unki Nigehbaani Karte Hai.
(4) Bayaabano Ke Un Farishto Ko Un Chizo Me Pukara Jaae Ga Jin Chizo Me Ek Zindah Insaan Dusre Zinda Insaan Se Madad Mangte Hai Maslan Mujhe Bataur E Qarz Chand Rupees Do. Mera Saman Fala Jagah Pohncha Do,Meri Fala Chiz Gum Ho Gai Hai Usko Talash Karne Me Meri Madad Karo. Wagairah To Farishto Ko Bhi Ayse Hi Kaam Par Madad Ke Liye Pukaren Ge Aur Hadees Me Bhi Sarahat Hai Ke Saamaan Gum Hone Par Hame Ibaadullaah(Farishte)Ko Mukhatab Kar Ke Madad Ki Pukaar Lagani Hai. Iski Misaal Ayse Samjh Le Ke Apne Ghar Me Mera Chashma Gum Jaae To Me Apne Bachcho Biwi Aur Ghar Walo Ko Chashme Ki Talashi Par Madad Ke Liye Pukarun Ga Thik Yahi Mamla Hadees Me Bhi Zikar Kiya Gaya Hai.
(5) Kuch Logo Ka Kehna Hai Ke Bayaanano Me Aam Taur Par Jinnat Raha Karte Hai Is Liye Yaha Ibaadullaah Se Jinnat Muraad Hai. Salaf Ke Nazdeek Yah Masala Bhi Takreeban Muttafiq Hai Ke Madad Ke Liye Jinnat Ko Pukarna Shirk Hai. Saudi Arab Ki Ilmi Tehqeeqaaat Aur Fatawah Kaat Ki Daaemi Ne Fatwah No. 433 Me Kaha Hai:
Jino Se Madad Mangna Aur Zaroorat O Ko Pura Karne Ke Liye Ya Kisi Ko Nuqsaan Ya Faidah Pohnchane Ki Garaz Se Unki Panaah Dhundna Ibaadat Me Shirk Karna Hai,Kuy Ke Jin Se Faidah Haasil Karne Ke Zumre Me Aata Hai Jaise Jin Ka Uske Sawal Ka Jawab Dena Aur Uski Zaroorat Puri Karna Usi Tarah Insaan Ki Jaanib Se Jin Ki Ta'zeem Karne Aur Uska Sahara Lene Aur Apni Khwaahish Puri Karne Ke Liye Uski Madad Talab Karne Se Jin Ka Mustafeed Hona Laazim Aata Hai.
In Baato Ke Istidlaal Ke Liye Mundarja Zail Dalaail Paish Kiye Hai. Allaah Ka Farmaan Hai:
ويوم يحشرهم جميعا يا معاشر الجن قد استكثرتم من الانس وقال اولياوهم من الانس ربنا استمتع بعضنا ببعض وبلغنا أجلنا الذي أجلت لنا قال النار مثواكم خالدين فيها إلا ما شاء الله ان ربك حكيم عليم وكذلك نولي بعض الظالمين بعضا بما كانوا يكسبون.(الانعام: 128-129)
Tarjumah: Aur Jis Roz Allaah Tamam Khalaaiq Ko Jama Kare Ga(Kahe Ga)Ay Jamat Jinnat Ki! Tum Ne Insaano Me Se Bahaut Se Apna Liye Jo Insaan Unke Sath Talluq Rakhne Wale The Woh Kahen Ge Ke Ay Hamare Parwardigar Ham Me Ek Ne Dusre Se Faidah Hasil Kiya Tha Aur Ham Apni Is Moiyan Meeaad Tak Aa Pohnche Jo Tu Ne Hamare Liye Moiyan Farmaai Allaah Farmaae Ga Ke Tum Sab Ka Thikana Dozak Hai Jis Me Hamesha Raho Ge Haa Agar Allaah Hi Ko Manzoor Ho To Dusri Baat Hai Beshak Aap Ka Rab Badi Hikmat Wala Bada Ilm Wala Hai Aur Usi Tarah Ham Kuch Kuffar Ko Kuch Ke Qareeb Rakhen Ge Unke Aamaal Ke Sabab.
Allaah Ka Farmaan Hai:
وانه كان رجال من الانس يعوذون برجال من الجن فزادهم رهقا. (الجن:6)
Tarjumah: Baat Yah Hai Ke Chand Insaan Kuch Jinnat Se Panaah Talab Kiya Karte The Jis Se Jinnat Apni Sarkashi Me Aur Badh Gae.
Is Fatwah Se Yah Baat Wazeh Ho Gai Ke Yaha Ibaadullaah Se Jinnat Muraad Nahi Kuy Ke Jinnat Se Madad Talab Karne Ki Sareeh Mumaniat Hai.
(6) Un Zaeef Hadeeso Ko Buniyaad Bana Kar Qabar Parast Hazraat Wafaat Yafta Waliyo Aur Murdo Logo Ko Pukarte Hai Jab Ke Hadees Hi Sire Se Qaabile Hujjat Nahi Hai. Mene Kaha Ke Agar Bilfarz Mahaal Maan Bhi Liya Jaae To Us Se Gairullaah(Jin Aur Insaan)Ko Pukarne Par Hujjat Pakadna Kisi Bhi Tarah Sahih Nahi Hai Kuy Ke Qur'aan Aur Hadees Me Gairullaah Ko Pukarne Se Mana Kiya Gaya Aur Yah Sarasar Shirk Hai Sirf Aur Sirf Allaah Ko Hi Pukara Jaae. Allaah Ka Farmaan Hai.
ولا تدع من دون الله ما لا ينفعك ولا يضرك فإن فعلت فإنك إذا من الظالمين.(يونس:106)
Tarjumah:Aur Tum Allaah Ko Chhod Kar Kisi Ko Mat Pukaro Jo Tumhara Bhala Kar Sake Na Nuqsaan,Agar Tum Ne Aysa Kiya To Tum Zaalimo(Yani Mushriko) Me Se Ho Jaao Ge.
Allaah Ka Farmaan Hai:
ومن اضل ممن يدعو من دون الله من لا يستجيب له الى يوم القيامة وهم عن دعائهم غافلون.
(الاحقاف:5)
Tarjumah: Aur Us Se Ziyada Gumraah Kon Hoga Jo Allaah Ko Chhod Kar Un Ko Pukaare Jo Qayamat Tak (Uski Pukaar Sun Kar)Use Jawaab Nahi De Sakte Aur Woh Unki Pukaar Se Gaafil Aur Be Khabar Hai.
Allaah Ka Farmaan Hai:
وما انت بمسمع من في القبور. (الفاطر:22)
Tarjumah: Aur Tum Un Ko Jo Qabro Me Dafan Hai Nahi Suna Sakte.
Allaah Ka Farmaan Hai:
فإنك لا تسمع الموتى ولا تسمع الصم الدعاء إذا ولو مدبرين. (روم:52)
Tarjumah: Beshak Aap Murdo Ko Nahi Suna Sakte Aur Na Behro Ko(Apni)Aawaaz Suna Sakte Hai Jab Ke Woh Pith Phair Kar Mud Gae Ho.
Yah Sari Aayat Hai Sabut Hai Ke Murde Na To Hamari Baat Sunte Hai Aur Na Hi Ham Unhe Suna Sakte Hai Balke Qayamat Tak Hamari Pukaar Se Gaafil Hai Agar Sun Bhi Le To Woh Faidah Aur Nuqsaan Ka Kuch Bhi Ikhtiyaar Nahi Rakhte Lihaza Maloom Yah Hua Ke Sirf Allaah Ko Hi Pukara Jaae Ga.
Aakhir Me Ek Baat Ki Taraf Isharah Karna Chahta Hu Ke Kerala Aur Karnataka Wagairah Me Mazkurah Bala Hadees Ko Le Kar Salfiyo Ke Darmiyan Bhi Yah Masala Naza'a Ka Bais Bana Hua Hai Jab Ke Aysa Nahi Hona Chahiye Tha Jab Hadees Hi Sire Se Qaabile Istinaad Nahi To Baat Hi Khatam Aur Agar Aslaaf Me Se Kisi Ne Is Hadees Par Amal Bhi Kiya Ho To Unhone Na To Jin Se Madad Talab Ki Aur Na Hi Waliyo Aur Qabar Walo Ko Pukara Balke Unhone Waise Hi Pukara Jaise Pukarne Ka Hadees Me Hukam Mila Hai Aur Woh Hai Farishto Ko Pukarna Jaisa Ke Mene Woh Hadees Bhi Paish Kar Di Jis Me Farishto Ki Jamaat Ka Zikar Hai.
 
Top