MUSALMAAN AURAT KA KAAFIR SE SHADI KARNA JAAYEZ NAHI


MUSALMAAN AURAT KA KAAFIR SE SHADI KARNA JAAYEZ NAHI
Fatwaa : AZ - ABDUL AZIZ IBN ABDULLAH IBN BAZ rahimahullah
Roman Script : Abu Umaimah Owais

Al-Hamdulillahi Rabbil Aalameen Wassalato Wasallamu Ala Rasoolihil Kareem Wa Ala Aalihi Wa As'habihi Ajmayeen, Amma Ba'ad:

SAWAL :
Kya musalman dosheeza ka aisay Eesaayi(Christian) mard se shadi karna jaaiz hai jis ne is ki khatir islam ka iqraar kya ho? woh yun ke aik Eesaayi ne musalman khatoon se shadi ki khwahish ka izhaar kya aur usay aagah kiya ke woh anqareeb apna deen chore kar islam qubool karle ga. Is ke mutaliq aagah farmayen, mein yeh bhi janti hon ke mein is shakhs ke islam qubool karne ka sabab hon.

JAWAB :
Ek musalman khatoon ka kisi kafir shakhs se shadi karna qat'an haraam hai. Quran Majeed mein hai:

لَا هُنَّ حِلٌّ لَهُمْ وَلَا هُمْ يَحِلُّونَ لَهُنَّ
"Woh ( momin ) aurtain un ( kafiroon ) ke liye halal nahi, aur nah woh ( kafir ) un momin aurton ke liye halal hain."(Surah al-Mumtahinah:10)

Dosri jagah ALLAH TA'ALA ne irshaad farmaaya:

وَلَا تَنْكِحُوا الْمُشْرِكَاتِ حَتَّى يُؤْمِنَّ وَلَأَمَةٌ مُؤْمِنَةٌ خَيْرٌ مِنْ مُشْرِكَةٍ وَلَوْ أَعْجَبَتْكُمْ [2-البقرة:221]
"Aur apni aurton ko mushrikon ke nikah mein nah do jab tak woh eemaan nah le ayen aur momin ghulam behtar hai mushrik (azad) se agarcheh woh tumhe pasand ho."(Surah al-Baqarah:221)

Agar kafir musalman ho jaye aur apne aap ko acha musalman saabit kar day to is se shadi karna jaaiz hai lekin shadi se qabal is ka janchna parakhna zaroori hai. Ke woh namaz, roza aur deegar ebadaat ki pabandi karta hai? Quran aur deegar sharyi ehkaam ka ilm haasil karta hai? Aur is ke sath sath shirk, sharaab aur deegar sharyi muharrmaat ko chodh chuka hai apne aqamh (stay permit), passport aur shanakhti card mein kya is ne apna mazhab tabdeel kar liya hai? aur safar o Hazr aur zaati mamlaat algaraz har aitbaar se apna deen tark kar chuka hai. Is ke islam qubool kar laine ke baad itna intzaar kar liya jaye jis se is ka waqi'atan musalman hona saabit ho. Yeh sab kuch is liye hai ke woh shadi ke liye islam ko bator heela istemaal nah kar sakay aur maqsad haasil kar lainay ke baad dobarah murtad nah ho jaye, agar woh irtedaad ka murtakib ho ga to wajib-ul-qatal hai, RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam ka irshad hai:

مَنْ بَدَّلَ دِينَهُ فَاقْتُلُوهُ
"Jo shakhs apna deen(Islam) tabdeel karde usey qatal kardo."(Sahih Bukhari:3017)
 

Similar threads


Top