Muhammad Rizwan

New member
Heart Attack
Islam mein sab se pahle heart attack hazrat Sa'd bin abi waqqas (Radhiallahu Anhu) ko aaya. Hamaare pyaare Nabi (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne hukm diya ki ajwah khujoor guthlee samet pees kar khao. Uske baad tamaam zindagi unko dil ki takaleef nahi hue.
Tareeqa: - Ajwah khujoor guthlee samet pees kar ek maheene tak istemaal karen.
is post ko jyaada se jyaada share karen, taaki dil ke mareez is se faida utha saken.
Shaikh Sahab is post ki thodi si wazahat kar dijye ki Kya ye sahi hai
 
Last edited by a moderator:

Umar Asari

Administrator
Staff member
Islam mein sab se pahle heart attack hazrat Sa'd bin abi waqqas (Radhiallahu Anhu) ko aaya.
Janab e Aali!
Aisi koi baat main nahi talash kar saka.
Hamaare pyaare Nabi (Sallallahu Alaihi Wasallam) ne hukm diya ki ajwah khujoor guthlee samet pees kar khao. Uske baad tamaam zindagi unko dil ki takaleef nahi hue.
Tareeqa: - Ajwah khujoor guthlee samet pees kar ek maheene tak istemaal karen.
is post ko jyaada se jyaada share karen, taaki dil ke mareez is se faida utha saken.
Yeh Hadees Imam Abu Dawood Rahimahullah ne Sa’d Radhiallahu Anhu ke waaste se naqal ki hai:
عَنْ سَعْدٍ قَالَ مَرِضْتُ مَرَضًا أَتَانِي رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ يَعُودُنِي فَوَضَعَ يَدَهُ بَيْنَ ثَدْيَيَّ حَتَّى وَجَدْتُ بَرْدَهَا عَلَى فُؤَادِي فَقَالَ إِنَّكَ رَجُلٌ مَفْئُودٌ ائْتِ الْحَارِثَ بْنَ كَلَدَةَ أَخَا ثَقِيفٍ فَإِنَّهُ رَجُلٌ يَتَطَبَّبُ فَلْيَأْخُذْ سَبْعَ تَمَرَاتٍ مِنْ عَجْوَةِ الْمَدِينَةِ فَلْيَجَأْهُنَّ بِنَوَاهُنَّ ثُمَّ لِيَلُدَّكَ بِهِنَّ​
Tarjumah: Sa'd bin Abi Waqqas Radhiallahu Anhu bayan karte hain ke main bahut sakht beemaar ho gaya to Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam meri iyaadat ke liye tashreef laaye . Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne apna dast e mubarak (mubarak haath) meri chaati ke darmiyaan rakha, yahan tak ke main ne us ki thandak apne dil mein mehsoos ki. To Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya: Tum dil ke mareez ho, Banu Thaqeef ke Haaris bin Kaladah ke paas jaao , woh dawa ilaaj karta hai, usey chaahiye ke Madinah ki Ajwah khajooron mein se saat khajoorein le kar unhein guthliyon samet koot le aur phir tumhein khilaa de.
(Abu Dawood: 3875)

Shaikh Albani Rahimahullah ne isey “Zaeef Sunan Abi Daawood” mein Zaeef kaha hai.
Jabki kuch mohaddiseen ne is ki Sanad ko qawi kaha hai. Ibn e Qayyim Rahimahullah ne Zaad ul Ma'ad mein “Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki sunnat dil ke mareez ke ilaaj ka zikr kiya” ke tehat is Hadees ko zikr kiya hai, aur Shaikh Shaoib Arna'ot ne usko qawi kaha hai. Woh (Ibn e Qayyim Rahimahullah) uske baad zikr karte hain “Aur khajooron ka behtareen asar hota hai is bemaari par khaas taur se jab khajoor madinah ki ho khusoosun ajwah khajoor.”

Kisi bhi halat mein, upar jo baat Sa'd Radhiallahu Anhu ke baare mein zikr ki gayi hai, jo apni bemaari ki shikaayat karte hain, hum nahi keh sakte ki yeh shikaayat dil ke daure ki thi ya kisi aur bemaari ki. Aur phir hum yeh bhi nahi jaante ki yeh tajweez jo hadees mein bayan hue hai har us shakhs ke liye hai jo dil ki bemaari ki shikaayat kare, kiunki Hadees ke siyaaq o sabaaq mein aisa kuch bhi nahi hai jo yeh batata ho.
Taham, agar suboot hai ki ajwah khajoorien faidamand hain is tarah ki bemaari ke liye to phir iska istemaal jaayez hoga. Qata e nazar iske ki yeh Hadees sahih hai ya nahi kiunki asal yahi hai ki ilaaj jaayez hai jab tak koi aisa suboot na mil jaaye jo isko najaaiz qaraar deta ho.
Fatwa link
 

Top