Ahle Hadees men mukhtalif Jamaaten kaun haq par?


Ahle Hadees men mukhtalif Jamaaten kaun haq par?

Sheikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullah

islamic dawah center taif KSA
Romanised By: Abdus Sattar

Logon kay zahan wa dimaagh men aaj kal yeh shubah daalaa jaataa hai ki Ahle Hadees men bhee mukhtalif jamaaten hain, isliye yahaan sawaal paida hotaa hai ki Ahle Hadees kee kaun si jamaat haq par hai ?
Is baat ko samajhne kay liye pahle yeh jaannaa hogaa ki Ahle Hadees kisay kahte hain aur inki kya pahchaan hai ?
Ahle Hadees Qur'aan wa hadees pe amal karne waale ko kahte hain yaani aslaaf kee faham ko saamnay rakhte huye Qur'aan wa hadees kee roshni men Deene Muhammadi kee haqeeqi shakl pesh karte hain, ismein shakhsiyat parasti yaa zaatiyaat ka koi dakhal nahin jo Qur'aan wa hadees say saabit ho usay maan lene waalaa Ahlul Hadees hai chaahay woh kisi rozgaar say judaa ho, kisi deenee nashriyaatee idaare say judaa ho yaa kisi jamaatee tanzeem say waabastaa ho. Asl cheez hai uskaa Manhaj.
Isiliye Ahle Hadees ko mukhtalif naamon say jaanaa jaataa hai maslan Salafi, Muhammadi, Ahlus Sunnah, Asaree aur Taaifay Mansoorah waghairah .
Ahle Hadees jamaat Qur'aan wa hadees kee roshni men Deene Muhammadi kee sachchi tasweer awwaam kay saamnay pesh karne kay liye mukhtalif mahaaz pe deenee kaam karti hai.
Deene Muhammadi kee sachchi tasweer pesh karne ka sab say mazboot zariyaa madaaris hain jahan say ulamaa wa fuzlaa nikal kar phir naye naye zaraaye say Deene Muhammadi kee asl soorat pesh karte hain.
Jamaatee tanzeemen jo mukhtalif ilaaqon men mukhtalif naamon say banaai jaati hain, yahee Ahle Madaaris in tanzeemon kay zariye awwamun naas ko tarah tarah kay wasaail apna kar Deene Muhammadi say rooshnaas karaate hain . Yeh tanzeemen jis qadr phaili hongee usi qadr deen kee nashr wa ishaat bhee hogi.
Lihaazaa jamaat kee mukhtalif tanzeemon say Ahle Hadees kee fa'aaliyyat aur inki sargarmiyon ka pataa chaltaa hai. Hindustaan men Jamiyyat Ahle Hadees kay naam say jamaatee tanzeem chalti hai, pooray hindustaan men iskaa jaal bichaa hai. Iskaa matlab yeh huwaa ki Ahle Hadees jamaat hindustaan kee pooree awwaam ko saheeh deen say rooshnaas karaa rahi hai, tabhi to aaj din ba-din awwaam is jamaat kee taraf tawajjah badhaati jaa rahi hai. Is jamiyyat kay alaawaa Ahle Hadees kee kuchh doosri jamiyyat aur tanzeem bhee hain, inkaa bhee mission aur manhaj wahi hai jo markazee jamiyyat Ahle Hadees hind ka hai, to ismein koi harj nahin. Jaisay kaha jaataa hai jitnay madarse honge utni taaleem badhaygee waisay hi jitni mazhabi tanzeem hogi awwaam utna faaeda uthaaegee.
Yahaan ek baat waazeh rahe ki agar koi mazhabi tanzeem Qur'aan wa hadees kee raah say hati hui hai yaa woh Qur'aan wa hadees kay naam pe taqleed parasti yaa shakhsiyat parasti phailaatee hai yaa phir Qur'aan wa hadees kee taaleem salafay sawliheen kee faham kee roshni men nahin pesh karti to woh Ahle Hadees, Salafi, Muhammadi, Ahlus Sunnah, Asaree aur Taaifay Mansoorah say hati hui tanzeem hai.
 

Similar threads


Top