ISAAL-e-SAWAB AUR ISAAL-e-GUNAH


Shona shaikh

Active member
بسم اللہ الرحمٰن الرحیم

ISAAL-e-SAWAB AUR ISAAL-e-GUNAH


Tahreer : Sheikh Kiyafat Ullah Sanabali Hafizullah

Transliteration By :Bint Iqbal

➖Logon ke paas sawab itna ziyada hogaya hai ke woh is ka baaz hissa doosron ko isaal kar rahe hain, kya ye log qayamat ke din bhi apni sakhawat dikha sakenge .
jis ka naqsha quran ne yun khincha hai .

▫"Is din aadmi bhagega apne bhai se, aur apni maa aur apne baap se, aur apni biwi aur apni aulaad se, un mein se har ek ko is din aisi fikar ( daman geer ) hogi jo us ke liye kaafi hogi .
(Surah Abas:34)

Mein pareshan hun ke mere paas nekiyan bohat kam hain, agar maine inhen bhi kisi aur ko bakhsh diya to qayamat ke din mera kya hoga wahan to kisi se mangne se bhi neki nahi milein gi, chay jaye ke koi khud se isaal kare !
is liye sochta hun ke apne gunah hi kisi ko isaal kardoon ❗❕

➖Chalo mein apne saare gunah ahal bidat ke imam ko isaal karta hun woh bhi kya yaad karenge .

Koi yeh na kahe ke gunah ka isaal nahi hota hai balke sirf sawab ka isaal hota hai, kyunke mein palat kar sawal karoonga ke :
↕Agar gunah ke isaal ki Daleel nahi hai to sawab ke isaal ki kya Daleel hai

Agar kaha jaye ke bohat saari riwayaat mein is baat ki Daleel hai ke zindon ki baaz nekiyon ka sawab murdon ko pahuchta hai to mein bhi kahoonga ke bohat si aisi riwayaat hain jin mein is baat ki Daleel hai ke zindon ki baaz buraiyon ka gunah murdon ko pahuchta hai.

🔴Maslan mulahiza ho yeh hadees :

Aap sallallaho alaihi wasallam ne farmaya ( jab bhi duniya mein ) koi na-haq qatal hota hai to uske gunah ka ek hissa aadam ke bete ( yani Qabeel ) par zaroor hota hai kyunke usi ne qatal ka tareeqa ijaad kiya .
(Sahih Bukhari :3335)

Balke ek wohi hadees mulahiza ho jis se isaal sawab ki Daleel li jati hai, agar waqai is hadees ke ibtidayi tukde mein isaal sawab ki Daleel hai, to beshak iske aakhri tukde mein isaal gunah ki bhi Daleel hai,

🔴Hadees ye hai :⬇

Rasool Allah sallallaho alaihi wasallam ne farmaya jisne islam mein koi acha tareeqa raaij kiya phir uske baad is par amal kiya gaya to uske liye is amal karne wale ke barabar sawab likha jayega aur unke sawab mein se kuch kami na ki jayegi aur jis aadmi ne islam mein koi bura tareeqa raaij kiya phir us par amal kiya gaya to is par is amal karne wale ke gunah ke barabar gunah likha jayega aur amal karne walon ke gunah mein koi kami na ki jayegi .
(Sahih Muslim, 1017)

↪Kya khayaal hai bhaiyon!
isaal gunah ki Daleel hai ya nahi ?

➖Log apne aqarba tak sawab isaal kar rahe hain .
mein apne deeni dushmanon tak apne gunah isaal karoonga, mere ye dushman jawaba apne gunah mere sar laad nahi sakte, kyunke woh mar chuke hain .

▫Lekin unke pasmandgaan to kahenge ke woh qabr me jane ke baad bhi zindah hain !

☑Mujh par yeh dhamki bhi asar hone wali nahi hai kyunke unke pasmandgaan ka jahan yeh aqeedah hai ke hamare yeh dushman zinda hain wahin unka yeh bhi aqeedah hai ke unse poori zindagi mein kabhi koi gunah hua hi nahi !

Ab jab hamare dushmanon ke paas koi gunah hai hi nahi, to woh bechare jawaba hum tak kya isaal karen, sawab to bhejne se rahe .

➖Agar koi mere khaufnaak irade se pareshan hokar yeh kahne lage "ahadees mein murdon tak zindon ke jin jin gunaaho ke pahunchane ki baat hai sirf wohi gunah pahunchenge bas ❕❗"

To main bhi yeh keh sakta hun ke jin jin aamaal ke sawab pahunchaane ki baat hai sirf unhin aamaal ka sawab pahunchega bas! aisi soorat mein hum dono ko apne apne irade se baz aajana chahiye .

((( Meaning of Pasmandgaan : yani mar jane wale ke piche jo unke qareebi, azeez ya rishtedar bachte hain unhe pasmandgaan kahte hain.)))
 
Last edited:
Top