Waleema karne ke liye Nikah ke din Hambistari karna zaroori hai?


Umar Asari

Administrator
Staff member
Waleema karne ke liye Nikah ke din Hambistari karna zaroori hai?

❀Sawaal:❀
Assalamualaikum Warehmatullahi Wabarkatahu

Mera Sawal yeh hai kya valima karne k liye Nikah wale din hambistari karna zaroori hota hai yah phir bina hambistari k bhi valima kar sakte hai yah nahi ? Maine suna hai valima karne k liye Nikah k din hambistari karna zaroori hota hai warna valima ka khana jayez nahi hoga ? Islaah aur jawab ka muntazir hon...

✿Jawaab:✿
Walaikum Assalam Warahmatullahi Wabarakatuhu

Is masle mein ulama ka ikhtilaaf hai.
Afzal to yahi hai ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki iqtida aur pairwi karte huwe waleema rukhsati aur dukhool (hambistri) ke baad kiya jaaye, lekin agar aisa karna mayassar na ho to phir dukhool se pehle ya phir aqd e nikah ke waqt ya aqd e nikah ke baad bhi waleema karne mein koi harj nahi.
Wallahu Alam.
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Umar Asari Nikaah o Talaq 0

Similar threads


Top