Nabi ﷺ ke chehre ke noor se suyi ka milna


Umar Asari

Administrator
Staff member
Aur suyi mil gayi

Tehreer: Shaikh Ghulam Mustafa Zaheer Amanpoori Hafizahullah

Romanised by: Umar Asari Ibn e Ashiq Ali Asari

Aisha Radhiallahu Anha se mansoob ek riwayat bayan ki jaati hai:
استعرت من حفصة بنت رواحة إبره، كنت أخيط بها ثوب رسول الله صلى الله عليه وسلم، فسقطت مني الإبرة، فطلبتها، فلم أقدر عليها، فدخل رسول الله صلى الله عليه وسلم، فتبينت الإبرة من شعاع نور وجهه، فضحكت، فقال: يا حميراء ! لم ضحكت؟ قلت : كان كيت وكيت، فنادٰي بأعلٰي صوته : يا عائشة ! الويل ثم الويل، ثلاثا، لمن حرم النظر إلٰي هٰذا الوجه، ما من مؤمن ولا كافر، إلا ويشتهي أن ينظر إلٰي وجهي​
Tarjumah: (Aisha Radhiallahu Anha bayan karti hain ki) Main ne Hafsa bint e Rawaha se ek suyi udhaar li, jis ke zariye main Rasoolullah ﷺ ke kapde si rahi thi. Woh suyi gir gayi, main ne talaash kiya, lekin na mil saki. Rasoolullah ﷺ tashreef laaye to Aap ﷺ ke chehre ke noor se woh suyi chamak uthi. Main hans di. Rasoolullah ﷺ ne farmaya: Humaira! Aap kiun hansi hain? Main ne waqiya keh sunaya. Aap ﷺ ne baland aawaz se pukaar kar teen martaba farmaya: Aisha! Us shakhs ke liye vail (tabaahi, halakat) hai, jo is chehre ko dekhne se mahroom raha. Har momin aur har kafir mere chehre ko dekhna chaahta hai.”

Lekin yeh jhooti riwayat hai, kiunki:
Mas’adah bin Bakr Farghani ki is riwayat ko Hafiz Zahbi Rahimahullah [Meezaan ul Aitedaal: 4/98, T: 8464] aur Ibn e Iraq Kanani [Tanzeeh-ush-Shari’ah: 1/117, Raqm: 327] ne jhoot kaha hai.
Is ki ek aur riwayat ko Imam Dara Qutni Rahimahullah ne baatil (jhooti) qarar diya hai. [Lisan ul Meezan: 6/22]
Is mein Muhammed bin Ishaq ki “Tadlees” bhi hai, sama’ ki tasreeh nahi mili.
Lehaza yeh jhooti riwayat hai.
 

Top