Nabi Ne Namaz mein Rafayadain Wafat Tak Kiya hain


Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Namaz mein Rafayadain Wafat Tak Kiya hy

Rasoolullah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Namaz mein Wafat ke pehle Aakhri dinon mein bhi Rafyadain kiye hain.

Daleel :
Hadees No .1 Sayyidina ‘Abdullaah bin ‘Umar (radiyallaahu ‘anhuma) aek Hadees me Rivayat karte hy: Nabi (sallallaahu ‘alaihi wasallam) ne Apni zindagi ke “Aakhri Umar” me humein Isha ki namaz parhaae phir jab aap ne salam phera to kharay ho gaye.Farmaya Ki Tumharee Aaj Ki Raat Wo Hai Kii Is Raat Say 100 saal Kay Aakhir Tak Koi Shakhs Jo Zameen Par Hai Wo Baqi Nahi Rahayga
[Sahih Bukhari, Hadith No.116 [Kitab ul Ilm], Hadith No.564, Hadith No.601, Sahih Muslim, Hadith No.6479, Abu Dawud, Hadith No.4348, Tirmizi, Hadith No.2251]


@ # : Nafi' Tabien Nabi ke wafat ke 30 saal ke baad Ibne Umar radiyallaahu ‘anhuma ke Gulami me aaye Nafi' Rivayat karte Hy Jab bhi Ibn Umar radiyallaahu ‘anhuma Namaz main dhakhil hote toh Pehle Takbeer-e-tahreema kahte aur saath hi Rafa ul yadain karte, is tarha jab wo roku karte tab Bhi Rafa ul yadain karte aur jab Sami Allahu Liman Hamidah kahte tab bhi donu haatho ko uthate aur jab (Qaida Aula) do 2 rakat say uthte tab be rafa ul yadain karte. Ibne Umar Kehte hain Nabi sallallaahu ‘alaihi wasallam Bhi Aisa hi Karte
{Sahih Bukhari Hadees No.739, Juzz al Rafa yadain no: 40}

Note : 1 : Is hadith say Maloom hua ke Ibn-e-’Umar (radiyallaahu ‘anhuma) ne Rasool Allaah (sallallaahu ‘alaihi wasallam) ko aakhri daur mein namaz perhtay huay dekha tha lihaaza aap ka Rafa ul yadain riwaayat kerna aakhri amal hai. Nauzubillah Ibne Umar radiyallaahu ‘anhuma kabhi bhi Nabi sallallaahu ‘alaihi wasallam ki sunnat ki Jan boojh kar khilafwarzi nahi karte.

Note : 2 : Agar Nabi sallallaahu ‘alaihi wasallam ka Rafa ul yadain matrook Aur Mansookh hota to Nabi sallallaahu ‘alaihi wasallam ki wafat ke baad Ibne Umar radiyallaahu ‘anhuma ye Rafa ul yadain nahi karte aur Nabi sallallaahu ‘alaihi wasallam ka Amal bhi yehi hain karke nahi bolte. kyun KI Ibne Umar radiyallaahu ‘anhuma ne Nabi sallallaahu ‘alaihi wasallam ke wafat ke chand din pehle hi Nabi sallallaahu ‘alaihi wasallam ki Namaz dekhi hai aur saath mein namaz bhi padi hain.

Note : 3 Aaj kal ke Baaz Be- daleel Mansook kehne wale Muqallid Hazarat ke pass koyi Mansookh hone ki aek bhi daleel nahi hain lehaza ye amal Sunnat e Mutawatir hai.

Hadees No : 2 Wael bin Hujr radiyallaahu ‘anhu farmate hain: Main ne Nabi e Akram sallallaahu ‘alaihi wasallam ko dekha, jab Aap namaz shuru karte to Allahu Akbar kehte aur apne dono’n haath uthate. Phir apne haath kapde mein dhaa’nk lete phir daya’n haath bayei’n par rakhte. Jab rukoo karne lagte to kapdo’n se haath nikalte Allahu Akbar kehte aur Rafa ul yadain karte, jab ruku se uthte to Sami Allahu Liman Hamidah kehte aur Rafa ul yadain karte.
(Muslim: al Salah 401)

Wael Bin Hujr 9 Hijri mein Rasool Allah ke paas aaey.
[Al Bidaya wan Nihaya vol 5 page 71].

Allama Aini hanafi farmate hai: Wail Bin Hujr ne Madinah me 9 Hijri me Islam Qabul kiya tha.
[Umda tul Qari Vol 5 Page 274 under the hadeeth no: 735]

Sahih Ibn Hibban Vol 3 page 169 hadeeth no: 1857 me ye zikr kiya gaya hai ki Wail Bin Hujr RasoolAllah sallallaahu ‘alaihi wasallam se agle saal sard ke mausam (winter) me fir mile the (matlab 10 hijri me) aur unhone us saal bhi RasoolAllah ko Rafa ul yadain karte hue dekha. {Sunan Abi Dawud no: 727}

Lehaza saabit hua ke Rasool Allah 10 hijri, apne akhri daur tak Rafa ul yadain karte the, 11 Hijri mein Nabi e Rahmat sallallaahu ‘alaihi wasallam ne wafaat paai

---------------------------------

By : Abdul Qadeer Salafi

Source : https://thewayofsalafiyyah.wordpress.com/2015/05/17/nabi-ne-namaz-me-rafayadein-wafat-tak-kiya-hy/
 

Similar threads


Top