Christmas Me Shirkat karne ka Hukum


Umar Asari

Administrator
Staff member
Christmas Me Shirkat karne ka Hukum

✵Sawaal:✵
Kya Musalman ke liye jayaz hai ke woh isaayio ke tehwar Jo (christmas) ke naam se mashoor hai aur December ke mahine ke akhir main manaya jaata hai, ya jayaz nahi hai? Humare yaha baaz log is munasbat se unki majalis mein baithte hai, aur isko sahih Qarar dete hai toh kya unka ye qaul sahih hai ya nahi ; Kiya Iske jawaz ke liye unke pass koi shar'ayi daleel hai ya nahi?

✯Jawaab:✯
Isaayio ke tehwar mein shirkat jayaz nahi hai, agarche ahle ilm main se Hi koi shareek ho, kyun ke iss se unki tadad main kasrat ke izhar hota hai, aur gunah par taawun (madad), Allah Ta'ala farmata hai :
وَ تَعَاوَنُوۡا عَلَی الۡبِرِّ وَ التَّقۡوٰی وَ لَا تَعَاوَنُوۡا عَلَی الۡاِثۡمِ وَ الۡعُدۡوَانِ​
“Neki aur perhezgari mein ek dusre ki madad kertay raho aur gunah aur zulm-o-ziyadti mein madad na Karo.”
(Surah no 5 ayat 2)

Ilmi tahqeeqat aur Fatwa jaat ki dayemi Committee
Sadar: As-Shaykh al-Allama Abdul Azeez bin Abdullah bin Baz
Nayeb Sadar: Shaykh Abdur Razzaq Afeefi
Member: Shaykh Abdullah Ghudyaan
Member: Shaykh Abdullah bin Qa’aud
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Staff Member Masail 0

Similar threads


Top