Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ke kabr ke pass Darood Padhne Wali Hadees Ki Tahqeeq


Abdul Adil

Member
Kya Nabi Saw ke qabr ke pass , Jo Shaksh Nabi Saw par darood padhta hai kya Aap Saw use sunte hai . Aayiye us Hadees ki tahqeeq karte hai riwayat kuch is tarah hai 👇

الخ من صلی علی عند قبری سمعنه

Tarjuma :- Ya'ni jo shakhsh mujh par ya'ni meri qabr ke paas durood padhe main use sunta hoon

(Sho'bul Eeman Lil Baihaqi, Jild 2, Page:218, Hadees 1583, Fazail-e-Hajj Page:901, Hanafi Bahishti Zewar, Az Aalam Faqri Barelwi, Page:490)


Tehqeeq👇

Iss riwayat ka markazi raawi Muhammad bin Marwaan Asadi hai. (Baihaqi, meezanul-E'tedaal waghaira). Abdullah bin Numair Rahimahullah aur jareer bin Abdul Hameed Rahimahullah ne kaha "kazzab" (ya'ni jhoota) hai. Imaam Saleh Jazrah Rahimahullah ne kaha yeh (Muhammad bin Marwaan) zayeef tha aur (balki) yeh (jhooti Hadeesen)ghadta tha

(Tahzeeb ut Tahzeeb, Jild: 9, Page: 387).


Hafiz Burhaan-uddin Al Halbi Rahimaullah ne iska tazkirah (Alkashful-Hasees amman rumiya biwaza'il hadees) mein kiya hai. (page 404)

Ba'z logon ne is riwayat ki ek aur sanad Abush shaikh al Asbahaani Rahimahullah ki kitaab taskeenus Sudoor Page 326, 327 mein talaash ki hai halaanki yeh riwaayat bhi baatil hai. iss mein Abush shaikh Rahimaullah ke ustaad Abdur Rahman bin Ahmed al A'raj ki adaalat (mo'tabar hona) naa ma'loom hai. (neez dekhiye Aaeyna e Taskeenus Sudoor), in dono sanadon mein Al A'mash hain jo ke bil Ittefaaq Mudallis hain.

(Aaeyna-e-Taskeenus Sudoor Page: 121)

Mudallis ki 'anwaali riwaayath zayeef hoti hain (kitabur-Risalah lish shafayi, aam kutub-e-usool-e-Hadees, khazayen

as-sunan page:1 fatawah Rizwiya: vol: 5, page: 645, 266, waghaira)


Khulaasha :-
Ye Hadees Jayeef hai Isme Kazzab , Zaif Aur Mudallis Rawi hai .

Wallahu Alam
 

Top