Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Kuch Akhaaq e Hameeda


Shona shaikh

Active member
بِسْمِ ٱللَّهِ ٱلرَّحْمَٰنِ ٱلرَّحِيم

Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Kuch Akhaaq e Hameeda




Tehreer: Umar Asari

عَنْ أَنَسِ بْنِ مَالِكٍ ـ رضى الله عنه ـ قَالَ لَمْ يَكُنِ النَّبِيُّ صلى الله عليه وسلم سَبَّابًا وَلاَ فَحَّاشًا وَلاَ لَعَّانًا، كَانَ يَقُولُ لأَحَدِنَا عِنْدَ الْمَعْتَبَةِ ‏ "‏ مَا لَهُ، تَرِبَ جَبِينُهُ ‏"‏‏.‏​
Tarjumah: Hazrat Anas Bin Malik Radhiallahu Anhu Bayan Karte hain ki Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam Na Gaali Dete The, Na Badgo (Badzabaan) The, Na Badkhu (Roughly Talking) Aur Na La'anat Malamat Karte The.
Agar Hum Mein Se Kisi Par Naraaz Hote, Itna Farmaye, Ise Kiya Ho Gaya Hai. Iski Peshaani Mein khak Lage.
(Sahih Bukhari: 6031)

Zara Gaur Kijye Ki Hamare Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Kaise The?
Kya Wo (Nauzubillah) Gali Dete The?
Kya Wo (Nauzubillah) Kisi Ko Bura Bhala Kahte The?
Kya Wo (Nauzubillah) Kisi Ko Satate The?
Kya Wo (Nauzubillah) kisi Par La'nat Malamat Karte The?

Nahi Hargiz Nahi Hamare Nabi (Sallallahu Alaihi Wasallam) Aise Nahi The.
Fir Aakhir Ye Hamein Kya Ho Gya Hai Ki Hum Baat Baat Par Gaali Dete Hain, Bura Bhala Kahte Hain, La'nat o Malamat Karte Hain or Ek Dosre Ka Mazaq Udate Hain.
Akhir Kiun?

Hamare Liye To Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ideal Hain To Fir Hum Kiun Unke Uswah Ko Nahi Apnate?
Badi Afsoos Ki Baat Hai Ki Aaj Musalmaano Ne Gali Dene, Gheebat Karne, Chugulkhoori Karne or Mazaq Udane Ko Hasi Or Khail Bana Liye Hai Or Apna Takya e Kalam Bna Liya Hai.
Baat Baat Par “Saale” Or Na Jaane Kitni Galiyan Hum Dete Hain Or In Gaaliyon Ko Gaaliyan Hi Nahi Samjhte.
Akhir Kiun?
Zara Gaur Karen Kya Hum Sahih Maano Mein Musalmaan Hain?
Afsoos Aaj Hum Ne Musalmaan Lafz Ke Maane (Meaning) Ko Bhula Diya Hai. Aaj Hum Maslaki Ikhtilaafat Mein Itna Badh Gaye Hain Ki Ek Doosre Ko Gaali Dete Hain, Ek Doosre Par La'nat o Malaamat Karte Hain or Ek Doosre Ko Kaafir Tak Kah Dete Hain.
Kya Kabhi Humne Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Uswah Ko Apnaane Ki Koshish Ki?
Apne Aapko Ahle Hadees, Hanafi, Deobandi, Barelvi Or Na Jaane Kya Kya Kahne Walo! Kya Tumne Kabhi Soocha Hai Ki Sab Se Pahle Tum Ek Musalmaan Ho ?
Or Musalmaan Ki Sifat Kaisi Hoti Hai Aao Or Zara Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Zabani Sun Lo. Nabi e Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Farmate Hain:
الْمُسْلِمُ مَنْ سَلِمَ الْمُسْلِمُونَ مِنْ لِسَانِهِ وَيَدِهِ​
Tarjumah: Musalman Wo Hai Jis Ki Zuban Or Haath Se Musalmaan Bache Rahen.
(Sahih Bukhari: 10)

Gaur Karne Ka Maqaam Hai Ki Kya Hamare Andar Ye Sifat Paayi Jati Hain?

Ab Mere Zehan Mein Bus Yahi Swaal Uthta Hai Ki Kya Hum Musalmaan Hain???

Allah Hamein Ba Amal Musalmaan Banaye.
Aameen
 
Last edited:

Similar threads


Top