Khade Ho Kar Shalwar Pahenna Kaisa Hai???


Umar Asari

Administrator
Staff member
Kya Khade Ho Kar Shalwar Pehenne Se Mana Kiya Gya Hai?

Tehreer: Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullah

Romanised By: Umar Asari

Kuch logon ne “Pajama pehenne ki sunnat” ke unwaan se ye likha hai ki “Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ki ta'leemat mein hai k Pajama (shalwar) baith kar pehnen”.
Daleel mein zikr kartey hain ke kuch Zaeef Ahadees mein khadey ho kar Pajama wagera pehenney par sakht wa'eed aayi hue hai. Misaal ke taur par (for example):
Jisney baith kar amaama baandha ya khade hokar Saraweel (Pajama ya Shalwar) pehni to Allaah Ta'ala use aisi museebat mein mubtala farmayega jis ki koi dawa nahi.
{Kashaf ul Iltibaas fi Istihbaabil libaas (Abdul Haqq Muhaddis Dehlwi)}

Mujhe ye nahi ma'loom ki yeh riwayat Shaikh Abdul Haqq Dehlwi ne kahan se naqal ki hai lekin istedlaal (argumentation, inference) karne waalon ne ise khud hi Za'eef keh kar kaam aasaan kar diya hai. Mazeed yeh ki hamein ye baat Ahadees ke zakheere mein kahin nahi mili. Jab bohot tahqeeq ki to shi'a ki kitaabon mein is silsiley me kai riwayaat mili. Misaal ke taur par (For example): “Shalwar baith kar pehno, khadey ho kar na pehno ki yeh aksar gham aur pareshaani ka sabab banta hai.”
(Shi'a kitaab: Tahzeeb Aal e Muhammad, page no: 38)

Isi tarah shi'a ki doosri kitaabein “Al Kaafi” aur “Al Khisaal” ke hawaley se is qism ki doosri riwayaat milti hain.
Aakhir mein hum yahi kahengey ki Islam mein khadey ho kar Shalwar pehenne ki mumaniyat saabit nahi hai. Isliye khadey ho kar pehenne me koi gunaah nahi hai. Agar kisi ko Pajama (shalwar) baith kar pehenne ki aadat ho ya baith kar pehenne me sukoon milta ho to ye alag baat hai.
 
Top