BAHTAREEN AURAT - SHARM O HAYA WALI


Ibnatu Ali

Member
BAHTAREEN AURAT- SHARM O HAYA WALI

"Bahtareen Aurat" Tobah Karne Wali Aur Sharm O Haya Waali Hoti Hai, Kyonki Wah Haya Karne Waaliyon Mein Se Hai,
Meri Pyari Musalman Baheno ! Haya Badi Azeem Khoobi Hai,

Ye Buland Akhlaq Me Shumar Kiya Jaata Hai Aur Aurat Ki Nafs Ki Paakeezgi, Uske Jazbah Deeni Ki Hifazat Ki Be'daari, Huququllah (Allah Ke Huquq) Ki Umdah Paas'dari Par Dalaalat Karta Hai,

Haya Momin, Pak Daaman, Taahirah Aur Shareef Auraton Ki Sifat Hai, Allah Taala Ne Tumhe Haya Ki Takeed Farmaayi Hai, Aur Haya Waaliyon Ki Taareef Karte Hue Farmaya Hai

"Fir Un Dono Me Se Ek (Ladki) Sharmati Lajaati (Musa) Ke Paas Aayi, Usne Kaha, Beshak Mere Waalid Tujhe Bulaate Hain Taake Wah Tujhe Hamari Khaatir Paani Pilaane Ke Liye Mazdoori De Den"
(Surah Qasas, Ayat No: 25)

Yani Wah Sharm O Haya Ke Saath Logon Se Hat'kar Aur Unse Door Rahte Hue Aayi, Jabke Usne Apne Chehre Par Apne Kapde Ya Haath Se Pardah Kar Rakha Tha, Pas Agar Musalman Aurat Haya Wali Na Ho Toh Mominaat Mese Nhi Hai, Kyonki Jisme Haya Na Ho, Uska Koi Imaan Nhi Hota, Hazrat Abu Hurairah (Radhiallahu Anhu) Bayan Karte Hain Ke Nabi E Akram Sallalaho Alaihi Wasallam Ne Farmaya
"Haya Imaan Ka Juz Hai Aur Imaan Waale Jannat Me Jaayenge"
(Jame Tirmizi Bab Maja Fil Haya Hadith No. 2009, Musnad Ahmad 2/501)

Jab Tum Is Qabil E Tareef Sifat Ko Apna Logi Toh Tumhari Seerat Wa Kirdaar Aur Tumhare Tamam Maamlaat Mein Har Tarah Ki Bhalaayi Aa Jaayegi,

Haya Musalman Aurat Ko Bure Kaamon Se Rokti Aur Bure Akhlaq Se Mahfooz Rakhti Hai, Kyonki Haya Ka Jazba Saraasar Khair Hi Khair Hai, Isiliye Janab Rasoollullah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya
"Haya Sirf Khair Hi Laati Hai"
(Sahih Bukhari Kitabul Adab Bab Haya Hadith No, 6117, Sahih Muslim Kitab Ul Imaan Bab
Adad Shoebul Iman Hadith No. 37)

watch video click on This link
www.youtube.com/idarahdawatulfalah
Forwarded by
IDARAH DAWATUL FALAH
 

Similar threads


Top